PDA

View Full Version : ajeeb duniya!! yahan ke chalan ajube!!


Rahul.jha
26-08-2013, 02:55 PM
ajeeb duniya,

yahan ke chalan ajube.

not allowed ki suchi bari hai,

obey ki badhti kari hai.

hansne ka to waqt nahi,

lekin khulkar rona mana hai.

pyar karna hai,

pyar pana mana hai,

chote ko baro ki advise sun ni hai,

lekin unki batein sun na mana hai.

sari duniya me shor hi shor hai,

lekin jor se bolna mana hai.

kisi ko girane ki chhut hai,

lekin gire ko uthana mana hai.

rulane par rok nahi,

lekin rote ka aansu pochhna mana hai.

jhuth bolne ki azadi hai,

lekin jhuth ko ujagar karna mana hai.

ajeeb duniya,

yaha ke chalan ajube!!