PDA

View Full Version : mann ki uljhan... jo kabhi kabhi pareshan karne aati hai... per kyoun? yea samajh me nahi aata!!


Rahul.jha
16-09-2013, 12:36 PM
Aur kitna logo ko khush rakhoon ? samajh me nahi aata!!

Kabhi kabhi apno ki bheed me khud ko akela kyoun paata hoon? samajh me nahi aata!!

Jab kabhi kisi ko aapas me ladte dekhta hoon to dil kyoun ghabrata hai ? samajh me nahi aata!!

kabhi kabhi dil kyoun haar maan ne lagta hai ? samajh me nahi aata!!

jab dil kehta hai, ki wo ho paas to wo kyoun nahi hota ? samajh me nahi aata!!

Aane wale kal ki fikra kyoun hoti hai ? samajh me nahi aata!!

kuch khwahishon ke liyea.. aur kitna... aur kitna... intizar karoun main ? samajh me nahi aata!!

kabhi kabhi itna emotional kyoun ho jata hoon ? samajh me nahi aata!!

Apne emotions ko kis ke sath baantun ? samajh me nahi aata!!

jab sab kuch bhagwaan pe chhod rakha hai maine to fir yea uljhane kyoun? samajh me nahi aata!!

Advo. Ravinder Ravi Sagar'
16-09-2013, 01:52 PM
बहुत खूब

rajnish manga
16-09-2013, 02:04 PM
राहुल जी, आपकी सुन्दर अभिव्यक्ति मन को मोह लेती है. एक व्यक्ति के सामने नित नये प्रश्न और नित नई समस्याएं उभर कर आती हैं और उसे घेर लेती हैं. हम चाहते हैं कि इन सभी प्रश्नों को तर्कपूर्ण उत्तर नसीब हों.