View Single Post
Old 09-06-2015, 03:52 PM   #4
manishsqrt
Member
 
Join Date: Jun 2015
Location: varanasi
Posts: 102
Rep Power: 11
manishsqrt is a jewel in the roughmanishsqrt is a jewel in the roughmanishsqrt is a jewel in the rough
Default Re: कुछ तर्क

aapne kafi achcha mudda uthaya par mai aapki is baat se asahmat hu ki aaj kal shadiyo me jyada din lagte hai aur pahle kam lagte the, vastavikta ye hai ki aaj kal ek do din me shadi nipta di jati hi aur pahle ke time me shadiyo ka janvasa hi ek hafte ka dera dalta tha, ha itana awshya manunga ki pahle samay to jyada lagta tha par fir bhi uske anupaat me faltu kharche kam hote the aur aaj kal dikhawe par adhik kharche hone lage hai jo ki sare ke sare tarkheen hai, 3-4 lakh to bas khane khilane band baje me kharch ho jate hai, jo ki kamane me varsho lag jaenge par udae sirf chand ghanto me jate hai.Ye upbhoktawad aur dikhawati sanskriti desh ke liye khatarnak ho gai hai.Agar jald ise na roka to nasoor ban jaegi par logo ne ab ise jiwan shaily man liya hai, aksar ye dikhawe var paksha ki farman par hi hote hai.
manishsqrt is offline   Reply With Quote