PDA

View Full Version : Bollywood Shayari


amol
11-10-2012, 10:21 PM
Bollywood Shayari

amol
11-10-2012, 10:21 PM
Shayari from “Teri Meri Kahaani” Movie
Khuda Ne Jab Tujhe Banaya Hoga,
Ek Suroor Sa Uske Dil Mai Aaya Hoga,
Socha Hoga Kya Dunga Tohfe Mai Tujhe,
Tab Jake Usne Mujhe Banaya Hoga…
Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi,
Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi,
Jis Din Humne Aapko Bhuladiya,
Samajh Lijiyega, is duniya me hum nahi…
Na Jagte Huve Khwab Dekha Karo,
Na Chaho Use Jise Pa Na Sako,
Pyaar Kaha Kisika Pura Hota Hai,
Pyaar Ka Pehla Akshar Adhura Hota Hai…

amol
11-10-2012, 10:22 PM
Shayari from Ghajini Movie..

Bas ab ek haan ke intezaar me raat yunhi guzar jaayegi,
ab toh bas uljhan hai saath mere neend kahan aayegi,
Subah ki kiran na jaane konsa sandesh laayegi,
rimjhim is gungunayegi ya pyaas adhuri reh jaayegi…

amol
11-10-2012, 10:23 PM
Zareee Zarree Mein Usi Ka Noor Hai from the movie Delhi 6

Zareee Zarree Mein Usi Ka Noor Hai
Jhak Khud Mein Woh Na Tujhse Door Hai
Ishq Hai Usse To Sab Se Ishq Kar
Ishq Hai Usse
To Sab Se Ishq Kar
Is Ibadat Ka Yehi Dastoor Hai
Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi
Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi
Yaar Mera H Ar Taraf Bharpur Hai ..

amol
11-10-2012, 10:23 PM
Shayari from fanaa movie..

Pani Se Pyaas Na Bujhi
Toh Maikhane Ki taraf Chal Nikla
Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se
Par Khudha bhi Tera Ashiq Nikla…

amol
11-10-2012, 10:24 PM
Shayari from Lage Raho Munna Bhai

Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai?
Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?
Paheli barish me train late hone ki fikr hai
Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?
Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum hai
par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai?
Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi?
108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi?
Internet ki duniya ke to touch me hai,
lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.
Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?
Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai?
To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai
Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?