View Single Post
Old 25-02-2013, 06:01 AM   #46
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

MAZHAB
Charo taraf ek ajeeb si khamoshi chhayi hui thi .. doortak nigaah daudaane par kuchh gharo se dhuan bhi nikalta dikhayi pad raha tha .. main ek ghar ke darwaaze par pahuncha , aur dheere se banddarwaze ko dhakela .. halki si charmarahat ki awaaz huyi aur darwaaza andar ki taraf kokhulta chala gaya .. main 2 kadam aur aage badha , sar ko aage nikaal kar andar jhanka ..andar bhi wahi nazaara tha , kahin kisi insaan ka naam-o-nishan bhi dikhayi nahi pad raha tha
Uske aage jaane par bhi wahi manzar dikhayi pad raha tha..sunsaan pade huye ghar , kuchh ke darwaazo par taale pade huye they aur kuchh aisehi lawaris they ..ek ajeeb si murdangi charo taraf chhayi huyi thi
Main iss samay apne shahar Delhi se kareeb 500 km door , yahan Raj nagar mein maujod tha… main ek chhoti si political party ka leader tha aur pehle ek patrakaar bhi reh chukka tha … Rajnagar ki sabse badi khasiyat ( ya yun kahiye ki dur-bhagya ) thi aaye-din yahan hone waale sampryadayik dange ( communal riots) jo yahan ek aam baat thi…poore desh meinkahin bhi , koyi bhi baat hoti thi , aur uska asar yahan hota tha … yahan dono dharm ke logo ki 50-50% ki abaadi thi aur yeh bhi dango ki ek wajah thi …iss baar jab yeh dange huye they to baar-baar yahi kaha jaa raha tha ki yahan ki state government aur police ekvishesh dharm ke logo ka saath de rahi hai …aur iski jaanch ke liye hi Human right commission aur kuchh politicians ka ek group yahan aaya tha , jismein main bhi shaamil tha
Hum sab log shahar ka daura karne ke liye nikle they .... Mere saath ke baki log peechhe hi reh gaye they , lekin main unse alag hokar kuchh aage ko nikal aaya tha..jaanboojh kar , kuchh masala ikattha karne ke liye ..aur kab main kuchh jyada hi aage ko nikal aaya , aur ek muhalle se doosre muhalle mein pahunch gaya , mujhe maloom hi nahi pada ..mere bodyguard mujhe baar-baar rokte rahe , aur mainapne paas maujood camera se tasveere nikaalta raha ..wahanfaili barbaadi ke manzar ki tasveerein
Achanak …ek tez dhamake ki awaaz huyi aur poori gali dhuen ke gubaar mein doobti chali gayi …Mere kadam pehle ladkhadaye , fir main neeche gir pada aur meri aankho ke samne kuchh palo ke liye andhera sa chha gaya … fir jaise mujhe hosh aaya aur maine uth kar ek taraf ko daudlaga di
Gali se baahar nikal kar main ek toote-foote khandahar numa ghar ki aad mein chhup gaya …Meri saanse bahut tez chal rahi thi aur dil ki dhadkane poori rafter se daud rahi thi …maine sar ko jara sa baahar nikaal kar gali mein jhaanka ..ab fir se wahan sannaata chha gaya tha…fir mera dhyaan apne bodyguardski taraf gaya , dono hi dhamaake ke baad se wahan se gaayab they
Aur fir achanak apne peechhe mujhe kuchh aahat si sunayi padi … Jahan maine khada tha, woh ek doosri gali ka aakhiri sira tha ….maine peechhe gali mein dekha aur mujhe aisa mehsoos hua ki gali mein maujood gharo mein se mujhedekha ja raha hai …kuchh hi seconds baad mera shaque yakeen mein tabdeel ho gaya , jab maine kuchh siro ko gharo se baahar jhaankte huya dekha .. Ek ajeeb si dehshat mere oopar haawi hoti chali gayi … Maine fir se sar nikaal kar , doosri taraf waali gali mein jhaanka … ab wahan bhi bhi kuchh halchal sunayi pad rahi thi …sirf gharo ke andar hinahi , baahar bhi 2-3 log dikhayi pad rahe they …aur unke shareer ke peechhe chhipaye huye hathiyar bhi
Mere paas koyi aur chara nahi tha , siwaaye wahan se bhaagne ke ..main gali se baahar nikla , aur apni baayin (left) taraf daud laga di …apne peechhe se mujhe pehle kuchhlogo ke cheekhne ki awaazein sunayi padi aur fir tez kadmo ki …ek saath bahut saare log mere peechhe aa rahe they , aur har ek guzarte pal ke saathunka aur mera faasla kam hota jaa raha tha …yah ek lambi si gali thi , jiske sire par mujhe ek chauraha sa dikhayi pad raha tha …maine apni poori taaakat laga di aur kuchh hi palo mein main chaurahe par pahunch gaya
Chaurahe par pahunchte hi maine charo taraf dekha , har taraf sannaata chhaya hua tha…door door tak insaan ka namo nishan bhi nahi tha , sivaaye mere peeche aa rahe unn logo ke jinke haato se jinda bachna ab mujhe na-mumkin lag raha tha
Maine oopar waale ko yaad kiya aur fir left side mein jaa rahi sadak par daud laga di …. Main be-tahasha bhaag raha tha ki, achanak hi mujhe kisi gaadi ki aawaz sunayi padi auragle hi par ek police jeep left side ki taraf se ek sadak se aayi aur mere se kuchh hi doori par aa kar usne break laga diye
Mujhe aisa laga jaise oppar waale ne meri madad ke liye apne bando ko bheja ho…..maine bina ruke bhaagta raha aur jeep ke peechhe pahunch gaya …. apni saanso ko kaabu mein karne ki koshish karte huye maine pehle ek nigaah jeep ke andar daali aur fir saamne se aate huye unn log par …jeep mein kul 3 police waale they , ek DSP rank ka officer aur 2 sipahi..aur mere peechhe aa rahe unn logo ki ginti 15-20 ke aas paas thi
Who log jeep se 20 meter pehle hi ruk gaye …unn sabhi ke haatho mein alag alag hathiyar they ….kuchh ke paastalwarein thi, kuchh ke paas dande aur kuchh ke haath mein lohe ke sariye .. kuchh logo ne apne chehro ko kapde se dhaka hua tha aur kuchh aise bhi they jinke chehre saaf dikhayi pad rahe they
Jeep mein baitha hua Officer jeep se baahar nikla aur doosri taraf jaakar khada ho gaya…uske peechhe peechhe dono sipahi bhi neeche aa gaye aur apne haato mein maujood rifles ko unn logo ki taraf taan diya …dono taraf se hi khamoshi chhayi huyi thi…koyi awaaz nahi , sirf ek doosre ko dekh rahe they …fir woh log dheere dheere peechhe ko hatne lage aur kuchh der ke baad mud kar wapas apne ilaake ki taraf chale gaye
Police officer jeep ka chakkar laga kar mere paas aaya aur firtez awaaz mein bola “ tumhe maloom nahi hai ki yahan curfew laga hua hai …!!.dekhtehi goli maarne ke aadesh hain”
“main …. Human rights commission ki taraf se hoon….mere saath mere 2 bodyguards bhi they , jo na jaane kahan chale gaye ?” maine uske chehre ki taraf dekha aur kuchh pareshaan lehze mein kaha
woh kuchh second mujhe ghoorta raha , fir poochha “ kahan se gaayab huye hain…?”
“ udhar …dayein mudkar , aage se doori gali ke mod par se …ek dhamaka hua tha wahan , uske baad se woh log gaayab hain ” Maine haath ke ishare se usko samjhaya
Usne apne saath waale dono sipahiyo ko wahan jaane ke liye kaha aur khud jeep ki driving seat par baith gaya…aur mujhe apne saath waali seat par baithne ka ishara kiya…mere baith-te hi usne gaadi ko aage badhaya aur agle chaurahe par laakar rok diya..woh ab udhar hi dekh raha tha jahan uske saathi gaye they
Maine uske seene par lagi huyiname plate ko dekha … Sameer Arya , woh DSP rank kaofficer tha …. Umar koyi 28-29 saal ke aas-paas
Fir achanak mera dhyan apne camera ki taraf gaya , jo ab mere haath mein nahi tha…shaayad dhamaake waali jagah par hi gir gaya tha
“ohh…mera camera “ mere muh se achanak hi yeh shabd nikle …aur DSP ne meri taraf dekha
“kya hua ….? Kaun sa camera..?” usne mere chehre ko dekhte huye kaha
“ Mere paas ek ..camera tha … jo wahin kahin gir gaya hai ” maine kuchh jhijhakte huye kaha
Usne mere chehre ko gaur se dekha …aur fir bola “ aapne apna naam kya bataya tha …?”
“Sameer ……Sameer khan “ maine kaha
“waah….hum dono ka naam toek hi hai …sirf surname ka farkhai ” Usne kaha , aur dheere sehans pada …fir meri taraf dekhte huye poochha
“ maine aapko pehle bhi kahindekha hai …” kuchh der sochne ke baad usne aage kaha “ aap XYZ party ke leader hain na ?”
Maine sar ko hilakar sehmati jatayi
“ aur aap ek patrakaar bhi hain…? “ usne aage poochha
“pehle tha…” Maine usko samjhaya
“Hmm…to netaji yahan humanrights check karne aaye they , ya apni party ke agenda par kaam karne ke liye …? “ usne kaha aur apne aap hi hans pada
“kya bakwas kar rahe ho officer ..!!” Main gurrata hua bola
“ aur saath mein camera lekar ghoomne ka matlab kya hota hai …?” usne mujhe daante huye kaha …uski aawaz mein ek ajeeb sa kadwa-pan tha auraankho mein gussa
“ tum bhool rahe ho ki main yahan human rights ki taraf seaaya hoon , aur jo kuchh bhi yahan tum log kar rahe ho , woh saari duniya ko maloom pad chukka hai …” maine uskodhamkaane ki koshish karte huye kaha
Woh kuchh second mujhe ghoorta raha ..fir apna mobile nikala , apne saath waale ek sipahi ka number lagaya aur usko bataya ki mere haath se ek camera bhi wahan gira hai ,jisko unhe talaash karna hai
Hum dono hi ab khamosh baithey they, aur uss taraf dekh rahe they jahan woh dono sipahi gaye they ….kuchhhi der mein humein dono sipahi dikhayi pad gaye , woh uss jagah par khade they , jahan kuchh der pehle main chhipa hua tha ……aur unke saath hi kuchh aur log bhi they …wahi log jo thodi der pehle mere peechhe , mujhe maarne ke liye bhaag rahe they
“ Tumhaare sipahi unn logo se baate kar rahe hain , jo mujhe maarne ki koshish kar rahe they ……” maine kaha to usne meri taraf aise dekha , jaise meri baat uski samajh mein naa aayi ho …fir bola
“ aur aapki raay mein unko kya karna chahiye ..?”
“ curfew orders ka sahi sahi paalan …tume hi to kaha tha ki dekhte hi goli maarne ke aadesh hain …?” maine uski taraf dekhte huye kaha
“ lekin yeh log aisa kuchh nahikar rahe hain , jo inhe goli maari jaaye ….” usne muskurate huye kaha …” yeh to aapke gumshuda bodyguards ko dhoondhne mein madad hi kar rahe hain”
“ abhi kuchh der pehle hi inn logo ne mujhe jaan se maarne ki koshish ki thi officer … “ maine apne shabdo ko chabatehuye kaha
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote