View Single Post
Old 10-10-2012, 11:47 AM   #12
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Thumbs up Re: My first love...

main doctor ko bina kuch bole waha se apneroom ki taraf aa gaya jaha shweta ke papa mera besabri se intejar kar rahe the....main doctor ke clinic se seedhe ghar ki taraf aa gaya...pura man ukhad gaa tha ye sunkar...ab main kya karu main sochne laha pahli baar mujhe apne dil me kisi baat ka darr hua,maine cigrette ka packet jeb se nikala aur sadak pe hi niche phenk kar kuchalne laga...aas pass wale .og yadi us samay mujhe pagal samajh kar patthar maar dete toh mujhe kuch hairani nahi hoti ...lekin aaj ke jamane me aisa time kiske pass hai...cigrette ke packet ki hatya karne ke baad main paidalhi ghar ki taraf nikal gaya..
shweta ko toh main cancer wali baat bata nahi sakta..aur usse shadi karke uski zindagibhi kharab nahi karna chahta tha..phhir main karu kya...tabhi mujhe apni zindagi me abhi tak dekhe gaye filmo ki yaad aa gayi...mere man me ek ajib sa plan ban gaya..main ghar pahuncha shweta aur uske papa mere ghar me baithe the..wo mere ghar me kaise ghuse ye aaj tak rahsay hai...mujhe dekhte hi shweta khush ho gayi,..
"papa humari shadi ke liye ,maan gaye hai,.bus unki ek shart hai main surname change nahi karungi....ab papa ko jaldi se haan kah do..."
maine hasne laga....
"tumhara dimak sahi hai..shadi aur tumse..yesab toh tumhe pane ke liye kiya tha ,mujhe tumse nahi tumhare sharir se pyar hai...ab jab mera man bhar gaya hao toh tumhari koyi jarurat nahi...."maine ek filmi dilogue marte hue sab kah dala...
ek jordar tamacha mere gaal pe pada...shweta ki ankho se anshu nikal rahe the..ajib hai .tamacha mujhe pada aur ro wo rahi hai...wo rote hue waha se nikal gayi..uske paa uthe aur unhone bhi ek kaskar tamacha mujhe mara aur chale gaye...raju us samay naya naya aya hua tha...usne mujhe bataa ki shweta ki shadi fix ho gayi hai...us din ek ajib si feeling mere andar dera dale hue thi,.main khush bhi tha aur dukh bhi tha,,,
maine raju ko dekha wo so chuka tha..phhir shweta ki diye hue mobile jo maine abhi tak rakha hua tha usme time deka raat ke 12 bajrahe the...phhir khidaki ke pass akar us ghar ko dekhne laga jaha par pahle shweta raha karti thi....
vidayi ke vaqt bhi maine sheta ko yahise khada hoke dekh raha tha ..wo ro rahi thi...aaj tak mere ghar ki shadyo me vidayi kesamay main nahi roya lekin aaj ro raha tha,.mere anshu wahi jameen par niche gir rahe the...aaj itne salo baad main us khidki ke pass aya tha..khidki ke side me us movie ki caset padi thi jo main aaj tak pura nahi dekh paya. Tha....
kash ki maine cigrette pini shuru na ki hoti,kash shweta us din mujhse dobara na takrati ...main apne lab se ek aur kash nikalna chahta tha lekin mera dimak doctor ki taraf ghoom gaya,..shwea ke jane ke kayi saalo baad tak main maut ka intejar karta raha lekin maut nahi aayi...main wapas us doctor ke pass gaya..usne kaha ki tumhari maut me time hai..wo mujhe pagal samjhta tha..kyuki sabhi uske pass zindagi ke liye aate the aur main apne maut ka samay puchhne jata tha....
kash ki shweta ne jab mera nam puchha tha main apna hath pichhe kar leta...kash,....tabhi mere seene me dard hua mere muh se khoon nikalne laga...aaj phhir maut ne dhokade diya,,aur maut ke am pe ye thoda sa khoon nikal gayi,..mere mu se nikala khoon wahi pe gir raha tha jaha kuch der pahle meri ankh se anshu nikal rahe the.....
kash ...............
********THE END********
___
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote