PDA

View Full Version : Tumko ho malum to batana, kon sa rashta khushiyon ke taraf jata hai?


Rahul.jha
11-09-2013, 01:28 PM
30478

Ish dunya se jhoojhte hue pata nahi,
kanha kanha mann bhatakta rehta hai,
Tumko ho malum to batana, kon sa rashta khushiyon ke taraf jata hai ?

raat bohot andheri hai, bohot se kaam adhure hain,
per na jane ish raat ka sawera kyoun nahi ho pata hai,
Tumko ho malum to batana, kon sa rashta khushiyon ke taraf jata hai ?

tut-te hue tare ko dekh, dil ek dua mangta hai,
dua aaj bhi wahi ek hai, na jane kyoun wo pura nahi ho pata hai.
Tumko ho malum to batana, kon sa rashta khushiyon ke taraf jata hai ?

kisi ko ko maaf karna chahta hai, kisi se maafi mangna chahta hai yea mann,
per ish samay ki raftar me choth gaye wo log, aur mann kuch nahi kar pata hai,
Tumko ho malum to batana, kon sa rashta khushiyon ke taraf jata hai ?

bhagta hoon, rukta hoon, fir bhagta hoon, thak jata hoon,
per yea mann chain se kanha so pata hai,
Tumko ho malum to batana, kon sa rashta khushiyon ke taraf jata hai ?

Advo. Ravinder Ravi Sagar'
12-09-2013, 12:01 AM
वाह वाह बहुत खूब.