View Single Post
Old 06-01-2017, 01:46 AM   #3
soni pushpa
Diligent Member
 
Join Date: May 2014
Location: east africa
Posts: 1,288
Rep Power: 65
soni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond repute
Default Re: aaj ki yuva pidhi

Sabse pahle apka swagat hai Deep ji ,
is bahas me bhag lene ke liye bahut bahut dhanywad .

ji sahi kaha aapne ki joshbhari lahar ki tarah hoti hai ye yuva pidhi .. is josh ko galat rah ko sahi raah me keise mode ham ye hi ab dekhna hai kyunki ab bhi kahin ek asha ki kiran hai ab bhi aaj ke navyuvano me badlav laya ja sakta hai jarurat hai to andhadhundh ho rahi videshon ki nakal ko roka jay kintu ye aaj ke jamane ke liye ashakya hoga kyunki videshi nakal ke liye ab logon ke pas karodo sadhan hain , jisme sab jante hain fon , internet, t v sabse aage hai .. jiski vajah se bahut jaldi adhunikta ka rang logon par chha sa gaya hai par han sirf ye hi doshi nahi internet ya tv ya fon ye sab to hamari suvidha ke liye hain par iinka galat upyog hame ulti disha ki or le ja raha hai .

nashe ko adhunikta ka nam dekar nashe ki lat me khoye hain log . aaj ki bachhiyan sigarets ke sath hath me sharab ke glass liye partyon me ghumne ko moderan hona samjhti hai par koi inhe samjhaye ki kalpna chavda bane , sanchi sindhu bane ya fir anya kisi kshetra me aapni pahchan banaye or dunia ko bataye ki adhunikta ise kahte hain ki jo bhartiy naari ghar ki chaar deevari me chulhe chouke me apna jivan beeta deti thi ab wo hi naari aaj kahan se kahan ja pahunchi hai na ki nashe ko ya ang prdarshan ko adhunikta kaha ja sakta hai .

is daldal se aaj ke yuvaon ko keise dur kiya jay is par ap sab apne apne vichar rakhenge to mujhe behad khushi hogi .. dhanywad
soni pushpa is offline   Reply With Quote