My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Art & Literature > Hindi Literature
Home Rules Facebook Register FAQ Community

 
 
Thread Tools Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Old 14-01-2015, 05:37 PM   #1
Shikha sanghvi
Senior Member
 
Shikha sanghvi's Avatar
 
Join Date: Jan 2015
Posts: 314
Rep Power: 23
Shikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud of
Wink Pyar ki kashish part- 2

Harsh ko isi tarah samjati thi or vo mayke chali gayi. Harsh 1 mahine ke baad India aanevala hi tha par ye 1 mahina us ke liye saalo ke saman tha. Het ke hate hi jaise uska sabkuch khatam ho Gaya. het ke bina jaise kuch tha hi nahi. Charo or het ki yaado ne use diwana bana Diya. Jab paheli baar harsh ne India phone kiya to het bhi rone lagi. Harsh ne mashes us kiya ki het bhi unhe utna hi pyar karti hai. Harsh ne apne badroom Mai bhi het ke liye Diwalo pe pyar ka paigam likha. Bahot bada pyar ka pratik heart drowing kiya. Or phone letter ye sab to chalta hi tha.


Part -2

Het ne paheli baar harsh ki diwangi dekhi. Hash jab bhi pyari si baate karte to uski aankho se ashq bahe jate. Use yakin nahi ho raha tha harsh such mai us se itna pyar karta hai. Fir 1 mahine mai hi harsh het ke paas aa gaya. Yaha 15 din un dono ne pyare se lamho ke saath pyar se bitaye. Par ha...yaha bhi harsh jab india aayato usne apne aapse ek wada kiya tha jo het ke liye uske pyar ka ek imptehaan tha. Usne apne aap se ye wada kiya tha ki jitna pyar mai het se karta hu utna hi pyar agar vo mujse such mai karti hai to vo muje airport pe lene jarur aayegi. Agar asa nahi hua to mai yahi se hi dusri flight leke vapas chala jaunga.

Het bhi to Harsh se shayad apni jaan se bhi jyada pyar karne lagi thi isiliye vo apne Bhai ke saath aayi ...apne Harsh ko lene ke liye or het ko dekhkar harsh ki ruki saanse jaise chalne lagi. Kya lamha tha jab dono ka aamna samna hua.....kudarat bhi jaise muskura uthi thi us din. Do dil jo thode pal ke liye bichhad gaye the vo fir se mil gaye. Yaha pyare se lamho ko apni zindgi ka hissa banaya. Het or Harsh ne saath mai jatra ki or har mandir mai bhagwan se yahi prarthna ki ki jiyenge sath- marenge saath. Yaha un dono ne paheli baar saath jine-marne ki kasam khayi....or khubsurat lamho ko lekar vapas Africa aa gaye.

Yaha se Harsh-Het ki zindgi ka dusra mod shuru hota hai. Jab un dono ke jivan mai nanha sa gul khilnevala hai. Het ki health thik nahi raheti hai...use kuch bhi acchha nahi lagta hai.Or Het ki aisi halat dekh Harsh bhi pareshan ho jata hai.

Harsh ka birthday 25 th april ko hai or usi din vo Zanzibar mai tha. Yaha pe Het ko lekar hospital gaye to pata chala ki harsh-het ke pyar ki nishani ne is duniya mai aane ke liye pahela kadam rakh diya hai. Het ne jab Harsh ko call karke ye baat sunayi to vo itna khush ho gaya ...itna khush ho gaya ki meeting mai baithe huye sabhi ko unhone ye khushi ki baat batayi. sabne use dher sari badhai di. Ab het uske ghar aane ka besabrise intezar kar rahi thi. kitna pyara tha vo lamha jab vo ekdusre ke saath the..dono bahot hi khush the. Ghar mai bhi sab bahot hi khush the. sab het ka bahot hi khayal rakhte the. Din bitte gaye. Parivar ke sabhi nanhi si gudiya ka besabri se intezar kar rahe the or aakhir vo din bhi aa hi gaya. Het ki tabiyat thik nahi thi. vo harpal harsh ko apni nazar ke samne dekhna chahti thi. Harsh ..pura samay uske paas hi raha or het ke sir pe apne pyar se haatho se sahelata raha...or bhagwan se prarthna karta raha.

Or nanhi si gudiya ne is duniya mai apna kadam rakh diya. Bilkul Harsh ki tasvir hai vo gudiya....Vo kitna khush tha us din....Sabhi bahot khush the. Gudiya ke aate hi Harsh ne community mai jo function chal raha tha usme dinner diclare karva diya. Kitna pyara din tha ...vo pal tha..jab het ne apne haatho mai us nanhe se gul ko lekar chuma tha....Harsh or Het ki jaan hai ye gudiya...Isi gudiya ke saath din bitte gaye...Het is nanhi si jaan ke saath busy rahene lagi or Harsh ko aisa lagne laga ki Het ab use bhul gayi hai...

Het ko aaj bhi yaad hai vo uska bachpana.....kitni masumiyat thi uski baato mai...Fir het ne bahot hi pyar se use kaheti or samjati ....Harsh aisa kabhi ho skta hai ki hum tumhe bhul jaye? par ye bhi to hum dono ki jaan hai, humare pyar ki nishani hai...or harsh fir khush ho jata. Waqt teji se gujarta chala gaya, gudiya badi hone lagi. Harsh use apni princess kaheta hai or Het use anjalu kaheti hai. Anjalu ke saath khelna ...uska hansna .....ek ek pal anmol tha het ke liye.....dekhte hi dekhte vo do saal ki ho gayi. Het ko kabhi kabhi lagta tha ki ab vo kabhi akeli ho jati hai...use apna ek saathi chahiye...jiske saath vo khel sake...

Het ne harsh se is bare mai baat ki to harsh ne to bilkul mana hi kar diya...fir het ke bahot samjane par vo mana...or pichhli baar ki tarah is baar bhi harsh ne het ka bahot khayal rakha...or aakhri waqt tak vo uske paas raha. or ek pyari si gudiya ne is duniya mai apna kadam rakh diya. Harsh to bahot hi khush hua...kitni cute hai ye...or fir het se kaha........ab hume apni ye dono betiyo ka jivan savarna hai...uska bahot khayal rakhna hai hume or kuch bhi nahi chahiye. Tere jivan ke saath hum ab or koi risk nahi le sakte. harsh ki ye pyari si baate sunkar uski aankho mai se aansu nikal aaye. Itna pyar...kitni kismatvali hu mai....

Het harroj bhagwan se prarthna karti hai apne harsh ki raksha ke liye parivar ki raksha ke liye or apne harsh ki pragti ke liye...Vo khush hai apne jivan se ...apne pyar se, apne harsh se...uska harsh kabhi juth nahi bolta..vo het ka bahot hi khayal rakhta hai..baat baat mai usko manata raheta hai. het ko bhi unka manana acchha lagta hai. Shadi se pahele vo kabhi kabhi bhagwan se naraz ho jati thi par use kya pata tha ki bhagwan ne uske liye aisa jivansaathi chunke rakha hai jismai khushiyo ke siwa kuch bhi to nahi. Harsh bhi kabhi kabhi het se kaheta hai ki agle janam mai humne kuch aise punya kiye honge jisse tum hume jivansangni ke roop mai mili ho.

Samay bitta gaya par un dono ka pyar kabhi kum nahi hua...din v din pyar badhta hi chala gaya. zindgi mai tufan to aate rahete hai par kabhi in tufano ne harsh-het ke bich pyar ki doori nahi hone di. Het ne bhi apne jivan mai aaye huye har halat ka samna kiya or apne harsh ko kabhi bhi apne se door nahi hone diya. Vo humesha het ke dil ki baat uske bina bole hi jaan leta hai. uske kadmo ki aahat harsh ko ye ehesas dila deti hai ki vo aa rahi hai...harsh ka dil jab bhi use yaad karta hai usi waqt vo uske samne hoti hai....

Harsh-Het ka pyar to sirf is janam ka nahi raha janmojanam ka ho chukka hai....Harsh ne het ke jivan mai aakar pyar ki vo kashish dikhayi jismai het khud diwani ho gayi. harsh ke pyar ke aage use sabka pyar fika lagta hai....bahot khush hai het oe uska pyara sa parivar.

Yahi hai Harsh-Het ke pyar ki kashish.....Bhagwan kare in dono ka pyar aise hi bana rahe...


Khushbu tere pyar ki kagaj par utar aati hai,
Sochti hu ki ruk jau kalam badhti hi jati hai..

Shikha
Shikha sanghvi is offline   Reply With Quote
 

Bookmarks

Tags
stories


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off



All times are GMT +5. The time now is 01:43 AM.


Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.