View Single Post
Old 10-11-2011, 07:30 PM   #25
Ranveer
Senior Member
 
Ranveer's Avatar
 
Join Date: Feb 2011
Location: खानाबदोश
Posts: 669
Rep Power: 26
Ranveer has much to be proud ofRanveer has much to be proud ofRanveer has much to be proud ofRanveer has much to be proud ofRanveer has much to be proud ofRanveer has much to be proud ofRanveer has much to be proud ofRanveer has much to be proud ofRanveer has much to be proud of
Default Re: Beautiful Thoughts

Yah kahani ek soldier ki hai jo ladai khatm hone ke bad apne ghar aane ki sochta hai..wo phone par apne parents se puchta hai.."mai ghar aa raha hun or mere sath mera ek dost bhi hai jiska is dunia me koi nahi hai , kya mai use bhi apne sath la sakta hun?" Uske parents kahte hain "han han kyun nahi..jarur le aao" Fir wo soldier kahta hai ki wo dost ladai me ek hath or pair gawa chuka hai , mai hamesha ke liye use apne ghar par hi rakhna chahta hun ! Is par uske parents kahte hain .."tum jante ho ki tum kya kah rahe ho?ek apang aadmi kitna bada bojh hota hai ?ham apne sath use kaise rakh sakte hain. tum ghar aa jao or apne dost ko bhool jao.wo apne jivan ka rasta khud dhundh lega" yah sunkar wo soldier phone rakh deta hai....Ek din uske parents ko police ka phone aata hai ki uska beta ek building se kudkar sucide kar liya hai...sab fauran use dekhne jate hain...uski lash ko dekhkar dang rah jate hai ki uska ek hath or pair hi nahi hai ! Matlab ladai me ek hath pair kho dene wala uska dost nahi blki wahi khud tha........MORAL- DONT BE SO SELFISH.
__________________
ये दिल तो किसी और ही देश का परिंदा है दोस्तों ...सीने में रहता है , मगर बस में नहीं ...
Ranveer is offline   Reply With Quote