My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Hindi Forum > Blogs
Home Rules Facebook Register FAQ Community

Reply
 
Thread Tools Display Modes
Old 21-02-2019, 02:10 PM   #1
faiz
Junior Member
 
Join Date: Feb 2019
Posts: 6
Rep Power: 0
faiz is on a distinguished road
Smile web server kya hota hai?

Jaisa iske naam se hi pata chalta hai web server yani jo web ko serve karta hai aur ye kaam ye HTTP (Hyper Text Transfer Protocol) ke dwara karta hai. Internet par itna sara data maujood hai to ye kisi insan ke bas ki to baat hai nahi ki wo is data ko calculate karta rahe aur dusro ko serve bhi karta rahe.

To is kaam ko karne ke liye hi in servers ko banaya gaya hai jo hamare data ko hamesha apne paas rakhte hai aur jab bhi koi use dekhna chahta hai to use dikha bhi dete hai. Example ke liye jaise is website par jitne bhi post hai wo ek baar published hue hai.

Lekin koi bhi in articles ko URL ke zariye jab bhi dekhna chahe dekh sakta hai kyunki is website ka data iski hosting company ke server mein hamesha ke liye save ho chuka hai.

Ab kuch log apne ghar mein hi apne PC ko ek chota sa server bana lete hai jise wo apne mobile, Laptop ya dusre kisi bhi device se jab chahe tab access kar sake aur apne data ko download kar sake, dekh sake ya fir usme naya data upload kar sake.

Last edited by rajnish manga; 22-02-2019 at 08:04 AM.
faiz is offline   Reply With Quote
Reply

Bookmarks

Tags
web server, web server kya hai, what is web server


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off



All times are GMT +5. The time now is 04:27 PM.


Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.