Thread: saccha prem
View Single Post
Old 15-06-2015, 08:25 PM   #5
manishsqrt
Member
 
Join Date: Jun 2015
Location: varanasi
Posts: 102
Rep Power: 11
manishsqrt is a jewel in the roughmanishsqrt is a jewel in the roughmanishsqrt is a jewel in the rough
Default Re: saccha prem

apni rai rakhne ke liye dhanyawad manga ji mai aapki baat se sahmat hu kadachit prem matra prem hota hai uske alawa kuch bhi aur hone pe wo prem nahi rah jaega, maine ek baar meri nazar me ek bahut gyani insan ke muh se ek kamal ki baat suni thi, usne kaha ki prem yadi dharm nahi hai to wo prem hi nahi hai, yaha dharm ka matlab hindu musalman nahi varan sabko ek samaan manne ke niyat hai, unke hisab se yadi koi sabse ek sa vyavhar nahi kar paya to wo prem hi nahi kar paya, bhed bhav ya moh karne ki jis bhavna ko hum prem samajhte hai shayad wo hi jhutha prem hai, iske viprit bhed bhav na karne ko hi sachcha prem kah sakte hai, sochiye wo kaun si niyat ya shakti hogi jiske chalte radha krishna ek na ho pane bawjood prem ki murat mane jate hai wahi baki log unke samkaksha nahi mane jate, kyuki radha krishna jagat se prem karte the sabse ek bhav rakhte the aur yahi unka ek dusre ke prati prem darshane ka tarika bhi tha.dharm pe rahna varan krishna bhagwan ki pratigya hi nahi balki radha ji se prem karne ka madhyam bhi tha.
manishsqrt is offline   Reply With Quote