28-12-2012, 09:08 PM | #51 | |
Special Member
Join Date: Nov 2010
Location: Patal Lok
Posts: 1,867
Rep Power: 18 |
Re: सामूहिक बलात्कार के खिलाफ प्रदर्शन
Quote:
waah jis point se aapke arguemnts null and void ho jaate hai usko chod ko. maana desh bhi kaafi buraaiya hain, lekin dheere dheere inhi aandolano aur jan virodh se sab kuch sahi hoga. aaapke tarah agar sabke khayalaat negative ho jaaye to desh ka to beda gark ho jaaye. |
|
28-12-2012, 09:17 PM | #52 | |
Tech. Support
Join Date: Dec 2009
Location: Bangalore
Posts: 2,771
Rep Power: 35 |
Re: सामूहिक बलात्कार के खिलाफ प्रदर्शन
Quote:
Aur stats ki baat karna hai, to survey yahi kar lete hai. 2 question aapke liye, jinke jawaab bina internet par dhundhe, dijiyega. 1) India me kitne percent market par bade retail store ka kabja hai? 2) Delhi me aajtak kitne rape report kiye gaye hai? Last report kab aayi thi? In dono topic par aap ke bahut saare vichar padhne ko mile hai, to jaayaz hai, ye dono baatein aapko malum hogi. Agar ye nahi malum to seedhi baat hai bandhu, ki aap timepass kar rahe ho. Agar sach me aandolan karna hota, to 2week pehle hue rape ke time par bhi aap yahi sab bol sakte the. Aaj aap itne uttejit ho rahe hai, kyunki aap "gullible" hai. Aap un logo me se hai, jo ek daru ki bottle ke liye kisi ko bhi vote de sakte hai, aur kahin bhi nare laga sakte hai. Aap jaise log aandolan nahi kar sakte, sirf politicians ki rotiyan sekne wale tandoor me koyle jaise khade ho sakte hai.
__________________
|
|
28-12-2012, 09:20 PM | #53 | |
Special Member
Join Date: Nov 2010
Location: Patal Lok
Posts: 1,867
Rep Power: 18 |
Re: सामूहिक बलात्कार के खिलाफ प्रदर्शन
Quote:
isme bina research timepass kahan se aa gaya beech mein. aap maane naa maane in tarah ki aandolano aur virodh pradarshano koi faayda hoga yaa nahi, hindustan mein sab kuch bekaar hai, kuch nahi ho sakta lekin aap ek hafte ke liye pakistan chale jaaiye waapis aayenge to is dharti ko chumenge. |
|
28-12-2012, 09:24 PM | #54 | |
Tech. Support
Join Date: Dec 2009
Location: Bangalore
Posts: 2,771
Rep Power: 35 |
Re: सामूहिक बलात्कार के खिलाफ प्रदर्शन
Quote:
mera argument null. accha joke tha. Mera argument phir se post karta hu. "Jab aap rape ke khilaaf aandolan kar rahe hai, ussi waqt ek mahila ko pure gaon me numayish ki ja rahi hai; aise me aapke aandolan se aaj kya fayda hua? aapka aandolan kuch log ko thoda bhi dara nahi saka, unki soch badalne ki baat to bahut door hai". Ab aap jo database ki baat kar rahe ho, use iss argument ko kaise fark padta hai, jara samjhaiye. Mere hisaab se to aapka aandolan useless hai. faayda hoga, jab database banega. aise hi dialog lokpal bill ke liye bhi bole gaye the. kya aaj tak aapka wo bill aaya? kya kisi ne rishwat lena band kiya? purana record dekhne ke baad bhi aap bolte ho ki changes aayenge. aise me aap over-optimistic nahi hai, to kya hai? Jahan tak band karne ki baat hai, wo isliye kahi, kyunki aap sirf bewajah ki behas kar rahe hai. sawalo ke jawab ki jagah ulte sawal kar rahe hai. aur phir mujhe ye faltu behas ki jagah aur bhi bahut kaam hai, to kaun samay barbaad kare. jin cheezon se fark nahi padta, un cheezon me samay barbaad karna mujhe theek nahi lagta. isliye main baat ko khatam karne ko bola tha.
__________________
|
|
28-12-2012, 09:26 PM | #55 | |
Tech. Support
Join Date: Dec 2009
Location: Bangalore
Posts: 2,771
Rep Power: 35 |
Re: सामूहिक बलात्कार के खिलाफ प्रदर्शन
Quote:
compare karna hai, to kabhi japan se kar lo, Norway se kar lo, ya Dubai se hi kar lo. Jab kar lo, tab batana, ki kaun kitne paani me hai.
__________________
|
|
28-12-2012, 09:37 PM | #56 | |
Special Member
Join Date: Nov 2010
Location: Patal Lok
Posts: 1,867
Rep Power: 18 |
Re: सामूहिक बलात्कार के खिलाफ प्रदर्शन
Quote:
aapko pata hai bharat mein 130 crore log rehte hain. japan norway aur dubai jod kar UP yaa bihar ke barabaar bhi nahi honge. aap pehle apna comparison dekhiye. bharat 1947 mein aazaad hua tha. Japan mein development ka alag reasons hai. shuru se hi wahan par america ka support raha hai, unka military par bahut kam kharcha hai. norway aur dubai to map par doondhna bhi muskhil hai. जीतेन्द्र जी, आपको इस सिस्टम पर ही भरोसा नहीं है, आपको यह सब गलत रहा है, तो आप ही बता दीजिये क्या होना चाहिए। आप यह तो बताते है बुरा क्या है यह भी बताइये जब rape हो corruption हो तो लोग कैसे रियेक्ट करे? Last edited by amol; 28-12-2012 at 09:44 PM. |
|
01-01-2013, 09:06 AM | #57 |
Diligent Member
Join Date: Dec 2009
Posts: 869
Rep Power: 16 |
Re: सामूहिक बलात्कार के खिलाफ प्रदर्शन
|
Bookmarks |
Tags |
accident, delhi, politics |
|
|