PDA

View Full Version : Teri Yaadein......

ALEX
06-10-2012, 03:27 PM
Aaj halki halki baarish hai,
Aaj sard hawa ka raqs bhi hai,
Aaj phoos bhi nikhre nikhre hain,
Aaj un main tumhara aks bhi haiā€¦
Train me chadh kar sabse pahle usne apna bag apne seat par rakha,aur time dekha,raat ke 10 baj chuke the.iska matlab train ko chhutne me abhi bhi bahut samay tha..wo train se bahar plateform par aa gaya,plateform par achchhi-khasi bheed thi,us bheed me wo khud ko bahut akela mahsoos kar raha tha..bahut der tak wo plateform par ek stambh ki tarah khada hokar apne aas pass se gujarne walo ko dekhta raha..jab use yakin ho gaya ki wo aaj bhi nahi aayegi toh wapas apne seat par jane laga...uske dil me aaj se teen saal pahle ki yaadein taza ho rahi thi..apni seat par jakar wo baith gaya..aur usne apni ankhe band kar li..Aditya name tha uska..pyar se Adibulate the..teen saal pahle Aditya apni engineering ki padhayi puri karne Bhopal gaya tha..jab uski mulakat Simran se hui thi..Aditya college ki bus me hi college jata tha,har din ki tarah Aditya us din bhi college ke liye apne kiraye ke room se nikla..lekin use maloom nahi tha ki wo din uski zindagi ke liye kitne important hoga..hamesha ki tarah Aditya bus stop par pahuncha..usne apni ghadi me najar ghumayi,subah ke 8 bajrahe the..
" ,aaj phhir bus miss ho gayi.."Aditya ke kanome ye awaj padi..toh usne apni dayi taraf dekha..usi ke age ki ladki ne usse ye sawal puchha tha..wo koyi aur nahi balki usi ke college me usi ke class me padhti thi..Simran.Aditya ko yakin nahi hua ki simran ne usi se baat ki hain toh usne confirm karne ke liye puchha..
"kya tumne mujhse baat ki..Simran."
"kamal karte ho adi ,is khali bus stand me main kya hawa se baat kar rahi hoon.."
Aditya ki khusi ka thikana na raha..Simran ekbehad khubsurat ladki thi..Aditya akele rahnewalo ladko me se tha..uski dil ki dhadkane tej ho gayi..simran ko Aditya college ke pahledin se hi pasand karta tha..aaj wo bahut khush tha ki simran ne usse baat ki..Aditya apne khayalo me khoya hua tha..uska dhyan tab toota jab Simran ki awaj ek baar uske kano me padi..
"main yaha akeli khadi hoon,aur tum pata nahi kaha khoye hue ho..maine puchha aaj tum phhir late ho gaye.."
"na..nahi..oh...haan.."Aditya ko samajh nahi aa raha tha ki wo Simran se kaise baat kare..
kuch der baad waha city bus aayi..dono city bus me baith gaye..Aditya phhir apne khayalo me gum ho gaya..aur use maloom bhi nahi chala ki uski bagal wali seat par baithi hui Simran use kab se dekh rahi hain..
"log kahte hain ki ek ladki ke dil me kya hain koyi nahi jaan sakta..lekin ab is ladke ko dekh kar ladko par bhi ye baat lagu hoti hain..khair ye college ke baki ladko ki tarah toh nahi hain..isne abhi tak mujhpe line nahi mari.."Simran, Aditya ko dekh kar yahi soch rahi thi..dusari taraf Aditya bhi apne khayalo me khoya hua tha..
"Simran kahi mera majak toh nahi udane wali,.jaise usne college ke baki ladko ko sabak sikhane ke liye ....."Aditya abhi apne khayalo me khoya hua tha ki Simran ne apnebotal se pani ki kuch boonde lekar Aditya ke chehre par chhidak diya..Aditya apne khayalose aise bahar aaya jaise use kisi ne bure sapne se utha diya ho..
"kya hua Simran.."
"main bore ho rahi hoon,aur tum khidki ke bahar kya dekh rahe ho.."
"kuch nahi wo toh main bas aise hi..."
"tum bahut strange type ke ho..lagta hain khuli ankho se bhi sapne dekhte ho.."
Aditya ke chehre par ek muskan aa gayi..Aditya khus ko Simran ki taraf khincha hua mahsoos kar raha tha,,bus ruk gayi,Simran aur Aditya bus stop pe utar gaye,bus stop se unka college laghbhag 1 kilometer ki duri par tha..dono college ki taraf chal pade..Aditya ab bhi chup tha..
"Simran-Aditya,tum bahut kam bolte ho..
"mujhe kam bolna pasand hain.."
"aur mujhe tum pasand ho.."
"kya "Aditya ko aisa laga jaise use mechanics ke teacher ne sabke samne use eqution nikalne ke liye bol diya ho..Aditya ektak Simran ki taraf dekhta raha..
"are bewkoof abhi bhi mujhe nahi pahchana..main simmy hoon..tumhari bachpan ki best friend..par lagta hain tum mujhe bhool chuke ho.."
is baar Aditya ki halat thik waise thi jaise drawing ke test me uska haal exam paper dekh kar hua tha,..
"ab yun bhondu ki tarah khade rahoge ya..kuch bologe bhi.."
"tum...simmy..matlab meri simmy.."
"chalo pahchana toh sahi..lekin tum abhi bhi waise chappu type ho.."
"thoda side dena...andar jana hain.."Aditya kadhyan toota..usne dekha ki ek adhed umra ka ek shaks Aditya ko side chalne ke liye bol taha tha..Aditya train ke gate par khada tha..Aditya waha se hat gaya..andar aakar usne apni jeb se cigrette ka packet nikala aur ek cigrette nikal kar jalaya..cigrette ke dhue me bhi use Simran ka chehra dikhayi de raha tha...
us din Aditya bahut surprise tha..simmy uskebachpan ki dost thi..lekin bachpan me uske papa ne kisi karan apna transfer kara liya tha..lekin itne saalo baad aaj Simran se uski mulakat dobara ho gayi thi..dono class me pahunche first class fluid Mechanics ki thi..aaj new topic start hua tha class me Fluidstatics...Simran ka dhyan toh padhayi me tha..lekin Aditya lagatar Simran ki taraf dekh raha tha..

ALEX
06-10-2012, 03:33 PM
"thoda side dena...andar jana hain.."Aditya kadhyan toota..usne dekha ki ek adhed umra ka ek shaks Aditya ko side chalne ke liye bol taha tha..Aditya train ke gate par khada tha..Aditya waha se hat gaya..andar aakar usne apni jeb se cigrette ka packet nikala aur ek cigrette nikal kar jalaya..cigrette ke dhue me bhi use Simran ka chehra dikhayi de raha tha...
us din Aditya bahut surprise tha..simmy uskebachpan ki dost thi..lekin bachpan me uske papa ne kisi karan apna transfer kara liya tha..lekin itne saalo baad aaj Simran se uski mulakat dobara ho gayi thi..dono class me pahunche first class fluid Mechanics ki thi..aaj new topic start hua tha class me Fluidstatics...Simran ka dhyan toh padhayi me tha..lekin Aditya lagatar Simran ki taraf dekh raha tha..Simran ko Aditya ki is harkat ka andaja tha..usne Aditya ko dheere se kaha"adi,samne dhyan do..warna class se bahar jaoge.."
us vaqt toh Aditya shant ho gaya,lekin jaise hi class khatam hui..Aditya ne Simran ka hathapne hatho me pakad kar bola.."simmy tumne pahle din hi mujhe kyun nahi bataya ki......"Aditya chup ho gaya..iske aage wo kya bole use samajh nahi aaya..Simran hasne lagi..
"Adi,main dekh rahi thi ki tum mujhe pahchan lete ho ya nahi..lekin mujhe kya pata tha tum abhi bhi waise ke waise bhondu ho.."
"dekh simmy mujhe bhondu mat bol.."
"pahle mera hath chhod tab main kuch soch sakti hoon.."
Puri class ka dhyan un dono ki taraf tha..sabhi jor jor se hans rahe the..lekin Aditya aur Simran apne aap me hi khoye huebaat kar rahe the..agli class ke sir bhi aa chuke the lekin Aditya aur Simran ab bhi ek dusare me khoye the..puri duniya se bekhabar hokar dono apni ek alag hi duniya me the..lekin dono ko maloom nahi tha ki unki duniya pani me kuch samay ke banne wale bulbule ki tarah hain..
"oye laila -majnu ye physics ki class hain,.romance karna hain toh koyi dusari class me karna ..now get out"
physics wale sir ne get out itni jor se kaha ki puri class ke students ko apne hath apne kano par rakhne pade..
"Aditya-wo..sir main wo ....
"ye wo wo kya laga rakha hain ,get out aur ek hafte tak meri class me nazar mat aana..."
Aditya ,apna udas chehra lekar utha..aur class se bahar jane laga..
___________

ALEX
06-10-2012, 03:35 PM
To be continued.........

ALEX
07-10-2012, 11:42 AM
"dekha tumne tumhari vajah se aaj class miss ho gayi.."
"phhir toh mujhe inam milna chahiye kyunki maine ek boring lecture se jo bacha liya.."
"boring..jab back lagega tab pata chalega.."
"simran ye kya topic lekar baith gayi tum..pahle ye toh batao ki itne din tak tum mujhse mili kyun nahi.."
"aaj bade bechain ho rahe ho..itne din ho gaye lekin kabhi dhyan tak nahi diya..haan"
"ab tum bachpan me moti thi.,din bhar khati rahti thi..aur aaj tum ekdum slim ho gayi ho..isliye main pahchan nahi paya..."
"mote tum the din bhar tum khate the.."
"okk..ab chhodo bhi simran..chalo chalkar coffee peete hain.."
Aditya aur Simran college me bane canteenme aa gaye..Aditya ne do coffee ka order diya..Aditya aur Simran ek dusare ke aamne samne baithe the..Dono kuch der keliye chup rahe..dono ek dusare ke ankho me apna apna aksh dhoondne lage..
"sir coffee..."
aawaj sunkar dono ka dhyan ek dusare se hata,,
"Aditya-rakh dena bhai table par..kya sar par rakhega,..
coffee wala table par coffee rakhkar waha se chala gaya..uske jaane ke baad Simran ne Aditya ko ghoor kar dekha.."tumne us coffee wale se aisi baat kyun ki.."
"simmy tum janti nahi,,ye ek number ka lafadi hain..canteen me aane wali har ladki ko kaisi nazar se dekhta hain..ye main achchhi tarah janta hoon.."
Simran ne coffee apne gulabi hontho se coffee ki ek chuski li phhir boli.."ye toh normal hain..lekin tumne jaisa behave kiya wo normal nahi tha...koyi khas vajah.."
"hmm..phhir usko main wapas bula leta hoon..aur bol deta hoon ki le bhai jitna line marna hain maar le.."
simran mushkurane lagi...
Aditya-waise simran tumne abhi tak bataya nahi ki tum kaha rahti ho...
"tumhe maine dhoonda hain mera pata tum dhoond lena..."
"apni toh chamak sitaro tak hain..aur chand ka tukda humare samne baitha hain..tumhara pata main tumhari chamak si dhoond lunga.."
"ye sab kaha se seekha..kya girlfriend banayi thi.,,"
"girlfriend banani hoti toh college ke pahle din se hi tum par doore dal raha hota..."
"ok adi ab main apne room chalti hoon..."
"jis raste me mera room hain usi raste me toh tumhara bhi hain..chalo sath me chalte hain..."
Simran ne bahut inkar kiya lekin Aditya ke samne uski ek na chali..dono bus stand ke pass utre.."bye Aditya...sham ko milenge.."
"lekin kaha.."
"hmm..sham ko 6 baje plaza restaurant me"
"6 baje..intezar karunga,.,bye.."
Aaj Aditya bahut khush tha..din bhar wo apni nazare ghadi me tikaye rakha..Aditya ke intezar ke samne akhirkar ghadi bhi haar maan gayi..sham ke 5 baje Aditya taiyar hokar apne room se bahar nikla..aur seedha plaza restaurant me pahunch gaya..Aditya ko shock laga jab usne dekha ki simran waha pahle se baithi hain..Aditya ne khans kar apni awaaj saaf karne ki koshish ki,..aur apne shirt ko thik karte hue Simran ki taraf badh gaya..
"Aaiye Aditya ji..aapka hi intezar kuch jaldi nahi aa gaye aap,,"
Aditya apni shirt ko thik karte hue baitha.."sorry simran wo main.."
"koyi excuse ki jaroorat nahi hain..bas tum aa gaye...yahi bahut hain. "
Aditya apni kurshi ko kishkate khiskate simran ke pass le gaya.."simran perfume bahut shandar hain..kaun sa lagaya.."
Simran ke gulabi hontho pe mushkan khil gayi..
"simran i love you..."
Aditya ki baat sunkar simran hasne lagi.."itni jaldi line marne lage..canteen me toh bahut badi badi baate kar rahe the.."
"really..i love you..tumhara kya jawab hain.."
"hmm...soch ke bataungi kal tak ka samay do.. "
"kal tak ka samay bahut jyada hain..aur isme sochne wali kya baat hain..jaldi se haan kar do..ghar jake soch lena.."
"kal matlab kal.."
"kal kaise bataogi ,kal toh holiday hain.."
"railway station ke pass aa jana..meri friend aa rahi hain kal..wahi milte hain..aur ab main chalti hoon.."
"kaha abhi waqt hi kitna hua hain.."
"Aditya tum late aaye the..uncle ko der raat ghumna pasand nahi.."
Aditya aur simran restaurat se bahar aa gaye..Aditya ne apne hath me simran ka hath tham liya,,aur aise behave kiya jaise kuch hua hi nahi ....simran ne bhi kuch nahi kaha..bus stand road ke dusari taraf tha..kuch der pahle hui tej barish se mausam suhana ho chala tha..simran ka hath thame hue Aditya road cross karne laga..simran ne Aditya ko chidhane ke liye,apna hath Aditya ke hath se chhuda liya..
"Aditya-ab kya hua..
"simran-meri marzi chahe main kuch bhi karu..
"aisi marzi main bahut dino tak chalne nahidoonga,."
dono beech sadak me khade the,.dusari taraf za rahe ek truck ki light dono par padi.........................................
"oye ye humari seat hain..apna boriya basta bandh kar nikal yaha se.."
Aditya apne ateet se bahar aaya..."kya hua.."
"abey ye humari seat hain..uth yaha se..."
Aditya kuch yaad karne laga..bahut der tak Aditya kuch sochte raha ...phhir apni jeb se ek ticket nikal kar un ladko dikhaya.."ticket toh maine bhi liya hain.."
un ladko me se ek ne Aditya ke hath se ticket chheen li..aur jor jor se hasne laga.."abey pagal hain kya ye toh last sunday ki ticket hain..."
pagal shabd sunte hi Aditya baukhla gaya.."dekh mujhe pagal mat bol..mujhe gussa aata hain ye sunkar.."
Ek ladke ne Aditya ko dhakka dete hue bola"bolunga be kya kar lega tu.."
Aditya ne us ladke ko bhi dhakka mara..jisse us ladke ke baki sathi Aditya par toot pade...TC bhi usi taraf tha usne turant guard ko inform kiya..do policewalo ne Aditya ko un ladko ke changul se chhudaya..aur sabhi ko pakad kar train ke bahar laye..
"sale jhant barabar hue nahi aur train me pee ke ladayi karte hain,.aaj tum sabki halat thik karta hoon.."
train chhutne lagi..Aditya train ki taraf bhaga..lekin guard ne use pakad kar wahi patak diya..aur apne dande se Aditya ki buri tarah pitayi karne laga..plateform par maujood sabhi log ye tamasha dekh rahe the..lekin beech me bolne wala koyi nahi tha..tabhi ek shaks ne guard ka hath pakda...
"tu kaun hain be.."
"main iska bada bhai hoon..dobara yadi is par hath uthaya toh bahut bura hoga..."
Aditya ke sar se khoon nikalne laga tha..wo wahi pada raha..uske bade bhai ne Aditya ko uthaya..aur railway station ke bahar lane laga...
"bilandar bhaiya..simran aaj phhir nahi aayi..shayad kuch kaam se phans gayi hogi..uska uncle bhi use raat ko aane nahi deta..nahi toh wo mujhse milne jaroor aati.."
"haan,,shayad use kuch kaam pad gaya hoga.."bilandar ne Aditya ka man rakhne ke liye kah diya..lekin sach kya hain wo achchhi tarah janta tha..simran kabhi bhi nahi aane wali..bilandar bahar ja hi raha tha ki uske kandhe par kisi ne hath rakha..
"oye bilandar itne salo baad mila hain..galenahi lagayega.."
bilandar peechhe muda ,uska dost pawan jiski posting kuch din pahle hi hui thi wo khada tha..pawan ne Aditya ko dekha toh uske rongate khade ho gaye....
"abey bilandar Adi ko kya hua..accident huahain kya...chal mere cabin me iska khoon bahut nikal raha hain..saaf kar dete hain.."
bilandar Aditya ko lekar pawan ke cabin me aa gaya..pawan ne Aditya ke sar se bahte hue khoon ko saaf kiya..aur use ek chair par baithaya..phhir bilandar ke pass aaya...
"yar bilandar Adi ko kya hua hain..tu kuch chhupa raha hain..."
"yar pawan ab tujhse kya chhupau..ek ladkithi simran nam ki jisse ye bahut pyar karta tha,.ek truck accident me chal basi..adi ko bhi chot lagi thi wo kayi dino tak behosh raha..phhir jab use hosh aaya toh mujhse puchhne laga..sunday kab hain.,simran ne use railway station bulaya hain..bas usi din se har sunday ko wo yaha bhag kar aa jata hain..aaj toh khidki se bhag kar aaya hain..,"
Aditya chair se uthkar seedhe pawan ke pass aa gaya.."mujhe agle sunday ki ek ticket chahiye..book kar do,,"
pawan aur bilandar dono chup rahe.."adi main ticket de dunga abhi tu waha chair par baith.."
adi wapas chala gaya..
"bilandar-yar,pawan us accident me adi apna mansik santulan kho chuka hain..simran toh chali gayi..par wo apni yaadein Aditya ke pass chhod gayi..
Bilandar aur pawan Aditya ki taraf dekh rahe the..Aditya ne apni jeb se wahi purani ticket nikali..
"simmy tum aaj phhir nahi aayi..tumhara uncle bahut khadoos hain.,tumhari friend bhi mujhse nahi mili....lekin koyi baat nahi agle sunday ko phhir main yaha aaunga..maine ticket bhi book kara di hain"
*****THE END****
______________________________

ALEX
07-10-2012, 11:43 AM