View Single Post
Old 15-10-2012, 01:48 PM   #8
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

humsafar continued.....
tabhi asman me ek jordar bijalikadki ,wo thoda dar gayi ,maine uske kandhe pe apna hath rakh diya..tab wo thoda normal hui....usne meri taraf dekha,phhir ek baar car strart karne lagi..lekin car start nahi hui....
"ab kya kare..."wo meri taraf dekhi..
maine apne kandhe uchka diye...
"main kya bolu.main toh pahli baar Nagpur to Delhi by road ja raha hu.."maine uski taraf dekha..uski ankhe nashili thi,,,pahli baar meri nazar keval uske chehre pe tiki...
"yaha pass me ek machanic rahta hai..shayad wo kuch kar sake.."
"toh jao bula ke lao..main todi janta hu..."
"akele mujhe dar lagta hai..tum bhi sath chalo..."
"isme darne ki kya baat hai..bahar barish ho rahi hai..do bhige isse behtar toh yahi hoga ki keval ek hi banda ye pareshani uthaye..."
"tum bade ajib ho ,mere pair me abhi abhi chot lagi hai..main chal nahi sakti..."
"toh daud ke jao...[IMG]http://srv.*****.com/images/smilies/icon10.gif[/IMG]"
Wo ab gussa hone lagi thi..usne teji se car ka gate khola..aur bahar nikal gayi..bhar barish apne pure josh me thi...wo bhigti hui kuch door tak gayi phhir apna pair lekar baith gayi...mujhe jane kya hua ,.,maine teji se gate khola aur seedha uske pass pahunch gaya...
"ab kyu aaye ho...."
"tumhari madas karne"itna kahkar main use phhir se baho me utha liya...humari saanse ek dusare se mil rahi thi..maine uski taraf dekha..
"kaha hai us mechanic ka ghar..."
usne apna hath thodi door me bane ek ghar ki taraf kiya,,.waha wakayi me ek ghar tha..use itna sab kuch kaise maloom hai maine dhyan nahi diya,,yadi main us samay uske husn ke jaal me phansa na hota toh main ye sawal usse jarur karta...lekin main chup chap use apne baho me uthaye us ghar ki taraf chala gaya...
"neeche utaro mujhe ,nahi toh ye log galat samajh lenge..."
maine uski baat ko samarthan kiya aur use niche utar diya,wo mere kandhe ko pakad ke khadi rahi..maine awaj di,..
"koyi hain....yaha..."
abhi maine awaj hi di thi ki darwaja khula...ek adhed umra ki mahila ne meri taraf dekha,,,aur uski ankho me kauf chha gaya wo seedhe ghar ke andar ghush gayi ,,aur darwaje ko andar se band kar liya,..main uski is harkat ko samajh nahi paya..
"ise kya hua..ye hume dekhkar bhag kyu gayi."us ladki ne mujhse sawal puchha...
'mujhe kya maloom...lekin isne gate ko aise band kiya hai ki ab doobara toh kholegi nahi..chalo car me wapas chalte hai,..."
itna kahkar maine us ladki ko wapas utha liya aur car ki taraf badhne laga...ye situation meri liye behtar thi..maine mauka uthana sahi samjha..aur apne hatho ko uske kayi important ango pe phirane laga..mauka dekhkar daba bhi deta tha..uske chehre pe wahi katil mushkan aa jati thi...shayad wo mere dimak ko abhi padh rahi ho....car abhi door thi,
"tumne apna name nahi bataya..."
"kya karoge jankar shadi karoge kya,,."
"iska matlab main jin ladkiyo ke nam janta hoon unse shadi karna padega mujhe....[IMG]http://srv.*****.com/images/smilies/icon10.gif[/IMG]"
"phhir mera nam kyu puchh rahe ho..."
"bus yun hi samajh lo...aur tum mujhe apna nam batao..nahi toh yahi gira dunga.."
"Sara hai mera name..ab khush..."
"sara....nice name..."
car abhi bhi door thi main janbuchkar dhire dhire car ki taraf badh raha tha...barish aur tej ho gayi..ek jordar bijali phhir asman me kadki..,wo is baar jyada dar gayi aur mere kandhe ko jor se pakad liya,uske honth mere honth ke karib aa gaye,.uska pata nahi lekin main garam ho chuka tha..main wahi khada ho gaya..kafi der tak hum dono ek dusare ki ankho me khoye rahe,.main apne tharki dimak se kaam le raha tha..aur dhire dhire apna chehra uske karib le ja raha tha..aur kuch der baad ,ekdam karib uske honth pe uski barish ki padti ek ek boond kayamat dha rahi thi...main apne aap ko rok nahi paya aur uske honth pe apne honth tika diye...lekin wo shant thi..main akele hi uske hontho ka swad le raha tha..wo toh jaise ek zinda lash ki tarah shant thi ..kuch der baad mujhe ye sab ajib laga ,.,maine jhatke se apne honth alag kiye..wo ab meri taraf dekh rahi thi..uske ankh se anshu nikal rahe the main ye dekh nahi paya barish ki vajah se..shayad usne mujhse ye sab except nahi kiya tha..mujhe apne aap par bahut gussa aaya...main use uthakar car ki taraf badh gaya,,,,,car abhi bhi state highway pe khadi thi..........continue..........
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote