View Single Post
Old 30-10-2012, 08:43 AM   #20
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

The Scenery of the Wall(originally written by me

UPDATE-1
Kahte hain kabhi -kabhi hum jo
ichchhaye,Manokamna rahti wo puri nahi
hoti..aur humari chah ke roop me wo ek udashi
liye dil ke jehan me is tarah bas jati hain ki
humare samne jo bhi kuch ho hum usko apne
beete hue kal ke apni ichchhayo se jod dete hain...lekin kismat ke baare me kya kaha
jaye,,yadi kismat chahe toh ek shaks ki puri
shaksiyat ko badal kar rakh de...zindagi ke
ateet ke panno ko kismat dobara kholti
hain,.chahe aapka ateet achchha ho ya bura..use
koyi matlab nahi ki aap par iska kya effect padega...........
Main apne kaam ki vajah se kabhi apni family
ko apna samay nahi de paya..chahe wo mere
ma-baap ho,ya meri wife..shadi ke baad bhi
meri halat yahi rahi,,,rahis banne ki meri andar
ki chah ne mujhe swarthi bana diya tha..bahut samay baad mujhe maloom pada asali sukoon
dhan daulat me nahi balki dil ke us sukoon me
hain jise pane ki maine kabhi koshish tak nahi
ki..2 saal pahle hue meri wife ki maut ne mujhe
andar tak hila diya tha..meri wife aksar mera
khayal rakhti thi..lekin maine kabhi uski parvah nahi ki..jab tak wo mere sath thi maine
usse kabhi ye taky nahi puchha ki tumne khana
khaya ya nahi...mera koyi attraction hi nahi tha
uske taraf..phhir uski maut ne maut ne mujhe
kyun is tarah hila diya,jab wo meri zindagi ke
liye khas mayane nahi rakhti thi... Sanjana ke jane ke baad main apna khalipan
door karne ke liye aksar kaam me busy rahne
laga..kayi din tak toh ghar bhi nahi aata
tha..mere ghar ke aas-pas rahne wale toh mujhe
salah de chuke the ki mujhe apna ghar kisi ko
kiraye me de dena chahiye..lekin maine aisa kabhi nahi kiya,ya yun kahe ki is baare me
maine kabhi socha nahi..aaj main subah
hamesha ki tarah apni rojana ki adat ke vipreet
subaj jaldi uth gaya tha...aaj mujhe delhi
sanjana ke ghar jana tha..uski chhoti bahan ki
shadi aaj se thik ek hafte baad thi..mere relation sanjana ke ghar walo se hamesha hi
thik rahe..iska ek karan ye bhi tha ki meri
sanjana se kabhi bhi ladayi nahi hui thi..main
delhi se sate hue ek chhote se kasbe me rahta
tha..isliye maine apni car se waha jana uchit
samjha..subah karib 9 baje main apne room se nikla..sanjana ke ghar pahunchne me mujhe
laghbhag 1 ghante ka samay laga..sanjana ke
mammi ,papa mujhe dekhkar khush hue,,
"kaise ho beta ,aane me koyi pareshani toh nahi
hui.."sanjana ki ma ne mere sar me apna hath
rakhkar kaha... "ji koyi problem nahi hui.."maine jawab diya..
"jao beta Ritu(sanjana ki chhoti bahan) se mil
lo..kab se tumhara intezar kar rahi hain.."
Main waha se seedhe ghar ke andar chala
gaya..aur yadi main ghar ke andar nahi jata toh
main bahar karta bhi kya..kisi ko janta tak nahi tha,,,,khair main ghar ke andar gaya..Ritu ke
mehandi ki rasham chal rahi thi..mujhe dekh
kar uske ankho me khusi ki lahar thi jise maine
dekha,,lekin mehandi ki rashm ko wo chhodkar
wo mujhse mile..mere gale lag jaye itna bhi
pyar nahi tha humare beech,,,main seedha sanjana ke kamre me pahuch gaya..fresh hokar
main wahi bistar par let gaya,,.aur lete-lete
room ko dekhne laga,..sab kuch waisa ka waisa
hi tha jaisa pichhali baaf tha,,,jab main yaha
aaya tha,,meri nazar deewar par lage ek scenery
par atak gayi...na jane kyun main us scenery ko itni der tak dhyan se dekhne laga,..ek ye hi chiz
thi jo badli gayi thi...us scenery ke andar ek
andhere me baithi hui ek ladki ki image thi..wo
ek painting thi..jisme wo ladki udas baithi
thi..uski shakal ko main saaf pahchan sakta
tha..us ladki ki shakal mujhe jaani pahchani si lag rahi thi...
"kyun udas baithi ho tum"mere mu se achanak
ye shabd nikal gaye..lekin kyun ..kya main us
scenery wali ladki ko janta hoon ..main kyun is
scenery par itna dhyan de raha hoon..main apne
in khayalo me na jane kitni der tak khoya raha..na jane kitni der tak khud se sawal karta
raha..tabhi darwaje par kisi ki dastak hui,,mera
dhyan us taraf gaya..maine darwaja
khola..samne Ritu thi....................
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote