My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Art & Literature > Hindi Literature
Home Rules Facebook Register FAQ Community

 
 
Thread Tools Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Old 09-10-2012, 03:30 PM   #11
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: My first love...

us ladki ke ghar ki keval ek hi room ki light light jal rahi thi..shayad wo us ladki ke maa ka roomho maine andaja lagaya....maine jeb se phhir cigrette ki packet nikali aur dhua vatavaran me phenkane laga....
us din ke baad shweta aksar baat baat pe hath pakad leti thi..mere gaal ko sahlana..waise dekha jaye toh ye sab kaam ek ladke ko karne chahiye chahiye par mere sath ulta ho raha tha...mujhe gift bhi wahi deti thi maine aaj tak use kuch bhi gift nahi kiya tha..dheere dheere wo mere bahut karib aa gayi thi...ab hum dono class tak chhodne lage lage the aur garden me baith kar ek dusare ka hath pakde baate karte rahte the...phhir bhi jab college khatam hota toh bhi humara man nahi bharta tha...ek din usne gift me mujhe kuch diya..wo ye dete samay bahut kush dikh rahi thi..wo koyi reactangle size ka mujhe laga aur usme rangbirangi plastic chadhi hui thi...maine usse puchha ki isme kya hai....wo keval mushkura di,.phhir boli khud hi khol do,,lekin ye bolkar shweta ne khud gift khol diya mujhe mauka tak nahi diya
usme ek mobile phone tha,..main toh mobile phone dekh kar khush ho gaya...kyuki mainekisi se suna tha ki isme gaane bhi sun sakte hai aur game bhi khel sakte hai aur ghadi rakhne ki bhi jarurat nahi..us din college me mai jab tak raha us mobile ko hi lekar kuh a kuch karta raha..shweta mujhe bahut der takdekh ke mushkurati rahi...uske baad mai apne room me aa gaya kayi dino tak mai usi mobile me busy raha....shweta ka usme phone aata tha lekin adhiktar raat me hi phone karti thi...aur bahut bolti thi ..humare college ke din bhi gujar rahe the...first semester ka result bhi aa chuka tha...dono clear ho gaye the...college ke do saal kaise nikal gaye mujhe maloom nahi chala...is beech mere aur shweta ke jism bhi do baar karib aa chuke the..wo mujhse hameaha puchhati papa se baat kab karoge,..mai use hameaha taal deta,..iske do karan the.pahla mai muslim aur wo hindu thi...aur dusara thaki uske papa police me kisi achchhe post pe the...main use hamesha talta raha aur us din usse shadi ka wada dekar teesari baar usse sambhog kiya..lekin us din mujhe sabse jyada achchha laga....dusare din maine apna room wahi uske ghar ke bagal me le liya tha..meri naukari lag chuki thi achchhi khasi zindagi gujar rahi thi..ab hum raat ko aksar chhat pe milte the...ek din usne mujhse kaha,papa meri shadi ki baat ek ladke se karne wale hai...suna hai bahut bada doctor hai,....tum papa se baat kyu nahi karte
maine agle din baat karne ki sochi...usi raat sote samay mere sar me achanak dard hua..bahut hi tej karib aadhe ghante tak mai apna sar pakde raha..agle din maine doctor ke pass jane ka faisala kiya,..doctor ne jab mera checkup kiya toh wo nirash ho gaya...mai samajh nahi paya ..usne mujhe kaha,,,sanyam rakhna tumko cancer hai,.....
"kya"mera muh fata sa rah gaya ye sunkar ....
haan,tumne smoking bahut ki hai tumhare cancer ka ilaaz ho sakta hai lekin usme lakhorupaye lagenge...main doctor ko bina kuch bole waha se apne room ki taraf aa gaya jaha shweta ke papa mera besabri se intejar kar rahe the......
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
 

Bookmarks


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off



All times are GMT +5. The time now is 05:16 PM.


Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.