PDA

View Full Version : Andhero Ka Musafir....!!!!


ALEX
04-02-2013, 08:30 PM
Railway station ki hal chal me main bilkul shant sa baitha hua tha aur jo kuch bhi meri Zindagi me pichhale kuch mahine se hua tha, uske baare me sochne ke aalawa ab mere pass ab koyi rasta nahi tha....maine apni ghadi me time dekha, raat ke 10:30 baj rahe the...december ke mahineme bina garam kapdo ke main is samay dehradun ke Railway station me main us Musafir ki taraf baitha hua tha...jise uski manzil door door tak nazar nahi aati....main aaj bhi us din ko kosta hoon,jab mujhe Nainital se yaha aane ke liye meri company ki taraf se mujhe Appointment letter milatha...Main aaj bhi us din ko kosta hoon jab main apne gharse ,apne pariwar se door yaha dehradun me apne sapne sakar karne aaya tha.....
Jab main School me tha,tab aksar humare Principal sir kaha karte the ki "beta sapne dekho aur unhe pura karne ki koshish karo...lekin ek baat dhyan rakhna ,yadi kabhi koyi sapna pura nahi hota to ye maan lena ki wo sapna kabhi sach hone ke liye bana hee nahi tha....."
Maine us samay apne Principalsir ke dwara kahi gayi shuru kisirf do line me dhyan diya tha...lekin aaj mujhe pata chal gaya tha ki main hamesha se galat tha aur mere principal sirsahi the....
Usi samay platform par DDN Express ke aane ki announcement sunayi di...
"hello,..."maine apne pass se jaldbazi me guzar rahe ek shaks ko rok kar puchha"abhi kaun si train aane wali hain is platform par..."
Us shaks ne usi train ka naam bataya,jiske baare me main sunna chahta tha.....
"thanks..."maine us shaks ko kaha, aur khade hokar Platform par chahal kadmi karne laga.... Kuch der ke baat train Platform par aayi, maine ghadi me time dekha...raat ke 11 baj chuke the...train apne right time par thi aur yahi mere liye sahi bhi tha,kyunki main ab is shahar me ek pal keliye bhi nahi rukna chahta tha....Train jaisi hee ruki ,sabhi Musafir chadhne lage.....main ab bhi platform par hee khada tha...jiska karan tha ki abhi achanak hee mere andar ek sawal utha tha jisne mujhe jhakjhor kar rakh diya tha....
Jab insan ka sath dene wala,uska dukh batne wala koyi nahi hota to wo khud se hee baate karta hain...meri bhi halat wahi thi, is samay...maine wahi pass ke ektea stole me jakar ek chay ke liye bola aur us tea stole wale se puchha...
"Train kab chhutati hain..."
"bas abhi hee nikal jayegi,...kyun aapko jana hain kya is train me..."us chay wale ne ek garma garam chay mujhe dete hue thode dheemeswar me bola"ticket nahi hain to, jugad ho jayega...bas kharcha pani dena padega apun ko...."

ALEX
06-02-2013, 03:47 PM
Maine us stole wale ko upar seneeche tak ek baar dekha aur phhir bola"kitne paise hue ye batao, mujhe ticket nahi chahiye..."
Main nahi chahta tha ki kisi kokisi bhi tarah se maloom chale ki main aaj raat dehradun ke liye nikal gaya hoon...meri sochane samjhne ke kshamta laghbagh khatam ho chuki thi us samay,jo main aisi behuda baate apne dimag me la raha tha.....
main abhi uske stole par hee khada tha, mere waha aane sepahale kuch aur bhi log the waha pass,lekin ab sirf main akela hee tha waha...us stole wale ne aas pass nazar ghumayi aur phhir dheere se bola "apun ka contact hain re baap TC logo se...ek jhatke me ticket dila dega ,apun..."
Maine is baar gardan hilate hue use ghoor kar dekha,jisse wo shant ho gaya...
Main waha se abhi thodi door hee aaya tha ki , jaane kyun mujhe aisa lagne laga ki mujhe uski baat maan leni chahiye...subah se hui bhag daud ne bhi achchhi khasi thakan mere andar bhar di thi....main wapas us stole waleki taraf chalne laga....
"ye chhotu sun...kya bol raha tu ki, tu mujhe ticket dilwa sakta hain..."
"yahich to apna kaam hain baap, ye sala chay vay ke dhandhe me to khud ke chay peene ke paise nahi kama patamain....."
"chal thik hain...mujhe ek ticket chahiye Dehradun se Kathgodam tak ki...."
"akele ho kya saab..."
"haan ,akela hoon...."
"chalo phhir aa jao,abhi setting kara deta hoon aapki..."
wo mujhe lekar ek dusare platform me gaya...kuch der usne ek TC se baat ki aur phhir mere pass aakar bola...
"hazar rupiya do saab..."
Maine use ek hazar rupaye de diye...badle me usne mere hath me sleeper coach ke ek seat ki ticket thama di....
"haan hello...Amar , haan mainrailway station me hoon...nahikisi ko nahi pata nahi chala hain ki main aaj dehradun se nikal raha hoon...."
"khana khaya tune...."dusari taraf se Amar ne mujhse puchha...
"haan kha liya hain..."maine jhooth bolte hue kaha....
"apni purani sim ko phek denatu aur bhool kar bhi ,mujhe call mat karna, main hee tujhe call karunga,jab jaroorat hogi to...samjha..."
Maine haan me haan me sar hila diya....
"aur Sun Karan , yadi paiso ki jaroorat hogi to mujhe , bata dena...main intezaam kar dunga..."
"thanks yaar...."main bas itna kah paya Amar ko....
Aaj Main zinda hoon to uski vajah sirf Amar tha...yadi wo beech me aakar Shantanu ke gundo se mujhe nahi bachata to main shayad aaj is duniya me hee nahi rahta...lekin uski bhi ek limit hain ,main ye bhi janta tha......main apni seat parbaitha apne khayalo me itna kho gaya tha ki mujhe pata tak nahi chala ki train kab chalne lagi.....
Jaise jaise samay beet raha tha, dehradun peechhe chhut raha tha...maine dehradun to chhod diya tha,lekin main ab kaha ja raha hoon ,ye mujhe nahi maloom tha,...main kya karunga ye bhi mujhe nahi maloom tha.. main to bas ek andhere se bachne ke liye dusare andhere ki taraf ja rahatha,us Musafir ki tarah, jiski koyi manzil nahi thi.................
To be Continued.

ALEX
08-02-2013, 07:58 AM
apni seat par aakar main kuch der tak yun hee baitha raha...raat bahut ho chuki thi, isliye laghbagh sabhi log so chuke the...kuch log the,jo gate par khade the..."shayad unki ticket waiting me thi" aisa maine andaza lagaya....
december ka mahina tha, isliye thand bhi bahut lag rahi thi...jaldbazi me kuch soojha nahi aur waise bhi jiske upar khoon ka ilzam ho ,wo bhagte waqt in sab chizo ka dhyan nahi rakhta hain....thand to bahut lag rahi thi...lekin din bhar ke bhag daud ke chalte main bahut thak gaya tha...isliye meri aankh lag gayi, aur main khidki par apna sar tika kar so gaya.......
"hello, Mr. "is aawaj ne meri neend todi....mera sar bahut bhari lag raha tha aur halka-halka dard bhi tha mere sar me....maine abhi tak ye dhyan nahi diya tha ki , samne kaun khada hain....neend se bahar aane me hee mujhe kuch der laga...
"oye...hello ,ye seat humari hain...jao yaha se"ek rookhi hui aawaj mere kano me padi...aawaj se main pahchan gaya tha,ki mujhe kisi ladki neuthaya tha....
"kya bola aapne..."main pahalibaar usse bola,...
"sunayi nahi deta kya,ye seat humari hain...humne ek mahine pahale se hee reservation kara liya tha,taki hum sote sote Kathgodam tak jaye...lekin yaha aaye to dekhaki kisi aur ne dera zama rakkha hain...."wo chillati hui boli..jisse aas pass ke kuch log jag bhi gaye the...ab unki nazar sirf mujhpar aur mujhe uthane wali us ladki par tha,jomujhse apne seat ke liye yuddh karne par aa gayi thi.....
"aapne apna ticket sahi se dekha hain na...."main dheere se us ladki ko bola...jise sunkarwo ladki aur bhi bhadak gayi...
"aye,Mister...tum yaha se jaoge ya main TC ko bulau...."wo ekdum se cheekhti hui boli....
uske is tarah cheekhne se jahamain ek taraf kafi hairan tha,wahi dusari taraf aas pass ke sabhi log uth khade hue the...isi beech kisi ne light on ki,tab maine us ladki ka chehara dekha...wo akeli nahi thi,uske sath usi ke umra ki ekaur ladki thi...jise maine andhere ke chalte pahale nahi dekh paya tha....
"22...na 23..."maine un dono ladkiyo ko dekh kar unki umraka andaza lagaya....
"kya problem hain...aap log itna shor kyun macha rahe hain...."samne wali seat se ek adhed umra ka vyakti apna chashma lagate hue bola"aap dono ko dikhayi nahi deta ki sabhi so rahe hain...."
"uncle,ye mere seat par jabarjasti baith gaya hain, so what can i do..."
Us ladki ka itna kahna tha ki, chashme wale uncle ne us ladki se uski ticket mangi...uske ticket dekhne ke baad wo uncle mujhse bole"aap bhi apna ticket dikhayenge please !! "
Maine apne jeb se wo recipt nikal kar unhe de di, jo mujhe us stole wale ladke ne di thi....
Wo chashme wale uncle, kuch der tak na jaane kya meri ticket me dekhte rahe, aur phhir meri taraf dekhte hue bole....
"beta, is ladki...."
"Shilpa..."beech me hee wo ladki boli...
"haan to beta, Shilpa ki ticket computer wali hain, aur tumhari ticket kisi TC ne banayi hain, to jab tak koyi TC nahi aa jata, aap yaha se hat jayiye..."
Mere pass koyi rasta nahi tha, wo seat chhodne ke siwa...upar se sar me jo dard tha, wo dheere dheere badh bhi raha tha.....maine wo seat chhod di aur gate ki taraf badhgaya...gate se us Shilpa aur uske sath jo ladki thi, un dono ki berth ko main dekh sakta tha....Shilpa aur uski friend kuch der tak apna saman set karti rahi aur phhir light off kar di.....Light off hone ke kuchder baad tak bhi main unhi dono ki taraf dekhta raha......
gate ke pass khade hone se thand aur bhi jyada lagne lagi thi, mujhe...gate par jo khade the, unhone gate khol rakkha tha aur cigarette pee rahe the....yun to main Smoking kabhi kabhar hee karta tha, lekin aaj thand pura sharir kanpne ke karan meri bhi ichchha cigarette peene ki hui......tab tak Train ki speed bhi kam ho gayi, jiska saaf matlab tha ki ,jald hee koyi station aane wala tha.....
"ab kaun sa station aayega..."maine gate par khade un logo se puchha aur ghadi me time dekha raat ke 12 baj chuke the.....
"Haridwar..."unme se ek ne jawab diya.....
TO BE CONTINUED.

ALEX
10-02-2013, 05:36 AM
haridwar..."main dheere se badbadaya aur gate ki taraf dekhne laga....
"yaha train kitne der rukti hain..."maine dusari baar un ladko se sawal kiya....
"yahi koyi 10 se 15 min. "gate ke pass khade ladko me se ek ne jawab diya....
Haridwar me aaj se pahale kabhi aana jana nahi hua tha, lekin jaisa ki aksar news channel aur akhbaro me haridwar ki news aati thi ,us hisab se maine andaza lagaya ki haridwar ek bahut bade shahar ki tarah hoga aur railway station ke bahar shayad badi badi dukane ho...lekin koyi fayda nahi tha, kyunki train haridwar station me adhik se adhik 15 min. Tak rukne wali thi aur itne kam samay me main station ke bahar jakar apne liye kuch saman le aau ,ye mumkin nahitha.....
jaise jaise train ki speed kam hone lagi ,mujhe thand bhi kam lagne lagi....lekin ye sirf kuch der ke liye tha ,kyunki kuch der baad jab train wapas chalegi to phhir wahi tej thandmere sharir ko jakad legi ,upar se ye sardard.......train kis platform par ruki hain ye dekhne ke liye main train se platform par aa gaya...
"platform no. 2...."
main teji se chalta hue , us platform se bahar aaya aur jaise hee platform no. 1 gujra main dheere dheere daudne laga....andar aane wale logo ki sankhya bahut jyada thi ,jisse mujhe bahar jane ke liye achchhi khasi mashkkat karni pad rahi thi....Railway station ke bahar aate hee maine fatafat apni nazare charo taraf ghumayi ,mujhe railway station ke bahar ek kapde ki dukan dikhi.....
"5 min. bache hain..."maine ghadi me time dekhkar khud se kaha aur seedhe us dukan ki taraf daudane laga...jaise hee main us dukan par pahuche maine bahar hook metange apne size ke jacket ko turant nikala aur jeb se hazar ka note counter par baithe ladke ki yaraf phek kar wapas railway station ki taraf daud pada......jin logo ne meri is harkat ko dekha hoga, shayad wo mujhe pagal samjhe lekin mujhe koyi farak padta unke aisa sochane se....
Railway station ke andar ghusne wale gate se thodi doori par thela tha...use dekhte hee mere kadam apne aap rook gaye....us samay meritharak ne mujhe waha rok liya...
us thele wale se ek cigarette ka packet lene ke baad maine apna pura dam laga diya daudane me, maine aisa isliye kiya kyunki main ye train kisi bhi haal me nahi chhodna chahta tha....mujhe kaise bhi karke apni gum hui manzil dhoondh kar apne sabhi sawalo ke jawab maloom karne the.......