21-01-2015, 03:19 PM | #1 |
Senior Member
Join Date: Jan 2015
Posts: 314
Rep Power: 23 |
Beti - Dikri - Daughter
Nari ke jivan me kai roop hai..jaise ki Beti, bahen, preyasi, patni, maa, ...or har roop me vo bahot hi pyari hoti hai....... Aaj hum yaha beti kya hoti hai..uspe kuch baate aapse share karna chahte hai..... Jab pita ka besumar pyar or maa ki pyari nirmal mamta...saath me milkar neel gagan me jaye or vaha se badal banke besumar barish ke roop me barse uska naam beti...... Beti to tyag or samrpan ki murti hai. Beta khud ke ghar me diya jalata hai jab ki beti dusre ke ghar me diya jalati hai. Beti e sakshat divya roop hai, shakti hai. Deep ki tarah khub jalti hai, Duniya ko ujala deti hai, Sukh me na kabhi abhiman kare, Dukh me na mane har kabhi..... or yahi beti hoti hai....Beta pita ka haath banta hai..par beti ..vo to pita ka dil hoti hai...Beta sirf khud ke ek parivar me dipak bankar ujala karta hai jab ki beti Do parivar me jyoti bankar ujala karti hai....Beta agar vishwas hai to Beti bhi shwas hai. Jab aap bhot pareshan ho tab pyari si beti ke saath thoda time spend karo..dil kitna khush ho jayega....kyoki beti hoti hi itni sweet hai. Jis pal beti mata-pita ke jivan me aati hai...vo uska dil ka tukda ban jati hai. use pata hota hai ki ek din to ise kisi or haatho me sopna hai...fir bhi vo use apne dil se lagakar badi karte hai...or jab vo apne dil ke tukde ko kisi or haatho me sonpte hai to uska dil kitna rota hoga..... Beti Mata-Pita ki aankho ka noor hoti hai, uske saanso ki rawani hoti hai... Beti hi is sansar me ujala karti hai...kabhi vo apne pita ki himmat banti hai, to kabhi apne bhai ki dost banti hai, kabhi apni maa ki sakhi banti hai, to kabhi vo apne premi ki preysi banti hai. har roop me vo sayani hai, nirali hai. Aaj...jaha tak humne is duniya ko samja hai, jana hai, usse nari ka itna sanman nahi hai..aakhir kyo.....vo har furz ko bakhubi nibhati hai...fir bhi janam se lekar aakhri saanso tak vo kisi na kisi baat ke liye jamane se ladti raheti hai, kabhi insaf ke liye, to kabhi apne parivar ko khush rakhne ke liye, kabhi khud ki raksha ke liye to kabhi kisi or ke liye..... Ye samaj kab beti ke pyar ko , nari ke durd ko mahesus karega...ye to huem pata nahi...par hum sab milkar koshish to kar hi skte hai.... Bhagvan har bacche ka khayal nahi rakh skte hai or tabhi usne maa ka nirman kiya......Is sansar ki sabhi beti ko humara bahot sara pyar..... Shikha |
21-01-2015, 06:24 PM | #2 | |
Super Moderator
Join Date: Aug 2012
Location: Faridabad, Haryana, India
Posts: 13,293
Rep Power: 242 |
Re: Beti - Dikri - Daughter
Quote:
आपने उद्धृत पंक्तियों में यह बताया है कि हमारे समाज में अपने तमाम गुणों के बावजूद, जिनका उल्लेख आपने अपने लेख में बखूबी किया है, बेटी विभिन्न स्तरों पर किसी न किसी प्रकार का संघर्ष करती नज़र आती है. उसकी यह जद्दोजहद कब तक जारी रहेगी? और कब तक समाज में उसे वह स्थान व सम्मान मिल पायेगा जिसकी वह अधिकारी है? यह एक यक्ष प्रश्न है. अपने आलेख में आपने स्वयं संकेत दे दिया है कि उपरोक्त प्रश्न या समस्या का समाधान भविष्य के गर्भ में छिपा है लेकिन हम सब मिल कर एक सार्थक कोशिश तो कर ही सकते हैं. इस कोशिश के पहले कदम के रूप में पहले तो हम अपने अपने गरेबान में झाँक कर इस समस्या का निदान तथा इलाज ढूंढें. अपनी सोच को positive बनाएं और मानवीय दृष्टिकोण अपनायें. यह कठिन काम है, लगातार अभ्यास करना होगा. दूसरे हम अपने संपर्क में आने वाले व्यक्तियों या व्यक्तियों के समूह को धीरे धीरे अपना mindset बदलने के लिए प्रेरक (catalist) का काम कर सकते हैं. इसी प्रकार समाज की विभिन्न इकाइयाँ, प्राथमिक से ले कर उच्च स्तर तक की शैक्षिक संस्थायें तथा संबंधित सरकारी इदारे भी इस दिशा में अनवरत प्रयास करें तो वह दिन दूर नहीं जब इस दिशा में हमारा सपना पूरा होगा.
__________________
आ नो भद्रा: क्रतवो यन्तु विश्वतः (ऋग्वेद) (Let noble thoughts come to us from every side) |
|
23-01-2015, 12:41 AM | #3 |
Senior Member
Join Date: Jan 2015
Posts: 314
Rep Power: 23 |
Re: Beti - Dikri - Daughter
Thank you so much rajatji
Thank you so much rajnishji.. |
23-01-2015, 12:43 AM | #4 |
Senior Member
Join Date: Jan 2015
Posts: 314
Rep Power: 23 |
Re: Beti - Dikri - Daughter
Rajnishji........aapko humara ye article pasand aaya uske liye bahot sukriya...
Sahi kaha Aapne. ...or hum Apni or se puri koshish kar rahe hai..... |
Bookmarks |
Tags |
articles |
|
|