15-04-2012, 10:01 AM | #51 |
Special Member
Join Date: Jun 2010
Location: Jhumri Tillaiya
Posts: 2,429
Rep Power: 22 |
Re: Shahrukh :: The King Khan
|
15-04-2012, 10:02 AM | #52 |
Special Member
Join Date: Jun 2010
Location: Jhumri Tillaiya
Posts: 2,429
Rep Power: 22 |
Re: Shahrukh :: The King Khan
२००७ में ख़ान की दो फिल्में आई है - चक दे! इंडिया और ॐ शान्ति ॐ | चक दे! इंडिया में ख़ान भारतीय महिला हॉकी टीम के कोच के किरदार में नज़र आते हैं जिनका लक्ष्य है भारत को विश्व कप दिलवाना| इस किरदार की लिये खान को समीक्षकों से तोह खासी प्रशंसा मिली ही है साथ ही साथ यह फ़िल्म एक विशाल हिट भी सिद्ध हुई है| २००७ की दूसरी फ़िल्म ॐ शान्ति ॐ में भी नज़र आए ये फराह खान की शाहरुख़ खान के साथ दूसरी फ़िल्म है| इसमें खान ने दोहरी भूमिका निभाई | पहला किरदार ओम एक जूनियर कलाकार है और एक हादसे में मारा जाता है और दूसरा एक नामी अभिनेता ओम कपूर है | ये फ़िल्म भी २००७ की एक सफल फ़िल्म थी | |
17-04-2012, 01:39 PM | #53 |
Administrator
|
Re: Shahrukh :: The King Khan
Shahrukh's famous dialogues.
Baazigar 'Kabhi kabhi kuch jeetne ke jiye kuch haarna bhi padta hai. Aur haar ke jeetne wale ko Baazigar kehte hain.'
__________________
अब माई हिंदी फोरम, फेसबुक पर भी है. https://www.facebook.com/hindiforum |
17-04-2012, 01:39 PM | #54 |
Administrator
|
Re: Shahrukh :: The King Khan
Darr
'I love you K-K-K-K-K-Kiran.'
__________________
अब माई हिंदी फोरम, फेसबुक पर भी है. https://www.facebook.com/hindiforum |
17-04-2012, 01:40 PM | #55 |
Administrator
|
Re: Shahrukh :: The King Khan
Dilwale Dulhania Le Jayenge
'Koi baat nahi Senorita, bade bade deshon main aisi chhoti chhoti baatein hoti rehti hai.'
__________________
अब माई हिंदी फोरम, फेसबुक पर भी है. https://www.facebook.com/hindiforum |
17-04-2012, 01:40 PM | #56 |
Administrator
|
Re: Shahrukh :: The King Khan
Kuch Kuch Hota Hai
'Pyaar dosti hai. Agar woh meri sabse achi dost nahi ban sakti toh main usse kabhi pyaar kar hi nahi sakta. Kyunki dosti bina toh pyaar hota hi nahi.'
__________________
अब माई हिंदी फोरम, फेसबुक पर भी है. https://www.facebook.com/hindiforum |
17-04-2012, 01:40 PM | #57 |
Administrator
|
Re: Shahrukh :: The King Khan
Mohabbatein
'Maaf kijeyega sir, par jahan se main dekh raha hoon aap haar gaye. Kyunki jahan se main dekh raha hoon, mujhe ek pachpan saal ka baap ek unees saal ki beti ki phool chadhi tasveer ke neeche khada dikh raha hai. Aap tab bhi hare the. Aur aap aaj bhi haarein hain.'
__________________
अब माई हिंदी फोरम, फेसबुक पर भी है. https://www.facebook.com/hindiforum |
17-04-2012, 01:41 PM | #58 |
Administrator
|
Re: Shahrukh :: The King Khan
Kal Ho Naa Ho
'Main aankhen bandh karta hoon toh tumhe dekhta hoon. Aankhen kholta hoon toh tumhe dekhna chahta hoon. Tum paas nahi hoti toh tumhe chaaron taraf mehsoos karta hoon. Har pal, har ghadi, har waqt mere naina meri Naina ko dhoondte hain. Usse pyaar kaho ya pagalpan ya meri dil ki dhadkan mere liye ek hi baat hai. Pyaar toh bahut log karte hain lekin mere jaisa pyaar koi nahi kar sakta kyonki kisi ke paas tum jo nahi ho. Main tumhe bhool nahi sakta Naina. Main tumhe bhoolna hi nahi chahta. Tum meri ho, main tumhe zindagi bhar pyaar karoonga aur marte dum tak pyaar karoonga aur uske baad bhi.'
__________________
अब माई हिंदी फोरम, फेसबुक पर भी है. https://www.facebook.com/hindiforum |
17-04-2012, 01:41 PM | #59 |
Administrator
|
Re: Shahrukh :: The King Khan
Swadesh
'Main nahi manta humara desh duniya ka sabse mahaan desh hai. Lekin yeh zaroor manta hoon, hum mein taaqat hai, kabiliyat hai apne desh ko mahaan banane ki. Dekhiye yeh dono desh (USA and India) har pehlu, har roop mein ek dono se bahut alag hain. Shayad mujhe kehna nahi chahiye lekin aapne baat chedi hai isliye keh raha hoon. Jab bhi hum muqable mein darne lagte hain, hum ek hi cheez ka aadhar lete hain – sanskar, parampara.'
__________________
अब माई हिंदी फोरम, फेसबुक पर भी है. https://www.facebook.com/hindiforum |
17-04-2012, 01:41 PM | #60 |
Administrator
|
Re: Shahrukh :: The King Khan
Chak De India
'Sattar minute. Sattar minute hain tumhare paas. Shayad tumhari zindagi ke sabse khaas sattar minute. Aaj tum achchha khelo ya bura yeh sattar minute tumhe zindagi bhar yaad rahenge. Toh kaise khelna hai, aaj main tumhe nahi bataaunga, bas itna kahunga, ki jaao aur yeh sattar minute jee bhar ke khel lo. Kyunki iske baad aanewaali zindagi mein, chaahe kuch sahi ho ya na ho, chaahe kuch rahe ya na rahe, tum haaro ya jeeto lekin yeh sattar minute, tumse koi nahi chheen sakta, koi nahin. Toh maine socha ki is match mein kaise khelna hai aaj main tumhein nahi bataaunga, balki tum mujhe bataaoge, khel kar kyunki main jaanta hoon ki agar yeh sattar minute is team ka har player apni zindagi ki sabsi badiya hockey khel gaya toh yeh sattar minute khuda bhi tumse waapas nahin maang sakta. Toh jaao, jaao aur apne aap se, is zindagi se, apne khuda se aur har uss insaan se jisne tum par bharosa nahi kiya apne sattar minute chheen lo.'
__________________
अब माई हिंदी फोरम, फेसबुक पर भी है. https://www.facebook.com/hindiforum |
Bookmarks |
Tags |
bollywood, hindi films, movie star, mumbai, shahrukh khan |
|
|