View Single Post
Old 07-10-2012, 11:49 AM   #3
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: My first love...

mai us ladke ke ghar ki taraf gaya iska ek aur bhi karan tha,kyuki mai ek ladka tha aur un dono ki maut ne mujhe achanak hi apne pyar ki yad dila di thi jo kabhi pura nahi ho paya.apni school life ko maine kafi enjoy kiya ...aur wahi mai cigrette pina bhi sikha..us samay bus stand me baithkar cigrette pina aur dhue sabke samne bahar khule vatavaran me udane me maja bahut aata tha...mera hamesha se koyi dost nahi raha kyu nahi raha..kyuki mai kisi se dosti karna hi nahi chahta tha.,mai apne me magan rahne wala shaksh tha iske kayi fayade the...jab maine cigrette pina start kiya tha toh mai akela nahi tha..mere class ke kayi ladke the jo cigrette ki dhue ki duniya me kadam rakh chuke the...lekin unme se kuch aise the jo dusaro pe ek cigrette ke liye nirbhar rahte..mera koyi dost nahi tha..yadi meri jeb me 2 rs. Bhi hote toh mera kaam ban jata tha...meri yahi duniya thi,,subah bhor me 4 baje uthna..ek do ghante science subject ko, bolne wale tote (parrot) ki tarah ratta marna..jiska koyi mahatva nahi tha...keval exam ko chhodkar.exam me yahi ratna mere bahut kaam aata tha..uske baad 7 baje deshukh sir ke pass padhne jana.,aur phhir waha se lautate samay ek cigrette kokhatam karna aur phhir 10:30 baje school ke liye nikalna..school chupchap bitakar sham ko 5 baje ghar laut jana..aur phhir baki ka samay ghar pe gujarta tha...maine apni zindagi me dost kabhi nahi banaye,yahi mere liye bhari padega ye mai nahi janta tha..yadi mai ye pahle hi jan jata toh us samay apne jeb me rakhe do rs. Bhi un ladko ko de deta jo cigrette ke liye school ke aas-pass wali dukan pe jakar us dukan me kasayi ki tarah baithe dukandaro se udhari ki bheek mangate the...us samay mai unhe aisa karte dekhkar bahut khush hota tha..,hamesha se papa ne boys school me padhaya..ya phhir ye kahe ki hamesha mai ek hi school me padha govt. School me,roj subah 4 baje uthkar ratta marna mere liye kafi sahayak bana..maine apni 12th class 76.5 % se pass ki ,us samay mujhe ye bhi sunne ko mila ki uske ladke ke90 % hai ,uski beti merit me aayi hai..lekin mujhe koyi farak nahi padta tha in sab bato se kyuki mai kuye ki mendhak ki tarahek kuye ka raja bankar kush tha.,maine apne school me top kiya tha...aur mere result ke baad hi mere class ke ladko ne mujhe pahchana.ki meri shakal ka bhi koyi ladka unke class me hai, pahle mai unke liye ek hawa ke saman tha ,jise mahsoos toh sabni karte hai lekin ,dekh koyi nahi bata,,,,mai apne gaav se sahar aaya...bilaspur utna bada sahar toh nahi tha..lekin sahar se kam bhi nahi tha,,yaha ke Gurughasidas university me maine bsc. Me admission le liya...mere gaav me jo log college ja chuke the unse mujhe maloom chala tha ki college me shuruat ke do teen din intro ,introduction ka kriya karam chalta hai...gaav me english ke sir ne dandeke bal pe english subject ko toh clear karva diya lekin english shikha nahi paye...aur mujhe ye bhi maloom tha ki ye sab kriya karam english me hi karne hote hai..nahi toh sabke saamne khade hokar apni ijjat ko randikhane me bechane jaisa tha,samne wala apki ijjat bhi uda de aur aap hanskar ye bhi kah de ki mai toh hindi medium ka student hu,..mai in sab baaton me nahi phasna chahta tha isliye main ek hafte tak college nahi gaya...jab mere man ne kaha ki ,ab chalna chahiye padhayi bhi start ho chuki hogi toh mai ek hafte baad college jane ke liye taiyar hua...college me mujhe apni class bhi nahi maloom thi,itne bade university me class dhundna kafi mushkil ho raha tha...us samay mujhe ye nahi pata tha ki har course ke liye alag-alagdepartment banaye gaye the...maine college ko apna school samjha aur jo bhi raste me milta usse puchhta gaya ki bsc.first year ki class kaha lagti hai,,sabne aisa jhadka jaise ,ek dukandar apne gud me se makkhi ko jhadak deta hai,,.usi samay ek ladki se meri takkar ho gayi..uskehath me rakhe hue books gir gaye..wo use uthane lagi..ye meri zindagi ka pahla mauka tha jab maine kisi bahari ladki ko chhua tha...usne apne books uthaye aur mujhe dekhkar kaha..dekh kar nahi chal sakte ....main kuch nahi bola, wo waha se chali gayi..main aage badh gaya..maine is college ke har departmebt me ja chuka tha lekin koyi bhi bsc. Ka nahi tha mai is vaqt jisdepartment me ghusa tha wo is college ka akhiri department tha aur mujhe yakin tha ki yahi hai...jaha mai pichhale ek hafte se aana chahta tha lekin us english ke introduction jise mai apni bhasha me kriya karam bhi bolta tha ,uski vajah se nahi aa paya tha...main jakar ground floor me banelibrary me ghus gaya aur waha baithi ek madam se pucha .....mam bsc. First year ki class kaha lagti hai...usne apne samne padechhote se dibbe se chasma nikala ,jo ki modern jamane ka tha use lagaya aur mujhe dekhkar boli......kon sa subject.....maine unki taraf dekhkar jawab diya ...chemistry...unhone kaha...go straigt and then turn left first class is your class...us samay itni achchhi english nahi aati thi upar se unhone ye likhkar nahi bus bol diya tha jo ki mere ek kaan se dusare kaan me jakar light ki velocity se nikal gayatha...mujhme dubara puchhne ki himmat nahi thi...mai waha se bahar aa gaya...mujhe us madam ke light ke velocity se bole gaye english ke shabdo me se kevalek hi shabd samajh me aaya tha aur wo tha left...lekin mere samne ek nayi pareshani thi kaha se left yaha se left ki,pichhe se jakar left ki, aage se jakar left...us modern chashme wali mam ne left ke pahle bhi kayi shabd bole the...maine socha aaj wapas laut chalte hai..kal phhir kisi se puchh lenge..main jane ke liye mud hi raha tha ki ek madhur awaj mere kaan me padi..maine pichhe mudkar dekha..samne wahi ladki khadi thi jisse kuch der pahle takkar hui thi..wo shayad mujhe bhool gayi thi..aur waise bhi aaj tak mujhe mere family ke siwa kisi ne yaad bhinahi rakha ....
bsc. 1st year ki class kaha hai..aapko maloom hai kya"wo boli...
"maine kaha kaun se subject ka jaise main sab janta hu ki kaun si class kaha lagti hai..."
"chemistry ...."
maine us ladki ko us chashme wali mam ki taraf ishara kar diya.....
woh meri taraf ghoor kar dekhne lagi.....jaise usne paani manga ho toh maine use mirchi ki dukan dikha di ho...
"wo tumhe class lagti hai,kaun se gaav se aaye ho..."
"wo mujhe daant rahi thi ... Lekin uski awajrafi sahab ki tarah mere kaan me taal paida kar rahe the..aur lata tayi jaisi madhurta..."
usne socha ki maine majak kiya hai toh usne ek baar phhir apna purana prashn dohara diya....
"bsc.first year ki class kaha hai..."
maine pahle ki tarah hi use us madam ki tarah ishara kiya...wo gussa ho gayi...tabhi mujhme jane kaha se himmat aa gayi..maine kaha..
"dekhiye aap galat samajh rahi hai...mera kahne ka matlab hai aap unse puchh lijiye..."
"tumne puchha tha...."
mujhme ek aur baat thi ki mujhme jo kami thi use main kabhi chhupata nahi tha...maine kaha..
"ji mujhe english samajh me nahi aati"
is baar pahli baar maine uska mushkurata chehra dekha...wo mujhe khada rahne ko bolkar andar gayi...usne bhi madam se wahi prashn puchha jo maine puchha tha...,aur us madam ne bhi wahi jawab diya jo mujhe diya tha..keval shaksh badal gaye the ..is samay mujhe famous scientistEinstine ki theory of relativity yad aa gayi thi jisme object change hota hai ..ya phhir is condition pe frame of refrence ki theory bhi laga sakte hai...is baar bhi madam ki wo shabd mere kano se light ki velocity se bahar nikal gaye...wo waha se nikali aur boli yaha se seedhe phhir left mudna hai.mai uske sath rahkar jitna bevkuf tha usse bhi jyada bevkuf ho gaya jab usne left kaha toh mai apne hath ko hila kar dekhne laga ki left kon sa hai...hum dono sath me ja rahe the class abhi bhi thoda dur tha..woshayad bore ho rahi thi..usne mera nam puchha....what is your name...
ye line maine bachpan se rati thi..maine turant jawab diya Ahmed Ali...usne apna hath aage badhaya mere kambhakht hath maloom nahi kaise aage badh gaye ,yadi ye hath us samay ruk jate toh shayad mai aaj is halat me nahi hota ki roj ib ya kingfisher ki botal kholu....khair mere hath uske pyare se hath se jakar mil gaye.....hiiii i am SHWETA..................continue................
______________________________
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote