My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Art & Literature > Hindi Literature
Home Rules Facebook Register FAQ Community

Reply
 
Thread Tools Display Modes
Old 23-12-2012, 09:47 AM   #41
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

हम एक घने पेडों से भरे एकान्त में उतर आए । उसने एक जगह रोक कर उसका हाथ पकड नीची पलकों में एक आंसू छिपा कर कहा -
'' अविनाश जी , जो कुछ मैं ने लिखा वह सच था , मेरे लिये आप र्फस्ट क्रश हैं। आपको देख कर मुझे पहली बार अपोजिट सैक्स वाला आकर्षण हुआ था। मैं कभी आपको नहीं बताती , पर कल रात आपको एक दम करीब बैठा पाकर। अविनाश आय एम पजेज्ड़ बाय यू , मुझ पर छाया पडग़ई है आपकी ।
'' नीला मुझे कुछ समझ नहीं आ रहा मैं उलझ रहा हूँ। ''
'' अविनाश जी , क्या करतीमैं भी! ''
'' कुछ नहीं नीलामैं जा रहा हूँ , यहां से यही उचित होगा , तुम्हारे , मेरे लिये। मुझमें साहस नहीं है , एक साथ बहुत लोगों का विश्वास तोडने का! ''
'' और बुआ। ''
'' क्या बुआ , बेवकूफ लडक़ी वो खत जो छोड आई थीं उसके हाथ पड ज़ाता तो ? मुझे नहीं करनी शादी वादी। कहाँ फंस गया मैं। ''
बुरी तरह झल्ला गया अविनाश और सर पकड क़र पुलिया पर बैठ गया । नीला सुबकने लगी । वह उसके पास उठ आया , उसके मुंह पर ढके हाथ हटा कर बोला ,
'' क्या करुं मैं नीला ? तुम्हारे मासूम से प्यार ने भी मेरे मन में जगह बना ली है। और मुझे अच्छी तरह पता है कि यह हम दोनों के लिये ही घातक है। मुझे जाना ही होगा। ''
नीला उसकी बांह पर टिक गई और रोते हुए बस इतना कह सकी ,
'' आप बुआ से शादी कर लो अविनाश जी। आज आपके यूं चले आने पर मैं ने उसे पहली बार टूट कर बिखरते हुए देखा है। वो पापा से कह रही थीं कि , दादा , अविनाश को देख कर पहली बार लगा कि शादी कर लेनी चाहिये , और देखिये ना मेरी किस्मतउसे मैं पसन्द ही नहीं। वह चुपचाप निकल गया।
'' और तुम.... ''
'' मैं मेरा क्या अविनाश जी। ''
ओह ओह ये स्त्रियां! अजूबा हैं । नहीं समझ पाता मैं इन्हें । नीला को वक्ष से लगा लिया उसने । नीला की पतली बांहों ने उसे कस लिया । कुछ देर बाद अविनाश ने नीला को अलग किया -
'' चलो नीला। मुझे खुद नहीं पता शाम को क्या होना है। पर तुम अब कोई बेवकूफी नहीं करोगी। ''
वह लगभग उसकी बांह पकड क़र खींचता हुआ उसे ले आया । दोनों जब घर पहुंचे तो सब नीला की लाल आंखें और तनावग्रस्त अविनाश को देख कर खामोश हो गये । क्या सोचा सबने पता नहीं । किसी ने कुछ पूछा नहीं यही राहत थी । लंच के लिये अविनाश ने मना कर दिया । शाम को जब मामा जी आए सब सामान्य दिखने के प्रयास में थे । डिनर के समय सुधा और नीला दोनों नदारद थीं । मामा जी और ब्रिगेडियर साहब के घेरे में अविनाश ना नहीं कह सका । उसके हाँ में सर हिला देने के बाद का समय अविनाश के लिये यूँ बीता कि जैसे वह दर्शक हो सारी प्रक्रिया का औरअविनाश का किरदार निभाता कोई और है । सगाई , शादीउसे बस याद है शादी की रस्मों के बीच नीला की हंसी और कहकहों के बीच हिचकी सा बिखर जाता दर्द । घर का वही हिस्सा जो गेस्टहाउस था , शादी के बाद अविनाश और सुधा का हो गया । तीन दिन के बाद दोनों को अलग अलग दिशाओं में जाना है । उसकी बांहोंमें अलसाती सुधा उसकाहाथ खींच अपने वक्ष पर रख लेती है । दो बजे हैं और वह उठ कर सिगरेट जलाता है , खिडक़ी में उठ कर आता है तो पाता है नीला के कमरे की लाईट जली है । कुछ टूटता है मन के भीतर । उसे नीला के शब्द याद आते हैं ।
'' मन का क्या है अविनाशवह तो टूट कर फिर जुड ज़ाता है। ''
कहते वक्त वह अपनी अधूरी तस्वीर सी ही लग रही थी वह ।
- मनीषा कुलश्रेष्ठ
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 08-02-2013, 12:29 PM   #42
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

संजय विद्रोही

अप्रेल 15, 2005
.
.
आत्म-समर्पण
सुनो कंवर साब! आज एक अजीब बात सुनी है। ' पापाजी ने आकर बैठते हुए कहा।
' क्या पापाजी ?' परेश ने कुर्सी की तरफ ईशारा करते हुए मुस्कुराकर पूछा।
' पूरी कॉलोनी में सबने अपने घरों के मुख्य-द्वार पर दोनोंओर हल्दी और मेंहदी के थापे मार रखे हैं। ' उन्होंने अचरज के साथबताया।
' क्या ?' सुनकर परेश अचम्भित रह गया।
' हां , मुझे तो सुबह विपिन ने बताया तो एकाएक मुझे तो विश्वास ही नहीं हुआ।मगर जब मैं शाम को टहलने गया तो देखा , वाकई सबने थापे लगा रखे हैं।जगह-जगह औरतें भी खडी ख़ुसुर-फुसुर करती दिखी ' उन्होंने आगे बताया।हम दोनों की बातें सुनकर प्रतिभा भी पास आकर बैठ गई।
' देखो प्रतिभा , पापाजी क्या बता रहे हैं ?' परेश ने पत्नी की ओर मुखातिब होकर कहा।
' हां पापा , सुबह सामने वाली भी बता रही थी। कहते हैं तीन चार चुडैलें कहीं से छूटकर यहां आ गई हैं। घर-घर जाकर रोटी-प्याज माँगती हैं। यदि कोई तरस खाकर रोटी-प्याज दे देता है , तो रोटी तो वहीं फेंक देती हैं , प्याज को दरवाजे पर ही मुठ्ठी में भींचकरफोड देती हैं और उसका रस चूसकर पी जाती हैं। जिस-जिस घर में उन्होंने एसा किया है , उसी घर के बच्चे बीमार पडने लग जाते हैं। घर में भी तरह-तरह की मुसीबतें आने लगती हैं। प्रतिभा ने पूरी बात बताई। परेश जानकर हैरान रह गया कि हमेंशा पढाई-लिखाई में लगी रहने वाली उसकी पत्नी इस तरह की बातों में भी रुचि लेती है।उसने इस तरह से पूरी घटना का
वर्णन किया कि वो देखता ही रह गया।
' अच्छा , इसलिए सबने अपने घरों के मुख्य-द्वार पर दोनों ओर हल्दी और मेंहदी के थापे मार रखे हैं।क्यों ? लोग भी बस , बात का बतंगड बना लेते हैं और अंधविश्वास में कुछ भी करने लगते हैं। रोटी मांगने-खाने वाली आती ही रहती हैं। चांस की बात है उसी दिन किसी के घर में कोई बच्चा बीमार पड ग़या होगा। बस फिर क्या था ? अफवाह उडते देर लगती है भला ? रोटी-प्याज का किस्सालोगों ने घड लिया और बस शुरु हो गये हल्दी और मेंहदी के थापे। ' परेश के गले नहीं उतर रही थी ये बातें।
' हां , कंवर साब! मैं तो खुद ये देखकर हैरान हूं। आज जबकि आदमी चांद पर जा रहा है। हम अब भी अंधविश्वासों से घिरे पडे हैं। '
' और नहीं तो क्या ?' परेश ने तुरन्त जोड दिया।
' लेकिन सुनो , कुछ तो जरूर होता होगा। तभी तो सबने ऐसा किया है।हम भी थापे लगा लें क्या ? देखो , अपने भी छोटे-छोटे बच्चे हैं। ' प्रतिभा के चेहरे पर भय के भाव स्पष्ट दिख रहे थे।माँ जो ठहरी।
' क्या बेवकूफों जैसी बातें करती हो ? इन सबसे क्या होता है ? तुम तो पढी लिखी हो प्रतिभा। तुम एसी बातें करोगी ?' परेश नेहल्के-से क्रोध के साथ कहा।
' देखो पापा , आप समझाओ ना। यहां भी रोटी माँगने वाली आती रहतीहैं। एक तो कल ही आई थी। ' प्रतिभा ने अपने पिता को एप्रोच किया।किन्तु पिता इस पशोपेश में थे कि दामाद की बात को कैसे काटें ? हालांकि उनके मनोभावों से भी लग तो एसा ही रहा था कि वो भी वही चाहते हैं जो प्रतिभा चाहती है। लेकिन वे कुछ कहते उससे पहले ही परेश बोल पडा ' देखो पापाजी।कैसी बातें करती है ?'
' नहीं प्रतिभा एसा नहीं करते बेटा। ऐसा कभी होता है क्या ? ये सब अफवाहें हैं। अंधविश्वास के सिवा कुछ भी नहीं।अच्छा कंवर साब मैं चलता हूं। ' कहकर वो उठ खडे हुए। परेश बाहर तक उनको छोडक़र आया और वापस कुर्सी पर आ बैठा।अखबार देखने लगा। प्रतिभा जाकर बच्चों का होमवर्क कराने लगी।
रात को सोते समय अचानक प्रतिभा ने बातशुरू की ' देखो सब कह रहे हैं वो चुडैलें यहीं घूम रही हैं । कभी-कभार नजर आती हैं । अक्सर नजर नहीं आती । सामने वाली कह रही थी , प्रतिभा तेरे तो छोटे-छोटे बच्चे हैं । तुझे तो अपने घर के बाहर जरूर लगाने चाहिए हल्दी और मेंहदी के थापे । आप समझते क्यों नहीं ? कल को कुछ हो गया तो ?' उसके स्वर में डर था ।
' अरे पगली! कुछ नहीं होगा। एसा कभी होता है ?' परेश ने उसकी सामने झूलती लट को सम्हाल कर कान के पीछे करते हुए कहा।
' मुझे तो डर लग रहा है। '
' डरने की क्या बात है ? मैं हूं तो सही। '
' आप तो दिनभर ऑफिस में रहते हैं। मैं बच्चोंके साथ घर में अकेले रहती हूं। आपके पीछे से वो आ गई तो ?'
' कोई नहीं आएगा। तुम तो बेवजह इतना डर रही हो। तुम इतनी पढी-लिखी होकर कैसी बात करती हो ?'
' माँ हूं ना।ममता कब पढी-लिखी होती है ?' उसने ब्डी ही मासूमियत से कहा।
' पगली कहीं की। ' लाड में परेश ने उसे गले से लगा लिया और वो बच्चों की तरह उससे लिपट कर सो गई। पास ही बच्चे भी सो रहे थे , निश्चिंत। परेश भी आंखे बन्द कर के लेट गया।
सुबह का समय । यानि भागदौड का समय । बच्चों को नहलाना धुलाना । फिर उनको नाश्ता कराना , दूध पिलाना । परेश को ऑफिसकी जल्दी अलग । सबकुछ के बीच प्रतिभा बेचारी फिरकी हो जातीहै । तिस पर बच्चों का खाने पीने मे नाक-भौं सिकोडना । प्रतिभा उनको डांट ती रहती है और बडबडाती रहती है ।
पम्मी तो एसी बदमाश है कि घण्टों मुंह मेंखाना लिए बैठी रहती है । खाती ही नहीं है । प्रतिभा बार-बार उसकोटोकती रहती है ' जल्दी खा ले । ऑटो वाला आने वाला है । जल्दी-जल्दीदूध पी फिर । ' लेकिन वो है कि मुंह में रखे कौर को ही चिगलती रहती है ।
' देखो , आप कुछ कहते क्यों नहीं इसको ? देखते रहते हो बैठे बैठे। ' उसने परेश को डपट दिया।
' बेटा जल्दी-जल्दी खाओ। देखो बॉबी कितनाअच्छा बच्चा है ? फटाफट खा लेता है। ' उसने तुरन्त बच्ची कोटोक दिया।पास ही बैठाबॉबी मुस्कुरा दिया।परेश ने उसके गाल पर एक चपत लगा दी और झडका कर मौजे पहनने लगा।
' ले खा। ' प्रतिभा ने पम्मी के मुंह में एक कौर और ठूंस दिया था।उसका मुंह बिल्कुल भर गया था। उसको चबाने में भी बडी दिक्कत हो रही थी।बॉबी अपना नाश्ता पूरा करके अपना बैग सम्हालने में लगा था।अचानक पम्मी ने जबरदस्त उल्टी कर दी।पूरी यूनिफॉर्म और डाईनिंग टेबिल गंदी हो गई। परेश ने दौड कर उसे सम्हाला ,' ' क्यों तुम इसके साथ जबरदस्ती करती हो ? जितना खाये ख़ाने दो।बेकार क्यों ठूंसती हो ?' प्रतिभा एकदम जैसे जड हो गई थी। उसको समझ में नहीं आ रहा था कि क्या करे ? ' कोई कपडा लाओ भई। ' परेश ने जोर से कहा , तब उसकी चेतना लौटी।भागकर उसने कपडा दिया। बच्ची के हाथ-मुंह धुलवाए , कपडे बदले। इतने में ही ऑटो वाला आ गया और बच्चे स्कूल चले गए।अनमनी- सी प्रतिभाकाम में लगी रही। परेश भी खा-पीकर ऑफिस के लिए निकल गया।
लंच के समय उसको याद आया कि बच्चे स्कूल से आ गए होंगे । चलो , पम्मी की तबियत पूछ लू ं। फोन मिलाया , घंटी बजने लगी उधर । काफी देर बाद प्रतिभाने उठाया , ' हैलो । '
' मैं बोल रहा हूं। बच्चे घर आ गए ? पम्मी की तबियत कैसी है ?' इधर से परेश ने रूटीन टोन में पूछा।
' बच्चे तो आज घण्टे भर बाद ही आ गए थे। स्कूल की वैन छोड गई थी। पम्मी को स्कूल में भी दो-तीन बार उल्टी हो गई थी। '
' अब कैसी है उसकी तबियत ?' उसके मन में अजीब-सी घबराहट होने लगी ।
' अभी तो सो रही है। '
' बॉबी क्या कर रहा है ?' परेश घबरा रहा था। कहीं प्रतिभा की बात ही सच ना हो रही हो।
' वो भी सो रहा है। '
' ठीक है। मैं आज जल्दी निकलने की कोशिश करताहूं। '
' नहीं , आप आराम से आओ। अब तो वो ठीक है। ' क़हकरप्रतिभा ने फोन रख दिया। किन्तु परेश केमन में अजीब-सी अकुलाहट होने लगी थी।किसी काम में जी नहीं लग रहा था।बार-बार मेंहदी हल्दी को थापों वाली बात याद आ रही थी। रात को जिसे उसने अंधविश्वास कह कर प्रतिभा को समझायाथा। बार-बार उसका ध्यान अब उसी दिशा में जा रहा था। जी उचाट होता देख , अपने सहयोगी को काम सम्हलाकर ' सिरदर्द हो रहा , यार। ' कह कर वो ऑफिस सेजल्दी निकल गया।
कभी मन में खयाल आता कि ' कहीं प्रतिभा जो कह रही थी वे सच तो नहीं । ' फिर अगले ही पल सोचता ' एसा होता है कहीं ? खाने पीने में कोई गडबडी हो गई होगी । बच्चे हैं , सो चीजें खाते हैं दिनभर में । ' बस इसी उधेड-बुन में खोया वो घर की तरफ स्कूटर दौडा रहा था पता ही नहीं चला कि कब घर आ गया । जल्दी से उसने स्कूटर को स्टैण्ड पर लगाया और तेजी से भीतर की ओर दौडा । उसने देखा घर के दरवाजे के दोनों ओर मेंहदी और हल्दी के दो-दो थापे लगे थे । ना जाने क्यों , उन थापों को देखकर उसको एक अजीब-सा संतोष हुआ और उसकी चाल अपने आप धीमी पड ग़ई ।
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 11-02-2013, 05:10 PM   #43
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Wo Aakhiri Mulakat
Hamesha ki tarah aaj bhi mera dil gumsum sa hain, zuban bhihamesha ki tarah aaj bhi khamosh hain, waqt bhi ajeeb khel khelta hain, main ab jeena nahi chahta lekin phhir bhi jiye ja raha hoon...jitna jyada dard mujhe milta hain, pata nahi mujhe utani jyada rahat kaise milti hain..dil ke darwaje kab ke toot ke bikhar chuke hain...lekin phhir bhi is dil me uske siwa aaj tak koyi nahi aa paya, pata nahi kyun.....

"Mujhe ab bhi yaad hain ,wo January ka Mahina tha, jab meri job dehradun ke Vasava company me lagi thi. mujhe office jane me koyi dikkat na no isliye maine ek nayi bike kharid li thi...sab kuch thik chal raha tha,lekin phhir ek din wo din aa gaya, jise nahi aana chahiye tha....."

"us din main apne nayi bike ki chabi ko ghumata hua ,Mall se bahar aa raha tha aur hameshaki tarah aaj bhi mere hath khali the...jab bhi mera time pass nahi hota tha to main mall pahuch jata tha aur kuch der idhar udhar A.C. Ki hawa lene ke baad khali hath nikal jata tha....us din bhi main khalihath Mall se bahar nikla hi tha ki meri nazar ek ladki par ja tiki...wo thodi si ghabrayi hui aankho me pareshani ka sababliye hue thi aur apne hontho ko daanto se chhedate hue apne purse me kuch dhoondh rahi thi..uska dhyan puri tarah uske purse me tha aur mera pura dhyan uspar tha...main na chahate hue bhi uske taraf badhne laga, uska dhyan ab bhi uske purse par hee tha, woteji se Mall ki taraf badh rahi thi aur thodi der baad wo hua jo main chahta tha...wo ek tej jhatke ke sath mujhse takra gayi...hum dono kw beech hui is takkar me uska purse neeche gir gaya, maine pahale se hee soch rakkha tha ki ab wo mujhpar jor se chillayegi,mujhe andha kahegi aur bhi na jaane kya kya soch rakkha tha maine.....lekin usne aisa kuch bhi nahi kiya....wo mujhedekhe bina hee apne purse ko uthate me busy ho gayi......

"sorry....sorry maine samne dekha nahi..."wo apna purse uthate hue boli...

"no problem..."maine kaha auruse apna hath uski taraf badhakar bola"by the way tumhara name kya hain "

"abey sandal se maregi tujhe..."main khud par chillaya"ek to jaanbuchkar usse takrata hain aur upar se name puchh raha hain..."

Apne purse ko sametkar wo khadi hui aur meri taraf dekhkar ek baar phhir sorry boli...main uske sorry bolne keandaz se hee samajh gaya tha ki wo bahut jaldi me hain.....

"maine kaha na, koyi baat nahi...anyway I am Arman andyou"

"ATM card..."usne hadbadate hue jawab diya...

"kya...tumhara name atm card hain..."

"no..no , actually mujhe jaldi se mom ke pass jakar unko ATM card dena hain..wo andar shopping kar rahi hain lekin wo apna ATM card ghar me hee bhool gayi thi...."

wo apna name bataye bina hee aage badh gayi, main use Mall ke andar jate hue dekhta raha, aur thodi der baad mere kadam khud ba khud Mall ki taraf badhne lage....kash ki mere wo aage badhte hue kadam rook gaye hote.....lekin aisa kuch bhi nahi hua, main dobara Mall ke andar gaya aur uska peechha karne laga, us waqt mujhe khud bhi nahi maloom tha ki main aisa kyunkar raha hoon...

maine us se kuch doori par chal raha tha, tabhi maine dekha ki wo ek adhed umra ki aurat ke pass gayi aur apne purse se atm card nikal kar us aurat ko de diya...main ab tak un dono ke bahut karibaa chuka tha aur tabhi mujhe us aurat ki aawaj sunayi padi....

"Aaliya beti, bahutder kar di tumne..."

"Aaliya , bahut achchha name hain"maine khud se kaha...

Aaliya atm card dekar wapas jane lagi,main bhi usi ke peechhe jane laga, itani der se main uska peechha kar raha tha...lekin uska dhyan abhi takmujhpar nahi gaya tha...

"shayad wo tujhe bhool gayi ho..."main udas sa hota hua ekbaar phhir khud se bola, aur samne nazar ghumayi to dekha ki Aaliya mall se bahar ja chuki thi...

.

"yaar ,Arman aaj to bahut tej barish ho rahi hain....."

usi din sham ke samay jab maine office se bahar nikla to mere dost Vikas ne mujhse kaha....

"main to aaj bike bhi nahi laya..."

"chal aaja phhir ,bus me baithkar chal meri tarah ...."

hum bheegate bheegate pahuche ,jis bus se mujhe janatha, wo kuch der me hee aa gayi...main aur Vikas jaldi se bus me chadh gaye, Vikas peechhe ki khali seat par baithgaya aur main bheed ke karan aage tak pahuch gaya,...bus ekbaar phhir rooki ,aur mere bagal wale seat par se ek ladkikhadi hui...us ladke ke waha se nikalne ke baad main turantus khali seat par baith gaya...waha ek aur ladki baithithi ,aur wo khidki se bahar girti barish ka maza le rahi thi, wo ladki koyi aur nahi Aaliya thi, jisne abhi tak mujhe dekhanahi tha....maine us waqt apnekadho ko jor se hilaya, mere is harkat ke karan Aaliya ne meritaraf dekha....lekin agale hee pal wo pahale ki tarah khidki se bahar dekhne lagi...

" beta Arman, bhool jao is ladki ko pane ke Arman...ye to tujhe bhool gayi hain..."ek baar phhir main khudpar chillaya...

iske baad main bilkul shant baitha raha,maine na hee kuchbola aur na hee koyi harkat ki...ek ghante ke baad mujhe jis bus stand me utarna tha, wo aa chuka tha...maine ek baar Aaliya ko dekha aur phhirbus se utar gaya...lekin mujhe hairani tab hui jab maine Aaliya ko bhi utarte hue dekha....main ek baar aur baar try marne ke liye taiyar hua, aur Aaliya se bola...

"Shayad aapne mujhe pahchana nahi...."maine thodadarte hue kaha...

"tum wahi ho na, jo mujhse mall ke bahar takra gaye the..."ek meethi si pyari si aawaj mere kano me padi...

"wo mujhe bhooli nahi...wo mujhe bhooli nahi..."ye baat uchhal uchhal kar waha maujood sabhi logo ko batana chahta tha...lekin maine aisa kuch bhi nahi kiya...

"maine aapko bahut pahale hee pahchan liya tha...."maine dore dalne shuru kar diye the...

"Main Aaliya and you..."

"Arman..."maine usko jawab diya aur man hee man me bola"ye mera dialogue mujhpar hee chhod rahi hain,lekin koyi baat nahi ,sab chalta hain...."

maine ye soch liya tha ki ab hum kuch der aur baat karenge,lekin uske chehare ki rangat achanak hee badal gayi, use na jaane kya hua ki wo chup chap waha se chali gayi aur main use rok bhi nahi paya aur yadi use rokta bhi to kis haq se aur kyun rokta....

.

agale din main phhir bus me office gaya, kya pata aaj phhir Aaliya se aate waqt mulakat ho jaye aur aisa hee hua, jab main bus me chadha to wo mujhe thik usi jagah par dikhi,jaha maine use kal dekha tha...wo usi seat par baithi thi,jaha kal baithi thi...lekin aajuske bagal wali seat khali thi....

"hello, Aaliya..."usko bagal wali seat par main laghbagh kood kar baithata hua bola...

"Arman,..right"usne jawab diya..."

"ya..100 % right...shukar hain,aaj pahchana to sahi..."

uske baad beech beech me hum me se koyi kuch bolta aurdusara uska jawab deta...us din bus se utar kar hum dono ne ek dusare ko bye kaha....

Uske baad humari mulakat hardin hone lagi...Aaliya bhi ab mujhse khul kar baat karti thi aur main...main to pahale se hee khula hua tha

kabhi kabhi aisa hota tha ki uske bagal wali seat par koyi aur baitha rahta tha,lekin mujhe koyi problem nahi hoti thi,hum dono bus stand par kuch der khade hokar baate karte the...samay ke sath sath humari ye mulakat gahrati ja rahi thi...ab hum bus se utar kar pass ke bane coffeeshop me kabhi kabhi chale jate aur waha coffee ki chuskiya lete hue ek dusare se baat karte....

abhi tak Aaliya ke baare me mujhe sirf itna maloom hua tha ki uske ghar me uske siway uske mom-dad aur uskaek chhota bhai rahta hain...uske dad bank me job karte hain aur Aaliya dehradunke Excellence college me b.tech kar rahi thi....humari mulakat din ba din gahrati ja rahi thi...hum laghbagh pakke dost ban chuke the, wo ab aone college ki kuch baate bhi mujhse share karne lagi thi...wo ek pyari si pari thi mere liye...bahut hee masoom...kisi ne uske is bholepan ka fayada nahi uthaya tha abhi tak ,ye achchhi baat thi....

main bhale hee uske liye uska best friend tha,lekin wo ab mere is dil me utar chuki thi...main sota rahu ya jagta rahu, uska hee khayal ,uska hee chehara mere dil-o-dimag me ghumta rahta...mujhe pyar ho gaya tha shayad us ladki si,jo mujhe kisi angel ki tarah dikhti thi....

.

aaj main apni bike lekar office aaya tha, aur sham ko office senikalne ke baad bike lekar bus stand ke pass khada ho gaya...kuch der me bus aakar wahi rooki ,meri nazare Aaliyako dhoondhane lagi....

"Aaliya..."maine Aaliya ko dekhkar aawaj di, wo aaj bhi usi seat par baithi thi...jaha main use pichhale ek mahine se baitha hua dekhta aa raha tha....Aaliya mujhe dekh kar muskura di to maine use apne hath ke ishare se use neeche aane ke liye kaha....wo kabhi mujhe dekhti to kabhi mere bike ko...

"ye pagal kya soch rahi hain, jaldi aa..."maine Aaliya ko aawaj di...

Aakhir kar kuch der baad wo bus se neeche aa hee gayi aur bike ke peechhe wali seat par Aaliya jaisi hee baithi ,maine bike sadak me dauda di...isi ke sath mere khayali Arman meredil hee dil me ubhar rahe the, jinhe dabate hue main Aaliya se bola...

"kya haal hain Aaliya, aaj tum bahut shant si ho...kisi teacher ne class se bahar nikal diya thakya...."

"na...aisi koyi baat nahi hain..."

"khair wo sab chhodo, mujhe kuch kahna hain tumse...bol doon ,bura to nahi manogi..."

"wo to depend karta hain ki tum kahna kya chahate ho..."

.

"main saari raat tumhare baare me sochata rahta hoon, pal-pal tum me khud ko marta hua pata hoon,mera man meradil tumse pyar karna chahta hain.....maine aaj tak sharab nahi pee lekin tumne, tumharepyar ne mujhe madhosh kar diya hain...main har waqt tumhari tareef khud se hee karta rahta hoon,kabhi kabhi main khud sochta hoon ki tumhaqikat ho ya fasana ya koyi sapna.....yadi ye sab ek sapna hain,yadi tumse milna ek sapna hain , yadi tumse baat karna ek sapna hain to main hamesha ke liye so jana chahta hoon, main tumhare sath apni zindagi ka har ek pal beetana chahta hoon....main barish ki girti hui har ek boondme tumhara aksh dekhta hoon, main tumse puchhana chahta hoon ki Aaliya ye kaisi kahani hain humari jo na tumhe samajh aati hain aur nahee mujhe..............."

.
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 11-02-2013, 05:12 PM   #44
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

"abey dekh ke chal ,warna jaldhee upar pahuch jayega...."is aawaj ne mera dhyan toda aurmujhe yaad aaya ki main to sadak par bike chala raha hoon....
"are you alright Arman...."
"haan,main thik hoon..."
"tum kuch kahne wale the..."
"bol doon..."
"i don't know...."
"but i know and that is I Love you..."isi ke sath maine bike sadak ke kinare rok di....
"kya "Aaliya buri tarah hadbada gayi...
"chalo yaha se..."usne sirf itna kaha...uske aawaj me narazagisaaf jhalak rahi thi...main bhi kuch nahi bola aur udas sa hokar dobara bike sadak par dauda di...Aaliya pure raste mujhse kuch nahi boli...
"Aaliya, tumne kuch kaha nahi..."bus stand par maine bike rok di thi ,aur Aaliya jab jane lagi to maine usse kaha...
Aaliya ke badhte kadam rook gaye, wo palat kar boli"iska jawab tumhe kal milega..."
"main intejar karunga,Aaliya..."
.
Uske agale din main bahut khush tha, mujhe jaane kyun ye yakin tha ki wo mujhe haan hee kahegi...dusare din office se nikalne ke baad main lagbagh bhagta hua bus stand ki taraf aaya, kuch der me bus bhi waha aa gayi, Aaliya aaj bhi usi seat par baithi thi, mainhadbadate hue bus me chadha....main abhi dhang se baith bhi nahi paya tha ki Aaliya ne mujhe ek kagaj ka tukda diya aur boli"isme hain mera jawab..."
Wo kagaj ka tukda us samay mere liye kisi heere se bhi keemati ho gaya tha, main turant hee us kagaj ke tukade ko apni jeb me rakh liya....
har din ki tarah aaj bhi bus stand aaya aur Aaliya chup chap bus se utar kar waha se jane lagi...maine usse kuch nahi kaha,...lekin thodi door jaane ke baad wo palti aur mere pass aakar mere gaal par ek kiss kiya, uske aankhe nam thi, Aaliya ki is harkat se main thoda hairan tha...mujhe kiss karne ke baad wo waha se chali gayi..uske jaane ke baad maine hadbadi me wo us kagaj je tukade ko khola,....
.
"Dear Arman.....
maine tumhe apna sirf ek achchha dost samjha tha ,lekintum mujhe pyar karne lage,.main tumse pyar nahi karsakti kyunki main kisi aur se pyar karti hoon aur usse bahutjald meri shadi bhi hone wali hain ...ummid hain aaj ki mulakat ko tum hum dono ki aakhiri mulakat samjhoge aur mujhse dobara milne ki koshish nahi karoge......"
.
Tere jane ke baad bhi main tujhe har raah me dhoondata hoon, main aaj bhi wahi khada hoon,jaha kal khada tha,farak sirf itna hain ki tu aajmere sath nahi hain....main tujhse kahna chahta tha ki mujhe yun is tarah sahil par chhodkar mat ja,yadi tujhe sahil par chhodna hee tha to phhir pyar ki kashti me sawar hee kyun kiya....maine to tujhe ek kanch ki gudiya samajh kar pyar kiya tha,lekin mujhe baad me pata chala ki tera dil to patthar ka tha...mainaaj bhi wahi akela tanha khada hoon,jaha tu mujhe chhodkar gayi thi............................
.
"Arman...abey utha, aaj office nahi jayega kya...."Vikas mujhe pichhale aadhe ghante se jagane ki koshish kar raha tha....
"kya hua be..."main aankhe band kiye hue hee Vikas se bola....
"Arman, mujhe maloom hain ki aaj tu us mall wali ladki ke gam me office nahi jayega,lekin meri bike aaj kharab hain,isliye tu mujhe office chhod de....uske baad bhale hee devdas bankar ghoomate rahna...samjha"
Vikas pichhale ek hafte se mere hee room par tha,..wo mujhe aksar samjhata ki main kyun ek aisi ladki ke liye udas rahta hoon ,jisne mujhse kabhipyar hee nahi kiya....
"abey tujhe samajh nahi aata kya...Aaliya to gayi shadi karke,ab tere yun rote rahne se wo wapas nahi aa jayegi...do saal beet chuke hain us baat ko aurtu aaj ke din rahta kaha hain...."bike ke peechhe baithkar Vikas bola...
"chal aaj tujhe kuch dikhata hoon..."kahte hue maine bike ko dusare raste me mod diya aur kuch der ke baad maine bike rok di....
"oye Arman, ye kaha le aaya be, pagal ho gaya hain kya..."shamshaan ko dekhkar Vikas chaukate hue bola, lekin maine Vikas ki baat ko darkinar karte hue shamshaanke andar ghus gaya, Vikas shuru me thoda hichkichaya lekin phhir mere peechhe-peechhe wo bhi andar aa gaya....
"Vikas ise dhyan se padh...."maine ek kabra ki taraf ishara karte hue Vikas se kaha....
"Aaliya khan...."iske sath hee Vikas ko ek gahra jhatka laga wo kuch der chup raha lekin phhir mujhse bola"iska matlabAaliya zinda hee nahi hain..."
"haan, Aaliya ab is duniya me nahi hain...Aaliya ne hum dono ki us Aakhiri Mulakat me jhooth kaha tha ki wo kisi aur se pyar karti hain aur bahut jald uski shadi bhi hone wali hain, wo kisi college me bhi nahi padhti thi....asal baat he thi ki uske dil me chhed tha aur wo har din apne treatmentke liye doctor ke pass jati thi , wo chand dino ki mehmaan thi...lekin jab tak mujhe ye baat pata chalti tab tak bahut der ho chuki thi,Aaliya is duniya se ja chuki thi......."itna kahkar main chup ho gaya, us waqt mere aankho se aansu tonahi nikal rahe the ,lekin meradil ,meri rooh us waqt apna seena thok thok kar ro rahe the....maine khud ko sambhalaaur apne jeb se gulab ka ek phhool nikal kar Aaliya ki kabra par rakh diya"happy Valentines day Aaliya..."
Aaliya ki kabra par gulaab rakhane ke baad main waha se wapas apni bike ki taraf jane laga maine Vikas ko kah diya tha ki wo meri bike apne sath le jaye,main paidal hee aajaunga....uske baad main bahut der tak paidal chalta raha,paidal chalte chalte main usi jagah pahuch gaya tha, jaha aksar meri mulakat Aaliyase hoti thi....main is waqt apneoffice se thodi door bane usi bus stand me khada tha, jaha se humara pyar parwan chadha tha...main aaj bhi usi bus ke intejar me tha,jis bus me main aur Aaliya sath apne manzil tak jate the...thode intejar ke baad wo bus aa gayi,main seedhe us bus me chadhkar usi seat par baith gaya,jaha aksar Aaliya baitha karti thi....................
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 23-02-2013, 06:36 AM   #45
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Tere Kooche Me...
Lucknow - 1971

All India Radio par Rafi Sahab ki aawaz goonj rahi thi,

Tere kooche mein tera deewana, Aaj dil kho betha, aaj dil kho betha.....

"Bhai wah, gaya jaaye toh aise gaya jaaye varna munh pe tala laga liya jaaye" Sheikh chacha ne chaai ki chuski lete hue kaha.

"Bahut khoob chacha, bahut khoob. Ye toh apne aap mein ek sher ho gaya" Asghar unke saamne rakhi kursi par beth-ta hua bola.

"Aao Asghar miyan" Sheikh Chacha ne muskurate hue kaha "Aaj idhar hamare mohalle ki taraf kaise?"

"Ye toh inka roz ka mamoon hai aajkal" Chaai wale Babu Miyan ne kaha "Shaam ki chaai aajkal ye yahin pite hain"

"Kyun Bhai idhar kahin kaam dhandha pakad liya hai kya?" Sheikh Chacha ne jeb se bidi nikalte hue kaha "Arrey Babu Miyan zara machis pakdaiyega toh"

"Ye machis pakda de zara chacha ko" Babu Miyan ne dukaan mein kaam karne wale ladke ke haath mein machis dete hue kaha.

"Ek chaai de dijiyega Babu Miyan aur saath mein 2 samose bhi" Asghar ne apne sar se topi utarkar table par rakhi "Arrey nahi chacha, kaam dhandha nahi. Aajkal zara pet kaabu mein nahi aa raha, bahar ki taraf bhaga ja raha hai toh in miyan ko zara bas mein karne ke liye shaam ko chehal-kadmi ke liye nikal padta hoon. Aur isi bahane Babu Miyan ke haath ki chaai bhi naseeb ho jaati hai"

"Badi lambi chehal kadmi par nikalte ho Miyan" Sheikh Chacha ne hairat mein dekhte hue kaha "Aapka ghar toh yahan se khaasi door hai, main hota toh shayad Bus se jaya karta"

"Isi liye toh pet qaabu mein aaa raha hai phir se chacha" Asghar ne haste hue kaha "Vo kehte hain na ke bina mehnat kiye kuchh haasil nahi hota"

"Ye baat bhi sahi hai" Sheikh Chacha ne haami milate hue kaha "Aur vaise bhi motapa 50 bimaariyon ki jad hai aur khaas taur mein agar kam umar se hi lag jaaye toh"

"Sahi kaha" Asghar ne gardan hilate hue kaha.

Vo aadtan jhutha nahi tha, balki jhooth bolne se toh vo sakht parhez karta tha par filhal halat hi kuchh aise aan pade the ke jhooth bolna pad raha tha. Ab vo Sheikh Chacha aur Babu Miyan ko ye toh nahi bata sakta tha ke yahan roz shaam isi waqt vo us dilnashin ke deedar ke liye aata hai jise Ghalib ki zubaan agar kaha jaaye toh dekhkar vo jeeta tha aur jise dekh dekh uska dam nikalta tha.
Vo jo ek din yun hi ek shaadi mein usse takra gayi thi aur us ek pal use yun laga ke zindagi ko kareeb se usne aaj dekha hai, ab tak toh bas yun hi jee raha tha.

Sang-e-marmar sa tarasha hua ye badan,
Itna dilkash hai ke apnane ko jee chahta hai.

Surkh honthon mein thirakti hai ye rangeen sharab,
Jise pee kar behak jaane ko jee chahta hai.

Naram seene mein dhadakte hain vo nazuk toofan,
Jin ki nazuk lehron mein utar jaane ko jee chahta hai.


Ek arsa lag gaya use ye malum karne mein ke ek lamhe mein jo chehra uski neend, sukoon haram kar gaya tha vo kiska tha. Us chehra dikash chehra ka naam kya tha, vo kaun thi, kaisi thi aur kahan rehti thi. Aur jab khabar hui toh phir shuru hua roz shaam ko isi waqt Babu Miyan ke yahan aakar chaai pine ka silsila. Vo roz shaam is waqt kahin se apni ek saheli ke saath vaapis aaya karti thi aur vo roz yahan uski raah mein uske deedar ko muntazir hota tha.

Uska naam Shaheen tha aur sirf itna hi vo malum kar saka tha. Vo kya karti thi, kahan jaati thi aur is waqt kahan se aati thi, use kya pasand tha, kya na-pasand tha, in sab baaton se abhi vo ghafil tha. Ab tak usse jo 2 baatein hui thi vo sirf nazron nazron mein hui thi. Vo roz shaam yahan se guzarti, vo kisi deewane ki tarah palken jhapkana bhool kar uski aur dekhta, vo ek lamhe ke liye usse nazar milati aur aage nikal jaati.

Aur us pal ek lamhe ke baad vo phir agle din ka intezaar karne lag jata, phir us lamhe ka jab un dono ki nazar phir ek doosre se milegi.


Tum se kya rishta hai, kab se hai, ye maloom nahin,
Lekin us husn pe mar jaane ko jee chahta hai.

Rakh le kal ke liye ye doosri paazeb bhi,
Kal is bazm mein phir aane ko jee chahta hai.

Bekhabar soye hain vo lootke neenden hamari,
Jazba-e-dil pe taras khane ko jee chahta hai.


Pehle kayi din tak shayad use khabar bhi nahi thi, koi ehsaas nahi tha ke vo yahan us waqt sirf usi ke intezaar mein betha hota tha. Us waqt shayad Asghar ko uske deedar se zyada aur koi khwahish bhi nahi thi, aur koi armaan nahi tha. Vo toh bas us ek bachche ki tarah tha jo rozana ek dukaan ke saamne se sirf isliye guzarta hai ke bahar sheeshe mein rakhe ek mehenge khilone ko dekh kar khush ho sake, bina us khilone ko paane ka armaan kiye.

Par phir aahista aahista ye badalne laga. Uska vahan hona, roz hona aur nazar utha kar uski taraf dekhna shayad us dilnashin chehre ne bhi mehsoos kar liya tha. Aur phir ek din jawab bhi usne bhi nazar utha kar uski taraf dekha, jaise aankhon hi aankhon mein uske sawal ka jawab de rahi ho. Ek aisa sawal jisse dono bekhabar the par ek aisa jawab jo dono ne samajh liya tha.

Aur phir dil mein uske deedar ki khwahish ki jagah ek doosre armaan ne le li. Use haasil karne ke armaan ne. Use apna kehkar bulane ke jazbaat ne.

Vo roz isi jagah se guzarti aur vo roz yahin betha hota. Vo dono ki nazar aapas mein takrati, vo ek pal ke liye muskurata aur vo sharma kar nazar jhuka leti. Khuda ne jaise tamam qaynat jaise us ek lamhe mein samet di thi. Dono jahan ki khoobsurati jaise uski nazar mein bhar di thi. Saare zamane ki ada aur haya ka haasil jaise uska sharma kar nazar jhukana ho gaya tha.

Apne haathon se sanwara hai tumhein qudrat ne,
Dekh kar dekhte reh jaane ko jee chahta hai.

Noor hi noor jhalakta hai chehre se,
Bas yahin sajde mein gir jaane ko jee chahta hai.

Chand chehra hai tera aur nazar bijli,
Ek ek jalwe pe mar jaane ko jee chahta hai.



Aur aaj ka mamoon bhi kuchh aisa hi tha. Theek waqt par vo door se hi aati hui nazar aa gayi thi. Usne apne bikhre hue baalon mein haath phiraya, steel ke glass mein apna chehra dekhne ki koshish ki aur kapde durust karta hua sidha hokar beth gaya. Aas paas nazar utha kar usne dekha ke kahin koi uski taraf dekh toh nahi raha. Sheikh Chacha uthkar ja chuke tha aur Babu Miyan dukaan ke andar jalebiyan talne mein masroof the. Kisi ka dhyaan uski taraf nahi tha aur uska dhyaan door se neele rang ke kapdo mein aati apni khwahish ki taraf tha.

Babu Miyan ki dukaan ek chaurahe par bilkul kone par thi. Dukaan ke saamne sadak ke paas rakhi kursiyon par vo chaai ka glass thaame betha tha. Vo roz ek aur se aati, uske kareeb se guzarti aur sadak paar karti hui sidhi nikal jaati. Ek pal ke liye vo uske kareeb hoti aur lagta jaise saba ka har jhonkha uske jism ko chhuta hua sidha uske seene par dasta de raha hai. Dhadkan pur-josh ho uththi aur nazar pur-sukoon.

Ek pal ke liye mili nazar jaise hazar baatein keh jaati.


Kabse khamosh ho aey jaan-e-haya kuchh toh bolo,
Kya abhi bhi sitam aur dhane ko jee chahta hai.


Par aaj kuchh alag tha. Roz jab tak vo uske kareeb na hoti, apni nazar nahi uthati thi. Bas vo ek lamha jab vo uske nazdeek se guzarti, bas tab hi azar utha kar uski taraf dekhti thi. Jaise is baat ka iqraar karti thi ke uske vahan hone ka ilm use bhi hai. Par aaj vo do nazren thodi door se hi mil gayi thi aur jab milin toh kuchh pal ke liye ek doosre se ulajh kar reh gayin. Na us parizaad ne nazar jhukayi aur na hi Asghar khud nazar phira saka. Vo door se usi ki jaanib dekhti hui uski aur badhti rahi aur ye deewano ki tarah usse nazar milaye raha. Uske saath uski saheli jaane kya kahe ja rahi thi par Asghar janta tha ke saheli ki baat mein vo sirf haan mein haan mila rahi hai, khud uska bhi poora dhyaan Asghar ki taraf hi tha.

Chand ki hasti kya hai, saamne jab suraj ho,
Aap ke qadmon mein mit jaane ko jee chahta hai.

Uske kareeb se guzarti hui vo aage nikal gayi aur aaj pehli baar usne apni nazar ke saath saath apni gardan bhi ghumayi. Vo janta tha ke agar kisi ne Asghar ko uski jaanib yun dekhte hue dekh liya toh ghazab ho jaayega. Vo yahin isi mohalle mein rehti thi aur ye baat ke ek ladka is tarah uske mohalle ke chakkar kaat raha hai uski ruswai ki vajah ban sakti thi. Isliye vo hamesha hi uski jaanib dekhne se pehle is baat ki tasalli kar lete tha ke koi bhi uski taraf nahi dekh raha hai. Un dono ke nazar yun milane ka aur koi gawah nahi hai.

Par aaj jab usne bhi nigaah Asghar ki nigaah se milaaye rakhi toh dil ke haath majboor ho usne palat kar uski taraf dekh hi liya.
Vo sadak paar karti hui doosri aur pahunchi aur phir yun hua jaise ke us ne ek teer sa chhoda jo sidha Asghar ke kaleje ko chaak karta hua nikal gaya. Vo doosri aur pahunch kar ek pal ke liye ruki, palti, Asghar ki taraf dekha, muskurayi aur apne haath mein pakda ek laal rang ka rumaal sadak par gira diya.


Mere daman ko koi aur na chhune paayega,
Tum ko chhu kar qasam ye khaane ko jee chahta hai.

Vo achhi tarah janta tha ke vo rumaal vahan sirf usi ke liye giraya gaya hai. Vo rumaal us waqt uske liye mehaz kapde ka ek tukda na hokar duniya ki sabse besh-keemti cheez ho gayi tha. Ek aisi cheez jiski keemat do jahan ko bech kar bhi nahi lagayi ja sakti thi. Be-ikhtiyaar vo utha aur sadak paar karta hua us rumaal ki taraf badha, apni daayin taraf se sadak par aate us truck se bekhabar.

Chhod kar tumhein kahan chain milega hamko,
Yahin jeene, yahin mar jaane ko jee chahta hai.

Achanak uthe shor se Shaheen aur uski saheli palte. Sadak ke beech jis taraf se vo aaye the, vahan ek kaafi bada sa majma jama ho gaya tha.

"Kya hua?" Usne apni Saheli ki taraf dekhte hue kaha.

"Pata nahi" Uski saheli ne kandhe uchkate hue kaha.

Kuchh pal ke liye dono vahin khade rahe aur phir uski saheli ne us jaanib se aa rahe ek aadmi se puchha.

"Kya hua Bhai-jaan?"

"Koi Truck ke neeche aa gaya" Us aadmi ne udaas chehra banate hue kaha.

"Zyada chot aayi kya?"

"Khatam ho gaya vahin" Kehkar vo aadmi aage badh gaya.

"Bechara" Uske saheli ne kaha aur vo dono phir apne raaste aage badh chale.

Uske saheli ab bhi jaane kya kahe ja rahi thi par Shaheen ka poora dhyaan toh apne us mashooq ki taraf tha jiske liye vo apni mohabbat ke izhaar ke roop mein apna rumaal gira aayi thi.

Kal vo phir vahin betha hoga, kya rumaal uske haath mein hoga ya usne apne gale mein bandha hoga, ye sochkar vo muskurati hui apne ghar ki taraf badh chali
.
*****THE END*****
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 25-02-2013, 07:01 AM   #46
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

MAZHAB
Charo taraf ek ajeeb si khamoshi chhayi hui thi .. doortak nigaah daudaane par kuchh gharo se dhuan bhi nikalta dikhayi pad raha tha .. main ek ghar ke darwaaze par pahuncha , aur dheere se banddarwaze ko dhakela .. halki si charmarahat ki awaaz huyi aur darwaaza andar ki taraf kokhulta chala gaya .. main 2 kadam aur aage badha , sar ko aage nikaal kar andar jhanka ..andar bhi wahi nazaara tha , kahin kisi insaan ka naam-o-nishan bhi dikhayi nahi pad raha tha
Uske aage jaane par bhi wahi manzar dikhayi pad raha tha..sunsaan pade huye ghar , kuchh ke darwaazo par taale pade huye they aur kuchh aisehi lawaris they ..ek ajeeb si murdangi charo taraf chhayi huyi thi
Main iss samay apne shahar Delhi se kareeb 500 km door , yahan Raj nagar mein maujod tha… main ek chhoti si political party ka leader tha aur pehle ek patrakaar bhi reh chukka tha … Rajnagar ki sabse badi khasiyat ( ya yun kahiye ki dur-bhagya ) thi aaye-din yahan hone waale sampryadayik dange ( communal riots) jo yahan ek aam baat thi…poore desh meinkahin bhi , koyi bhi baat hoti thi , aur uska asar yahan hota tha … yahan dono dharm ke logo ki 50-50% ki abaadi thi aur yeh bhi dango ki ek wajah thi …iss baar jab yeh dange huye they to baar-baar yahi kaha jaa raha tha ki yahan ki state government aur police ekvishesh dharm ke logo ka saath de rahi hai …aur iski jaanch ke liye hi Human right commission aur kuchh politicians ka ek group yahan aaya tha , jismein main bhi shaamil tha
Hum sab log shahar ka daura karne ke liye nikle they .... Mere saath ke baki log peechhe hi reh gaye they , lekin main unse alag hokar kuchh aage ko nikal aaya tha..jaanboojh kar , kuchh masala ikattha karne ke liye ..aur kab main kuchh jyada hi aage ko nikal aaya , aur ek muhalle se doosre muhalle mein pahunch gaya , mujhe maloom hi nahi pada ..mere bodyguard mujhe baar-baar rokte rahe , aur mainapne paas maujood camera se tasveere nikaalta raha ..wahanfaili barbaadi ke manzar ki tasveerein
Achanak …ek tez dhamake ki awaaz huyi aur poori gali dhuen ke gubaar mein doobti chali gayi …Mere kadam pehle ladkhadaye , fir main neeche gir pada aur meri aankho ke samne kuchh palo ke liye andhera sa chha gaya … fir jaise mujhe hosh aaya aur maine uth kar ek taraf ko daudlaga di
Gali se baahar nikal kar main ek toote-foote khandahar numa ghar ki aad mein chhup gaya …Meri saanse bahut tez chal rahi thi aur dil ki dhadkane poori rafter se daud rahi thi …maine sar ko jara sa baahar nikaal kar gali mein jhaanka ..ab fir se wahan sannaata chha gaya tha…fir mera dhyaan apne bodyguardski taraf gaya , dono hi dhamaake ke baad se wahan se gaayab they
Aur fir achanak apne peechhe mujhe kuchh aahat si sunayi padi … Jahan maine khada tha, woh ek doosri gali ka aakhiri sira tha ….maine peechhe gali mein dekha aur mujhe aisa mehsoos hua ki gali mein maujood gharo mein se mujhedekha ja raha hai …kuchh hi seconds baad mera shaque yakeen mein tabdeel ho gaya , jab maine kuchh siro ko gharo se baahar jhaankte huya dekha .. Ek ajeeb si dehshat mere oopar haawi hoti chali gayi … Maine fir se sar nikaal kar , doosri taraf waali gali mein jhaanka … ab wahan bhi bhi kuchh halchal sunayi pad rahi thi …sirf gharo ke andar hinahi , baahar bhi 2-3 log dikhayi pad rahe they …aur unke shareer ke peechhe chhipaye huye hathiyar bhi
Mere paas koyi aur chara nahi tha , siwaaye wahan se bhaagne ke ..main gali se baahar nikla , aur apni baayin (left) taraf daud laga di …apne peechhe se mujhe pehle kuchhlogo ke cheekhne ki awaazein sunayi padi aur fir tez kadmo ki …ek saath bahut saare log mere peechhe aa rahe they , aur har ek guzarte pal ke saathunka aur mera faasla kam hota jaa raha tha …yah ek lambi si gali thi , jiske sire par mujhe ek chauraha sa dikhayi pad raha tha …maine apni poori taaakat laga di aur kuchh hi palo mein main chaurahe par pahunch gaya
Chaurahe par pahunchte hi maine charo taraf dekha , har taraf sannaata chhaya hua tha…door door tak insaan ka namo nishan bhi nahi tha , sivaaye mere peeche aa rahe unn logo ke jinke haato se jinda bachna ab mujhe na-mumkin lag raha tha
Maine oopar waale ko yaad kiya aur fir left side mein jaa rahi sadak par daud laga di …. Main be-tahasha bhaag raha tha ki, achanak hi mujhe kisi gaadi ki aawaz sunayi padi auragle hi par ek police jeep left side ki taraf se ek sadak se aayi aur mere se kuchh hi doori par aa kar usne break laga diye
Mujhe aisa laga jaise oppar waale ne meri madad ke liye apne bando ko bheja ho…..maine bina ruke bhaagta raha aur jeep ke peechhe pahunch gaya …. apni saanso ko kaabu mein karne ki koshish karte huye maine pehle ek nigaah jeep ke andar daali aur fir saamne se aate huye unn log par …jeep mein kul 3 police waale they , ek DSP rank ka officer aur 2 sipahi..aur mere peechhe aa rahe unn logo ki ginti 15-20 ke aas paas thi
Who log jeep se 20 meter pehle hi ruk gaye …unn sabhi ke haatho mein alag alag hathiyar they ….kuchh ke paastalwarein thi, kuchh ke paas dande aur kuchh ke haath mein lohe ke sariye .. kuchh logo ne apne chehro ko kapde se dhaka hua tha aur kuchh aise bhi they jinke chehre saaf dikhayi pad rahe they
Jeep mein baitha hua Officer jeep se baahar nikla aur doosri taraf jaakar khada ho gaya…uske peechhe peechhe dono sipahi bhi neeche aa gaye aur apne haato mein maujood rifles ko unn logo ki taraf taan diya …dono taraf se hi khamoshi chhayi huyi thi…koyi awaaz nahi , sirf ek doosre ko dekh rahe they …fir woh log dheere dheere peechhe ko hatne lage aur kuchh der ke baad mud kar wapas apne ilaake ki taraf chale gaye
Police officer jeep ka chakkar laga kar mere paas aaya aur firtez awaaz mein bola “ tumhe maloom nahi hai ki yahan curfew laga hua hai …!!.dekhtehi goli maarne ke aadesh hain”
“main …. Human rights commission ki taraf se hoon….mere saath mere 2 bodyguards bhi they , jo na jaane kahan chale gaye ?” maine uske chehre ki taraf dekha aur kuchh pareshaan lehze mein kaha
woh kuchh second mujhe ghoorta raha , fir poochha “ kahan se gaayab huye hain…?”
“ udhar …dayein mudkar , aage se doori gali ke mod par se …ek dhamaka hua tha wahan , uske baad se woh log gaayab hain ” Maine haath ke ishare se usko samjhaya
Usne apne saath waale dono sipahiyo ko wahan jaane ke liye kaha aur khud jeep ki driving seat par baith gaya…aur mujhe apne saath waali seat par baithne ka ishara kiya…mere baith-te hi usne gaadi ko aage badhaya aur agle chaurahe par laakar rok diya..woh ab udhar hi dekh raha tha jahan uske saathi gaye they
Maine uske seene par lagi huyiname plate ko dekha … Sameer Arya , woh DSP rank kaofficer tha …. Umar koyi 28-29 saal ke aas-paas
Fir achanak mera dhyan apne camera ki taraf gaya , jo ab mere haath mein nahi tha…shaayad dhamaake waali jagah par hi gir gaya tha
“ohh…mera camera “ mere muh se achanak hi yeh shabd nikle …aur DSP ne meri taraf dekha
“kya hua ….? Kaun sa camera..?” usne mere chehre ko dekhte huye kaha
“ Mere paas ek ..camera tha … jo wahin kahin gir gaya hai ” maine kuchh jhijhakte huye kaha
Usne mere chehre ko gaur se dekha …aur fir bola “ aapne apna naam kya bataya tha …?”
“Sameer ……Sameer khan “ maine kaha
“waah….hum dono ka naam toek hi hai …sirf surname ka farkhai ” Usne kaha , aur dheere sehans pada …fir meri taraf dekhte huye poochha
“ maine aapko pehle bhi kahindekha hai …” kuchh der sochne ke baad usne aage kaha “ aap XYZ party ke leader hain na ?”
Maine sar ko hilakar sehmati jatayi
“ aur aap ek patrakaar bhi hain…? “ usne aage poochha
“pehle tha…” Maine usko samjhaya
“Hmm…to netaji yahan humanrights check karne aaye they , ya apni party ke agenda par kaam karne ke liye …? “ usne kaha aur apne aap hi hans pada
“kya bakwas kar rahe ho officer ..!!” Main gurrata hua bola
“ aur saath mein camera lekar ghoomne ka matlab kya hota hai …?” usne mujhe daante huye kaha …uski aawaz mein ek ajeeb sa kadwa-pan tha auraankho mein gussa
“ tum bhool rahe ho ki main yahan human rights ki taraf seaaya hoon , aur jo kuchh bhi yahan tum log kar rahe ho , woh saari duniya ko maloom pad chukka hai …” maine uskodhamkaane ki koshish karte huye kaha
Woh kuchh second mujhe ghoorta raha ..fir apna mobile nikala , apne saath waale ek sipahi ka number lagaya aur usko bataya ki mere haath se ek camera bhi wahan gira hai ,jisko unhe talaash karna hai
Hum dono hi ab khamosh baithey they, aur uss taraf dekh rahe they jahan woh dono sipahi gaye they ….kuchhhi der mein humein dono sipahi dikhayi pad gaye , woh uss jagah par khade they , jahan kuchh der pehle main chhipa hua tha ……aur unke saath hi kuchh aur log bhi they …wahi log jo thodi der pehle mere peechhe , mujhe maarne ke liye bhaag rahe they
“ Tumhaare sipahi unn logo se baate kar rahe hain , jo mujhe maarne ki koshish kar rahe they ……” maine kaha to usne meri taraf aise dekha , jaise meri baat uski samajh mein naa aayi ho …fir bola
“ aur aapki raay mein unko kya karna chahiye ..?”
“ curfew orders ka sahi sahi paalan …tume hi to kaha tha ki dekhte hi goli maarne ke aadesh hain …?” maine uski taraf dekhte huye kaha
“ lekin yeh log aisa kuchh nahikar rahe hain , jo inhe goli maari jaaye ….” usne muskurate huye kaha …” yeh to aapke gumshuda bodyguards ko dhoondhne mein madad hi kar rahe hain”
“ abhi kuchh der pehle hi inn logo ne mujhe jaan se maarne ki koshish ki thi officer … “ maine apne shabdo ko chabatehuye kaha
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 25-02-2013, 07:02 AM   #47
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

“ abhi kuchh der pehle hi inn logo ne mujhe jaan se maarne ki koshish ki thi officer … “ maine apne shabdo ko chabatehuye kaha
“kaun kehta hai …!! woh log aapke peechhe bhaage jaroor they ..lekin unhone aapko koyinuksaan nahi pahunchaya
“iska matlab agar woh mujhe jaan se maar dete , tabhi aap unko kasoorvaar maante ?…eknihatte aadmi ke peechhe , hathiyar lekar bhaagna koyi jurm nahi hai ..? “ maine uski aankho mein jhaankte huye kaha
“ aur aap yeh chahte hain ki main inn sab ko line mein khada karke , goliyon se uda doon … tab aapke human rights ka ulanghan nahi hoga ?” usne bhi bina nazrein hataye kaha …mujhe ghoorte huye
“aapka farz to yahi kehta hai DSP saahab…!” maine kaha aurtabhi mere mobile ki bell bajnelagi …maine call receive ki , yeh mere bodyguards mein se ek ka phone tha …..usne mujhe bataya ki dangayio ne unke oopar hamla kiya tha auruske baad unka peechha bhi kiya …jab maine poochha ki unhone apne bachaav mein goli kyon nahi chalayi , to unhone kaha ki woh log officially uss area mein nahi jaa sakte they , isliye unka firing karna bhi jaayaj nahi tha
Maine unko bataya ki main ab safe hoon , aur unko apni postion bhi batayi …DSP Arya se poochhkar maine unko bataya ki wahan se thoda door, Shanti chauk naam ki jagah hai , jahan woh mera wait karein
Maine phone disconnect kiya , aur tab tak woh dono sipahi bhi wahan aa gaye …unmein se ek ke haath mein mera camera bhi tha … unhone ishaare se DSP se poochha…DSP ne apna haath badha kar, camera uske haath se le liya aur saamne dash board ke oopar rakh diya … fir usne dono sipahiyon ko peechhe baithna ka ishara kiya aur unke baith’te hi gaadi aage badha di
“ aap mujhe mere farz ke baare mein kuchh sikha rahe they Khan saahab …? ” thoda aage jaate hi DSP ne mujh se sawaal kiya
“main yahi bata raha tha ki aapne unn logo ko sirf iss liye jaane diya , kyon ki woh log aapke mazhab ke they …aapkoapna police ka farz bhi nibhana chahiye DSP saahab…” maine chubhte huye swar mein kaha
“aapko kya lagta hai , woh log aapke peechhe kyon bhaage they ?...aapne unka kya bigadatha …?” Usne ulta mujh se sawaal kiya , muskurate huye
“ kyon ki main unke mazhab ka nahi hoon …” maine bewkoofi bhara jawaab diya…na chahte huye bhi
“ kya appki soorat par yeh likha hua hai ki , aapka mazhab kya hai ?” usne agla sawaal kiya …jiska jawaab mere paas nahi tha
“ woh log mujhe jaante honge…” maine ek aur tark diya
“ha ha ha …aap samajhte hain ki aap itne mash’hoor hain ki har ek aam insaan aapko jaanta hoga “ usne mera majaak udaate huye kaha aur fir aage bola
“ woh aapke peechhe sirf aapko daraane ke liye bhaage they … woh bhi iss liye , kyon ki aapke haath mein ek camera tha ”
“ aap yeh baat isliye keh rahe hain DSP saahab , kyon ki woh log aapke hi mazhab ke hain…doosre dharm ke log hote to shaayad aapne unko goli se uda dena tha” maine apne dil ki baat uske saamne rak di , bina kisi hich-kichahat ke
Usne gaadi ko break lagaye aurmeri taraf dekhne laga ..fir apna revolver nikala aur meri taraf taan kar bola
“ aap bhi to mere mazhab ke nahi hain Khan saahab…maine chahun to abhi , yahinaapko bhi goliyon se uda saktahoon … kisi ko pata bhi nahi chalega ki aapke saath kya hua tha ” Usne gurrate huye kaha
“ tum aisa kuch nahi kar sakte ho …main yahan sarkaari mehmaan hoon ..mujhe kuchhhua to tumhare department aur sarkaar ki choolein hil jayengi..” maine apni poori himmat batorte huye kaha
“ sirf iss shahar mein …iss ilaake mein aap gair-kanooni taur se guse ho jiske liye aapko goli se udaya ja sakta hai …aur waise bhi aapke marne ke baad kisko pata chalne waala hai ki aapko kisne maara …police ne ya ki dangayio ne ” usne daanto ko peeste huye kaha
Main bilkul chup tha.. usne kuchh der mujhe ghoorte rehne ke baad gaadi aage badhayi aur fir thodi door chal kar ek chaurahe par rok di…chaurahe par ek taraf ek mandir aur ek maszid ek saathbani huyi thi, bilkul agal-bagal mein ...DSP ne ek taraf ishara karte huye kaha
“ yeh saamne ka ilaaka dekh rahe hein …yeh saara ilaaka , aapke mazhab ke logo ka hi hai ..aap yeh camera lekar andar jaaiye aur yahan ke bhi photo kheenchne ki koshish keejiye …aapko maloom pad jaayega ki jo kuchh maine kaha woh sahi hai ya galat …”
Uski aankho se angaare baras rahe they …maine ek baar uss taraf dekha jahan usne ishara kiya tha , lekin meri himmat nahi huyi ki main gaadi se baahar pair bhi nikaal sakoon..
“ inn dangayiyon ka koyi mazhab nahi hota hai Khan saahab …yeh sirf apne aur paraye ko pehchante hain…aap chahein kisi bhi mazhab ke ho , yeh agar aapko nahi jaante to aap inke dushman hain ..”
“ yeh jagah , jahan hum khade hain hain , isko Shanti chauk kehte hain.. aap dekh rahe hain na , yahan mandir aur maszid ek saath bane huye hain .. dono dharm ke log Diwali , holi , Eid saare tyohaar yahin par ek saath manaate hain, apna apna mazhab bhoolkar …unko uss samay sirf insaniyat ka mazhab yaad rehta hai … yeh aap jaise log hihain jo unko yaad dilate hain ki unka asli mazhab kya hai ”
“ tum kyon sirf raj-netaon par saare ilzam laga rahe ho…aapko maloom nahi shaayad ki humaare mulk ki police bhi sabse corrupt mehkamo mein se ek hai …” maine baat ko uski taraf ghumaane ki koshish ki
“Ji haan , bilkul sahi kaha aapne …lekin fir bhi humaare mulk ke kam se kam 20% log abhi bhi imaandar hain , aur inn 20% logo ki wajah se hi humaara desh abhi tak chal raha hai aur humaara bharat abhi tak mahaan hai ..” usne kaha aur fir aage bolna shuru kiya
“ aap mujhe mere farz ke baare mein samjha rahe they Khan saahab , jabki aapko apna khud ka na farz maloom hai aur na mazhab , woh bhi tab jabki aap umra mein mujh se kaafi bade hain , aur shaayad samajhdar bhi “
“aap yahan yeh dekhne aaye hain ki kahin aapki kaum ke saath kuchh galat to nahi ho raha hai …jabki aapka apna farz aur aapka mazhab , aapka Raj-dharm yeh kehta hai ki aapko unn wajah ko dhundhna chahiye jinki wajahse yahan aaye din dange hote hain ”
“ maaf keejiyega khan saahab, main yeh sab kuchh sirf aapke liye nahi keh raha hoon..aap jaise unn sabhi logo ke liye keh raha hoon jo rajneeti ki rotiyan sekne ke liye , masoom logo ki jaan se khelnemein bhi perhez nahi karte .. aur fir jakhmo par namak lagaane ke liye aa jaate hain ..”
Main bina bole uski baat sun raha tha ,aur samajh bhi raha tha ..main apne sar ko jhukayebaitha raha ..meri himmat nahiho rahi thi ki main uss se nigaahein mila sakoon
Usne fir se gaadi ko gear mein daala aur aage badhaya hi tha ki tabhi mujhe apne daayen seene par ek teekhi chubhan ka ehsaas hua …mere shareer mein dard ki ek lehar si daud gayi aur mera dhyaan aur haath dono ek saath uss jagah par pahunche …aur kuchh ki palo mein mujhe wahan se khoon behte hua dikhayi padne laga …mujhe goli lagi thi , jo shaayad kahin door se chalayi gayi thi
Maine khauf se DSP ki taraf dekha…jo khud bhi hairani se mujhe dekh raha tha .. fir meri aankho ke saamne andhera chhata chala gaya
“ himmat mat haarna Khan saahab ….hum aapko kuchh nahi hone denge ” DSP Sameer arya key eh aakhiri shabd mujhe sunaayi pade , uske baad main gehri behoshi mein doobta chala gaya
Mujhe hosh agle din hospital mein aaya .. mere shareer se khoon kaafi beh gaya tha aur doctors ne mujhe bataya ki meri jaan bachane ke liye mujhe khoon ki 6 units chadhani pad gayi thi .. blood donate karne waalo mein aur logo ke alaawa ek naam DSP Sameer Arya ka bhi tha
uss hi din mujhe ek special plane se waapas Delhi le jaaya gaya …aur tab tak main Sameer Arya se dobara nahi mil paya
Delhi aakar kuchh hi hafto mein main theek ho gaya….dheere dheere mera jakhm bhi bhar gaya , lekin Sameer Arya ki baatein mujhe hamesha yaad aati rahi aur mujhe andar se kuredti rahi
3 saal baad
Main fir se Raj nagar aaya tha…iss baar ek patrakar ki haisiyat se ..maine apni party chhod do thi , aur ek national news paper mein kaam kar raha tha
Sham ke samay , apna saara kaam nibtaane ke baad jab main waapas apne hotel ki taraf jaa raha tha , tabbi mujhejaise kuchh yaad aaya …maine gaadi ke driver se sawaal kiya
“ kareeb 3 saal pehle yahan ke DSP hua karte they , Sameer Arya ……kya ab bhi hain …?”
Usne mud kar meri taraf dekha, fir bola “ kya aapko nahi maloom saahab unke saath kya hua tha …?”
“nahi ..!.. kya hua ?” maine hairani se usko dekhte huye kaha ..kisi anhoni ki aashanka mein mera dil dhadakne laga tha
“ chaliye ..aapko kuchh dikhata hoon” usne kaha aur saamne dekhte huye gaadi ki speed tez kar di ..maine raaste mein uss’se poochhne ki koshish bhi ki , lekin woh binakuchh bole gaadi drive karta raha
Kuchh hi minute baad usne gaadi ko ek chaurahe par rok diya ..aur fir ek taraf ishara kiya ..
Maine uski batayi huyi disha mein dekha .. hairaani se meri aankhe chaudi hoti chali gayi aur main gaadi se utar kar uss taraf chal diya
Yeh wahi chauraha tha jisko pehle Shanti chauk kehte they..wahan chaurahe ke beecho-beech ab ek bade se chabutre par ek moorti lagi huyi thi , Sameer Arya ki murti ..aur uske neeche lage huye ek patthar par likha hua tha ..
Shaheed Sameer Arya Chauk
Raj nagar ke poorva DSP ki yaad mein banaya gaya
27 October 2008 ki raat ko kuchh dangaiyon ne shahar ki prasiddh badi maszid par hamla bol diya , DSP Arya ne na keval akele dum par unn dangaiyon ka saamna kiya , balki wahan maujood 40 se jyada logo ki jaan bhi bachayi ,aur khud dangayion ke hamlo ka shikar hokar veergati ko prapt huye
Raj nagar ke nivasi Shaheed Sameer Arya ko unki bahaduri aur shahadat ke liye salaam karte hain
Padhte padhte kab meri aankhe bheeg gayi mujhe maloom hi nahi pada ..main khud-ba-khud ghutno ke bal uss ‘Aman ke sipahi’ ke saamne jhukta chala gaya , jisne mujhe zindagi ka ek nayasabak sikhaya tha aur mujhe mera asli mazhab yaad dilaya tha
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 02-03-2013, 07:59 AM   #48
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Raabta(Via Net)
Aur usne ek baar phir us dil ke shape mein bane ring-case ko khola aur ulat pulat kar anguthi ko dekhne laga. Sawal ek baar phir vahi tha jo kal shaam se uske dil mein kam se kam 1000 baar uth chuka tha,
"Is she gonna like it? Did i make the right choice? Should ihave picked another one?"
Kuchh na kuchh toh zaroor hona hai,
Saamna aaj unse hona hai.....
Kyunki jo chamakti hui si cheez usne apne haath mein thaam rakhi thi vo sirf ek anguthi nahi thi, ek piece of jewellery nahi thi. Uske haath mein us waqt jaise uska dil thaaur dil mein hazaron armaan the. Hazaron khwaab the jo ab us ek sawal mein simat aaye the jo vo is anguthi ke zariye puchhne ja raha tha. Hazaron khwahishen thi jo ab simat karek pal mein sama jaane wali thi.
Pichhle ek mahine se usne shehar ke har chhote bade jewellery store ke chakkar lagadiye the. Irada sirf ye tha tohfa khaas ho kyunki jis haath ki shaan ye anguthi badhane wali thi vo haath uske liye bahut khaas tha. Jin aankhon mein chamak aani thi vo aankhen khaas thi. Jin baahon ne use thaamna tha, vo baahenkhaas thi. Jo jism khushi se uske saath lipat jaane wala tha, vo jism khaas tha. Jo kadam zindagi bhar ab uske saath kadam se kadam milane wale the, vo kadam khaas the. Vo ladki bahut khaas hai, vo eklamha bahut khaas hai, vo puchhe jane wala sawal khaas hai, uska jawab khaas hai toh tohfa kaise mamuli ho sakta tha.
Par ab jabki ek anguthi par usne faisla kar liya tha toh sawal phir uthne laga tha ke kya vo isse behtar kuchh la sakta tha.
Sawal-e-zindagi aaj karke unsedekhenge,
Kya phir unka jawab hona hai....
Use bakhubi yaad tha vo din jab usne pehli baar usko dekhatha. Vo pal jo uski zindagi ko hamesha ke liye badal dene wala tha. Vo pal jab uske dil ki dhadkan ek hi waqt par tez bhiho chali thi aur dheemi bhi. Vo pal jab tamam qaynat jaise thehar si gayi thi. Vo pal jab aaftab ki roshni, mehtab ki thandak, sitaron ki chamak, phoolon ka rang, baarish mein bheegi mitti ki khushbu aur na jaane aisi kitni khoobsurat cheezon ka noor simat kar ek chehre mein aa gaya tha.
"Well, he will be your trainer. He is one of the best we got and with him you will be in good hands"
Us ladki se uska ta'arruf karayagaya aur ladki ne muskurate hue apna haath aage badhaya.
"Hi"
Vo ek alfaaz ek taraf aur duniya bhar ki aawaz ek taraf. Har saaz tham gaya, har sur badal gaya, har taal thehar gayi.
"Hi" Kisi bevakoof ki tarah use ektuk dekhte hue vo phir hosh mein aaya aur apna haath aagebadha kar uske haath ko thama.
Us haath ki narmahat, us jism ki garmi phir vo kabhi bhoola hi nahi. Jo us haath ko thama toh dil yun chaha ke phir kabhichhode hi nahi. Zindagi bhar yun hi uska haath thaame khade rahe aur apne dil ki tasalli karta rahe ke vo yahin hai, uski nazar ke saamne, uske khyaalon ke bahut paas.
Aur phir zindagi kab badal gayiiska ehsaas use khud bhi nahi hua. Subah aankh khulti toh chehre par muskurahat hoti aur dil mein bas yahi khyaal hota ke vo phir uske kareeb bethegi, uski pahunch ke bahut paas. Sara din uski baat gaur se sunegi, usse kuchh sawal karegi, uske kuchh jawab samjhegi. Halanki ye baat vo khud bhi jaanta tha ke saare sawal, saare jawab sirf us kaam ko lekar honge jo sikhane ka zimma use diya gaya tha par sirf ye khyaal ke us waqt vo duniya jahan ko bhool kar sirf uski baat sun rahi hai, sirf uski aankhon mein dekh rahi hai uske dil ko khush karne ke liye kaafi hota tha.
Yun toh shakal soorat se vo bhikoi bura nahi tha. Ladkiyon ki kami use bhi nahi thi par us ek chehre ki masoomiyat uske harhausle ko past kar deti thi. Vo jab saamne hoti toh yahi khyaal hota ke kaise use apne dil ki baat bataye, yahi darr hota ke kahin vo uske dil ki badhti dhadkan ka shor sun na le, kahin uski aankhon ki chori pakad na le. Kahin use is baat ka gumaan na ho jaaye ke uske dil mein kya chal raha haiaur kahin vo phir khafa hokar munh na pher le.
Anguthi ko vaapis ring-case ke andar rakh kar usne ek nazar apni ghadi par daali. Usse milne ka waqt ho chala tha. Taiyyar toh vo subah se hi hokar betha tha. 10 baar kapdebadal chuka tha. Aaj ka din khaas tha aur vo khud bhi khaas dikhna chahta tha. Vo hamesha ye sikayat karti thi kevo kapde kabhi dhang ke nahi pehanta aur uska dressing sense bilkul bekaar tha. Toh us khaas din ke liye usne anguthi ke saath saath kapde bhi naye kharide the, bilkul vaise jaise ke vo pasand karti thi. Aaj ka din sab vaisa hi hona tha jaisa ke vo pasand karti thi.
"This can not get into anythingserious. It wil be over one day and i just want to keep that clear"
Haan bolte hue usne ye baat bhi saaf kar di thi ke ye rishta sirf waqti hoga, ke vo ek din apne raaste chali jaayegi. Par vo phir bhi khush tha. Jaise ek munh maangi murad mil gayi thi. Vo uske saath ka iqraar kar rahi thi. Toh kya hua agar ye iqraar sirf kuchh waqt ke liye tha. Toh kya hua agar ye saath phir ek baar chhut jaana tha. Chand lamhe uska haath thaam kar beete lamhen us ek zindagi se toh behtar hone wale the jahan vo sirf uski khwahish hi kar sakta tha.
Aur phir 3 mahine baad hi ek din vo uska haath thaame, bheegi aankhon se boli,
"I am in love with you, so much. I want to spend my life with you"
Aur yahan se shuru hua vo safar jiska har lamha khushiyon se bhara hota tha. Jo kabhi is rishte ko waqti bataraha tha aaj zindagi bhar ke liye uska saath chahti thi.
Uske har kadam par duniya uske kadmon mein hoti thi. Vo khush rehta tha aur ye khushi uske chehre se, uski aankhon se saaf numaya hoti thi. Din bhi us ek naam se shuru hota tha aur khatam bhi us ek naampar. Raat aati thi toh uske khwaab lekar aur jaati thi toh usi ke khyaal dekar. Vo uske har pal mein shaamil thi, har saans mein shaamil thi, har baat mein shaamil thi.
Itna darna bhi kya hai duniya se,
Jo bhi hona hai so toh hona hai...
"You ready my man?" Vo restaurant ke manager se bola jo ke uska dost tha.
Manager ne haan mein gardan hilayi aur usko gale lagate hue ek baar phir badhai di. Subah haseen thi aur vo manager kya, poori duniya jaise use badhai de rahi thi. Usne plan kiya tha ke vo khaana order karenge aur bilkul kisi filmi style mein vo manager us anguthi ko uske drink mein daal kar laayega. Jab vo apna drink pikar glass khaali karegi toh neeche padi anguthi use dikhayi degi aur yahi vo pal hoga jab vo apna haal-e-dil usesunayega.
Zindagi aur maut ka matlab,
Tumko pana hai, tumko khona hai ....
Use yaad tha ke ek din jab usnephone kiya to vo kisi chhoti bachchi ki tarah ro rahi thi.
"Meri anguli darwaze mein aa gayi" Vo subakte hue boli thi.
Usne rone ki aawaz sunkar jaise uska kaleja munh ko aa gaya tha. Dard ki ek lehar uske khud ke dil mein uthi aur pata hi nahi kab khud uski apni aankhen bhi nam ho chali thi. yahi vo lamha tha jab use ehsaas hua tha ke vo kitni shiddat se use chahta hai. Kitna dil-o-jaan se marta hai keuski takleef mein khud apni takleef mehsoos kar raha hai. Ke uske aansuon mein khud apne aansoo mehsoos kar raha hai.
Aur yahi vo lamha tha jab use apne aapse ye wada kiya tha ke vo kabhi use kisi tarah ki takleef nahi hone dega. Ke vo zindagi ke har par pal mein uske saath rahega. Ke vo jis cheez ki taraf ishara kar degi, vo uske kadmon mein lakar rakh dega. Ke vo uski har khwahish ko uski aankhon mein padh kar zubaan par aanese pehle hi poori kar dega. Ke aaj jin aankhon mei aansoo hain, vo phir kabhi un aankho ko nam hone nahi dega.
"Ye cigarette chhod kyun nahi dete, kyun zabardasti zehar apne hi jism mein bharte rehte ho?"
Vo jab bhi cigarette jalata tha, hamesha jhunjhla kar uska yahi jawab hota tha.
"All right, i will quit" Aur hamesha vo cigarette bujhata hua yahi kehta tha.
Uthke mehfil se mat chale jana,
Tumse roshan ye kona kona hai ...
Usne haath ke ishare se manager ko ishara kiya ke abhidrinks na lekar aaye. Vo kuchh bhujhi bhujhi si lag rahi thi. Hamesha se jis tarah uski aankhon mein khushi hoti thi, aaj vo nahi thi. Hamesha jis tarah vo uske saamne bethi chehakti rehti thi, aaj kuchh khamoshi khamosh si thi.
"Everything all right?" Usne apne haath mein uska haath lete hue kaha.
"We cant meet now. I cant see you anymore. This is the last time"
Jab usne ye kaha toh ek pal ke liye laga ke vo koi mazak kar rahi hai. Chhed rahi hai use jaisa ke vo hamesha karti thi par jab uski aankhon ki sanjeedgi ko dekha toh ehsaas hua ke vo sach bol rahi thi.
"Tum jaante ho ye achhi tarah ke mere parents kabhi nahi maanenge. Unhone mere liye koi aur ladka dhoondha hai. Main kaafi din se tumhein batane ki koshish kar rahi thi par tum hamesha baat taal dete the"
Aur vo sach keh rahi thi. Vo pichhle 2 hafto se keh rahi thi ke use kuchh baat karni hai parvo ye soch kar betha tha ke shayad vo shaadi ki baat karegiaur hamesha ye soch kar taal jata tha ke vo khud use pehle propose karega.
"I am their only child. Unhone bahut kiya hai mere liye" Vo uske saamne bethi keh rahi thi"Main unka dil nahi tod sakti aur agar main tumhare saath rahi toh unhen dukh pahunchaongi. I cant do it, i amsorry"
Vo uthkar chali gayi toh vo pichhe betha yahi sochta raha ke usse nafrat kare ya uske liyegaye faisle ki izzat kare. Vo khud bhi nahi chahta tha ke uske khatir vo apne maan baapko takleef de, dukh pahunchaye. Ek sawal zindagi ne saamne la khada kiya tha ke uske faisle mein uska saath dekar kya usne sahi kiya, ya galat. Ek aisa sawal jo shayad zindagi bhar ab uska saath dene wala tha.
Vo chah kar bhi koi shikayat nahi kar saka aur na use rok saka. Vo chali gayi aur vo khamoshi se apne haath mein pakdi anguthi ko phir ulat pulat kar dekhne laga.
Ek raabta jo kabhi mohabbat ka tha ab sirf ek is sawal mein aakar simat gaya tha ke sahi kya hota. Agar vo use rokta, uski minnat karta aur use shaadi ke liye manata kya ye sahi hota ya uske faisle mein uska saath dekar, uski baat ko poori izzat se maankar usne sahi kiya. Sawal ek uske dl mein subah bhi tha aur sawal ek uske dil mein ab bhi reh gaya.
Todo, phenko, rakho, karo kuchh bhi,
Dil hamara hai, kya khilona hai?
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 14-03-2013, 06:38 AM   #49
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Hafiz Khuda....
Aur phir ek din jaise kisi ne keh diya "Lights Out"

Aur har taraf ek andehra sa chha gaya. Ek aisa andhera jiska koi aakhir na tha. Saari qaynat roshni se nikal kar ek kaale badal mein simat gayi, ek andha kuan ban gayi. Ek aisi gehri surang jiske chhor par koi roshni nahi thi.

Raat aur din ka farak simat kar sirf shor mein seemit ho gaya tha. Jab shor tha toh din tha, jab sannata tha toh raat thi. Jab aawaz thi toh mehfil thi, jab khamoshi thi toh tanhai thi.

Zindagi bhi ek ajeeb shay hai. Apne aap mein ek ajooba. Aur usse bhi badi ajeeb cheez hai is zindagi ke pehlu jo har jagah alag hote hain, har pal alag hote hain. Kabhi kabhi koshish ke baad bhi nahi badalte aur kabhi is qadar badalte hain ke kadam mila pana mushkil ho jata hai. Kabhi zindagi har pehlu ko apne saath rakhti hai aur kabhi kabhi zindagi ko pehlu ke saath hona padta hai.

Ek janwar ki zindagi ke shayad do hi pehlu hote hain. Pet bhar kar khana aur mausam aane par prajanan karna, apne qism ko aage badhana.

Toh sawal ye hai ke insaan ko janwar kyun kaha jata hai? Insaan ki zindagi mein sirf ye do pehlu kahan hote hain?

Paida hote hain toh pata hi nahi hota ke kya ho raha hai? Jab hosh aata hai toh zindagi ki bhaag daud shuru ho jaati hai. Ek aisi daud jo har pal, har din ek naya pehlu dikhati hai aur phir aakhri pehlu maut ka hota hai.

Vo bhi isi daud ka ek hissa tha aur maqsad bhi uska bhi vahi tha jo har bhaagne wale ka hota hai, daud jeetna.

Sabse aage nikal jana. Pehla number lekar sabko pichhe chhod dena. Vahan jakar khade hona jahan sab use izzat bhari nazar se dekhen, jahan vo apni har zaroorat ko xxxxxki mein poora kar sake. Jahan use jeb mein haath daalte hue ye na sochna pade ke kitne paise bache hain, jahan use menu card dekh kar sabse sasti dish na dhhondhni pade, jahan use cheez kharidne se pehle price tag na dekhna pade. Kuchh lene ke liye pasand hi ek shart ho aur keemat apna vajood kho de.

Aur kuchh waqt pehle tak vo is daud mein aage hi toh chal raha tha. School mein topper, har subject mein sabse behtar, sports mein awwal. Zindagi ka sirf ek hi maqsad tha. Apne aapko gareebi ki galiyon se nikal kar ameeri ke mohalle tak pahunchana. Aur is maqsad ko haasil karne ke liye vo sab kuchh qurbaan karne ko taiyyar tha, aur kiya bhi tha.
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 14-03-2013, 06:44 AM   #50
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 23
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Jab bachpan mein bachche khelne ke liye bahana dhoondhte hain, kitaabon se bachkar nikalte haain, us umar mein uski duniya school bag ke andar thi. Har teacher ka vo pasandeeda student tha kyunki vo kabhi school se chhutti nahi leta tha, koi period bunk nahi karta tha. College mein vo har ladke ladki ka idol tha. Har koi yahi samajhta tha ke sabse bright future usi ka hone wala tha.

Kisi ko kya khabar thi ke uske future ki brightness sirf college ke deewaron tak hi seemit ho gayi thi. Final year pass out karne ke kuchh din baad hi ek din jab vo apni bike par ghar se nikla toh sidha hospital ke bistar par aakar gira.

Uske bade bhai ne bataya ke vo 2 hafte se coma mein raha tha. Sar par bahut gehri chot thi jiski vajah se vo behoshi se bahar nahi aa pa raha tha aur jab aaya toh duniya andheri ho chuki thi. Aankh khuli toh sahi par kuchh dikhai nahi diya.

Aur zindagi ke drama director ne keh diya "Lights Out".

Bhagwan mein uska bahut gehra vishwas tha. Mandir se masjid tha, church se gurudware tak, har jagah vo maatha tika kar aaya tha. Langar mein sewa mein hamesha haath batata, mandir mein ek din safai ka zimma uske sar tha, masjid mein har friday namaz ki line mein khada ho jata aur Sunday ko church. Ye uska schedule tha jo kabhi miss nahi hota tha.

Aur use yakeen bhi tha ke bhagwan uski mehnat ka sila use de raha tha. Mauka bhagwan use deta tha aur apni mehnat se us mauke ko nateeje mein vo badal leta tha.

Par ab sab badal gaya tha. Bhagwan mein jo kabhi vishwas tha vo ab sirf shikayat mein badal kar reh gaya tha.

Jab kabhi tanha hota toh yahi sochta ke aakhir usne kisi ka kya bigada tha jo use ye saza mili. Kahan galti hui jiska jurmana use apni aankho ki roshni se bharna pada. Kal tak jo kabhi doosro ka sahara banta tha, aaj kyun use bathroom tak jaane ke liye bhi kisi ka haath pakadna padta tha.

Aur akele mein vo roya bhi bahut. Kabhi apni kismat par toh kabhi bhagwan ki na-insafi par. Shikayat bhi bahut thi. Kabhi khud se, kabhi zindagi se aur kabhi uperwale se par badla kuchh bhi nahi. Thak haar kar ek baar use phir zindagi se samjhauta karna pada par is baat us samjhaute mein bhagwan jaise shabd ko usne hata diya tha.

Agar ab zindagi bhar bina kuchh dekhe use khud hi ladna tha toh kaahe ka bhagwan. Uske khuda ko hi khuda haafiz keh diya tha...

"Are you ready?" Bade bhai ki aawaz se uska dhyaan toota.

"Does it matter or do i have an option?" Usne sawal ka jawab sawal se hi diya.

"Come, lets go" Bade bhai ne uski baat ka jawab diye bina uska haath thaam kar use khada kiya aur haath mein ek chhadi thama di.

"New one?" Usne chhadi ke handle se andaza lagata hua kaha.

"Yeah, its a bit longer than the older one. Should be able to get you a little more clearance on your path"

"Its funny" Usne haste hue kaha

"What is?"

"Nothing, never mind. Chaliye"


Bhai ke haath ka sahar lekar vo aage badh aur apne flat se bahar nikla. Pichhle 2 mahino se uska zydatar waqt yahi andaza lagate hue nikla tha ke ghar ke kaun si cheez kahan tha.

Pehle jo vo har cheez yun hi bedhyani se phenk diya karta tha, ab dhyaan se andaze ke saath rakhni padti thi aur us jagah ko yaad rakhna padta tha taaki agli baar aasani se mil jaaye. Ab har cheez ki ek jagah ban gayi thi aur agar vo cheez apni jagah par nahi thi toh uska hona na hona ek hi baat ho gayi thi kyunki phir use dhonndhne ke liye use kisi aur ka intezaar karna padta tha.

Aur jo ek cheez aur badli thi vo thi uski chaal. Pehle har kadam apni marzi se hota tha. Kabhi tez toh kabhi dheere, kabhi sust toh kabhi chust, kabhi chehel-kadmi toh kabhi bhaag daud par ab chaal ekdam sidhi ho gayi thi bilkul kisi circus ke janwar ki tarah. Bilkul us nat ki tarah jo rassi par chalte hain. Har kadam napa tula hota tha. Na zyada bada aur na zyada chhota kyun ab uske aur duniya ke har cheez ka fasla un kadmon mein aa gaya tha.

Uske kamre se Flat ka darwaza aur flat ke darwaze se lift ke darwaze tak aur balki har cheez ki doori kadamon ki ginti mein thi. Zara bade ya zara chhote kadam liye toh sab gadbad.

Usne bhai ne uska admission ek "School for Blinds" mein kara diya tha taaki vo Brel lipi mein likhna padhan seekh sake.

"Kitna time lagega ismein?"

"Depend karta hai ke tum kitna jaldi seekhte ho" Vo apne bhai ka haath pakde sadak ke kinare khada tha.

Vo ek Bus ka intezaar kar rahe the.

"School ki bus daily yahan aati hai. Vo tumhein yahan se pick karegi aur daily yahin school ke baad chhod jaya karegi" Bhai ne bataya

"Ok"

Aur phir agle kuchh din yun hi beete. Uska bhai daily use school tak le jata aur phir daily school ke saamne milta aur ghar tak lata. Ghar se Bus Stand tak aur drop point se school tak ka raasta vo dheere dheere yaad kar raha tha. Kitne kadam par kya tha, kitne kadam ke baad rukna tha, kitne kadam par jakar mud jana tha vo dheere dheere yaad karta ja raha tha.

Uske ghar mein sirf vo aur uska bada bhai hi the. Maan baap kuchh arsa pehle guzar chuke the aur ek doosre ke siwa unka koi aur kareebi tha bhi nahi. Bada bhai ek company mein job karta tha. Kahin na kahin khud dil mein ye ehsaas usko hone laga tha ke saari zinadgi vo bhai ka yun haath pakde nahi ghoom sakta tha. Kabhi na kabhi use ye haath chhodna padega aur ek baar phir apne dam par zindagi mein aage badhna padega.

Par is koshish mein waqt zara zyada hi lag raha tha. Aur phir jab ek din Bhai ne use akele hi school jaane ko kaha toh jaise uska kaleja munh ko aa gaya.

"You will have to do it yaar. Main job karta hoon aur hamesha is tarah se leave nahi le sakta baar. Vo toh mere boss se meri achhi banti hai isliye itna gayab reh leta hoon varna kabka naukri se nikal diya jata"

Vo janta tha ke Bhai ki baat sahi thi isliye chah kar bhi shikayat nahi kar paya. Kahin ye ehsaas bhi tha ke dew sawer hi sahi par ye din bhi aana hi tha.

Aur us din usne phir kayi din baad raat bhar Bhagwan ko jee bharkar dosh diya. Shikayat ki ke uske saath aisa kyun hua aur kasam khaayi ke zindagi bhar vo kabhi unke aage sar nahi jhukayega.

Aur ye bhi jataya ke agar use kuchh ho gaya toh uska zimmedar bhi akela bhagwan hi hai.

Us din uski bus chhoot gayi. Pehli baar Ghar se akele nikal kar bus stand se aate aate use itna waqt lag gaya ke Bus aakar chali hi gayi.

Kaafi der tak to vo yahi sochta raha ke kahin vo galat jagah par toh nahi aakar khada ho gaya. Ho sakta hai usne kahin koi galar mod le liya ho ya shayad kadam zyada bade ya zyada chhote ho gaye hon. Jab kuchh samajh nahi aaya toh usne pukaar kar paas se guzarte hue kisi insaan se puchha.

"Excuse me, Is anyone around?"

"Excuse me, koi hai paas mein?
.
Do teen baar pukarne ke baad aawaz aayi.

"Kahiye?"

"Ye Meghna Tower ke saamne wali jagah hi hai na?"

"Ji haan wahi hai"

"Ok thank you" Usne jawab diya.

Yaani vo aaya toh sahi tha par bahut dheere aaya tha aur Bus chhut gayi thi. Agle din vo ghar se zara jaldi nikla taaki dheere bhi chale toh waqt par pahunch jaaye. Aur hua bhi yahi. Vo waqt se kaafi pehle pahunch gaya. Kaafi der khade reh kar jab use aisa lagne hi laga tha ke Bus chhut gayi hai tabhi use Bus ke conductor ki aawaz aayi.

"Andar aa jaaiye"

Vo bus ka andaza laga hi raha tha ke kisi ne sahara dekar use Bus ka darwaze tak pahunchaya. Vo andar chadha aur chhadi se saamne ki jagah ka andaza lagate hue aage badha. Haath rakh rakh kar usne ek khaali seat dhoondhi aur aaram se jakar beth gaya.

Aur zindagi ek baar phir ek dharre par chal padi. Vo school tak jata, vaapis aata aur sara din ghar betha ya toh gaane sunta ya TV chala kar aawaz sunte hue programme ka andaza lagata. Kabhi tezi ke saath bhaagti zindagi ab bahut dheemi ho gayi thi. Par ab vo dheere dheere is zindagi mein adjust karne laga tha.

Yun hi dheere dheere 3 mahine aur guzar gaye aur cheezen jo kabhi mushkil hoti thi aur thodi aasan ho chali thi. Vo aasani ke saath apne Flat se nikal lift lete hue neeche tak aa jata aur Building compound ke paas bani dukaan se zaroorat ki cheezen le aata.

Haan bhagwan ko ab tak usne ab bhi apni nayi duniya se bahar hi rakha hua tha.

"Bahut kismet wale ho dost"

Ek din vo neeche dukaan par khada kuchh saman khareed raha tha ke side se ek aawaz aayi. Aawaz jaani pehchani thi.

"Kaun?"Usne palat kar puchha

"Main hoon Dost. Ab tak aawaz nahi pehchani?"

Aur use yaad aa gaya. Ye uski bus ke conductor ki aawaz thi.

"Aap yahan kaise?" Usne muskurate hue puchha.

"Yahin se guzar raha tha toh ek cigarette lene ke liye ruk gaya tha. Aaj school ki chhutti hai toh socha ke kuch kaam hi nipta loon" Conductor ne jawab diya.

"Haan sahi hai" Usne haste hue jawab diya "Aur mujhe dekh kar aapko kahan se lagta hai ke main kismat wala hoon?"

"Ho dost, khush naseeb ho" Conductor ne jawab diya "Bhagwan ne ek aankhon ka sahar le liya toh kya hua, doosra sahara bhi toh de diya na tumhein?"

"Doosra sahara?" Uski samajh nahi aaya.

"Haan vo Madam jo aapke saath rehti hain"

Uski kuchh samajh nahi aaya. Kaun si madam?

"Mere saath kaun rehti hai?" Usne na samajhte hue puchha.

"Vo ladki jo aapke saath bus mein aati hai. Daily aapka haath pakad kar aapko bus mein chadhati hai" Conductor ne jawab diya.

"Main toh akela hi aata hoon. Mere saath kaun ladki hoti hai? Mujhe laga haath pakadke bus mein tum chadhate ho"

"Kyun mazak karte hain. Main toh bus mein betha rehta hoon. Pehle aapke bhai aapke saath aate the aur unke baad hamesha se vo ladki aapke saath yahin se chadhti hai" Conductor ne phir kaha.

"Main akela chadhta hoon yahan se" Usne phir kaha "Ghar se akela hi aata hoon aur akela hi jata hoon. Meri zindagi mein toh koi ladki hai hi nahi. Maan meri mar chuki hai aur behen hai nahi. Bas main aur mera bhai hain aur ham mein se kisi ki shaadi nahi ho rakhi"

"Kamal hain. Vo toh kehti thi ke vo aapke saath hi hai"

"Kaun kehti thi?" Usne phir sawal kiya.

"Jabse aapke bhai ne aana band kiya hai sir tabse aapke saath yahan se ek ladki chadhti hai. Aapko sahara dekar bus mein chadhati hai aur aapki seat ke paas khadi rehti hai. Phir aapke saath hi utarti hai, aapke saath saath school tak chalti hai, gaadiyon ko rukne ka ishara karti hai, aapko school ke gate tak mehfooz pahunchati hai aur phir vaapsi mein phir school ke gate se lekar aapke ghar tak aapke saath rehti hai. Par haan usko maine kabhi aapse bolte nahi suna"

Conductor kahe ja raha tha aur uski samajh mein kuchh nahi aa raha tha.
****The End***
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Reply

Bookmarks


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off



All times are GMT +5. The time now is 05:28 AM.


Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.