View Single Post
Old 28-12-2012, 08:24 PM   #54
jitendragarg
Tech. Support
 
jitendragarg's Avatar
 
Join Date: Dec 2009
Location: Bangalore
Posts: 2,771
Rep Power: 35
jitendragarg has a brilliant futurejitendragarg has a brilliant futurejitendragarg has a brilliant futurejitendragarg has a brilliant futurejitendragarg has a brilliant futurejitendragarg has a brilliant futurejitendragarg has a brilliant futurejitendragarg has a brilliant futurejitendragarg has a brilliant futurejitendragarg has a brilliant futurejitendragarg has a brilliant future
Default Re: सामूहिक बलात्कार के खिलाफ प्रदर्शन

Quote:
Originally Posted by amol View Post
waah jis point se aapke arguemnts null and void ho jaate hai usko chod ko. maana desh bhi kaafi buraaiya hain, lekin dheere dheere inhi aandolano aur jan virodh se sab kuch sahi hoga. aaapke tarah agar sabke khayalaat negative ho jaaye to desh ka to beda gark ho jaaye.

mera argument null. accha joke tha.

Mera argument phir se post karta hu. "Jab aap rape ke khilaaf aandolan kar rahe hai, ussi waqt ek mahila ko pure gaon me numayish ki ja rahi hai; aise me aapke aandolan se aaj kya fayda hua? aapka aandolan kuch log ko thoda bhi dara nahi saka, unki soch badalne ki baat to bahut door hai".

Ab aap jo database ki baat kar rahe ho, use iss argument ko kaise fark padta hai, jara samjhaiye. Mere hisaab se to aapka aandolan useless hai. faayda hoga, jab database banega. aise hi dialog lokpal bill ke liye bhi bole gaye the. kya aaj tak aapka wo bill aaya? kya kisi ne rishwat lena band kiya? purana record dekhne ke baad bhi aap bolte ho ki changes aayenge. aise me aap over-optimistic nahi hai, to kya hai?

Jahan tak band karne ki baat hai, wo isliye kahi, kyunki aap sirf bewajah ki behas kar rahe hai. sawalo ke jawab ki jagah ulte sawal kar rahe hai. aur phir mujhe ye faltu behas ki jagah aur bhi bahut kaam hai, to kaun samay barbaad kare. jin cheezon se fark nahi padta, un cheezon me samay barbaad karna mujhe theek nahi lagta. isliye main baat ko khatam karne ko bola tha.
__________________
jitendragarg is offline   Reply With Quote