My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Art & Literature > Hindi Literature
Home Rules Facebook Register FAQ Community

Reply
 
Thread Tools Display Modes
Old 06-01-2015, 10:43 AM   #1
Shikha sanghvi
Senior Member
 
Shikha sanghvi's Avatar
 
Join Date: Jan 2015
Posts: 314
Rep Power: 23
Shikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud of
Wink Pyar ki kashish

Pyar ki kashish
story by Shikha sanghvi

Chandni rat he. Sitaare zagmaga rahe he. Chandni apne premi chand ki pratiksha karti huyi unki yaado ko lekar pal pal bita rahi he. par har pal unke liye saalo jaisa lag raha he. Chandni apne premi chand se milne ke liye tadap rahi he. Chand ki baaho me simatne ke liye betab he. Apne chand ke bina unki har saans jaise ruki ruki si he. Chand ki judai use pagal bana rahi he...........

.Dear Shayari readers.....Ye kahani Het or Harsh ki he. Un logo ke pyar ki he. Harsh chand he to Het uski chandni he. Dono ekdusre ke bina adhure he. Aap bhi janna chahenge ...in dono ke pyar ki kahani, vishwas ki kahani....Aakhir kaise mile ye dono..............
Agar chand na hota to

Aasman itna suhana na hota,

Agar Harsh ka saath na hota to

Het ke dil me pyar na hota.

Harsh vo ladka he jo pardesh me raheta he or shadi ke liye India aaya hua he. Bhot si ladki dekhi he usne par kisi par bhi uska dil nahi lagta. Tabhi ek din achanak se isi tarah Het se uski mulakat huyi.Het bahot hi sidhi sadi si ladki he. het ne jab paheli bar Harsh ko dekha to vo sochte hi rahe gayi. Use yakin hi nahi ho raha tha apni kismat pe ki Harsh jaisa ladka bhi uski zindgi me aa sakta he........Uski mulakat Is tarah se ho gayi ki Het to jaise apne ek alag hi jahaa me kho gayi....

.Het jab apne rajkumar ka intezar karte huye apne jivan se har chuki thi, use lag raha tha ki uske sapno ka rajkumar use kabhi nahi milega...kyoki sapno ke rajkumar se mulakat to sirf kahaniyo me hoti he..haqiqat me nahi....or tab achanak se Harsh se uski mulaqat huyi. Or Harsh ne dher sari khushiyo ke saath Het ki duniya me pravesh kiya. us din un dono ke bich bahot hi thodi si idhar udhar ki baate huyi.Het to kuch soch hi nahi paa rahi thi. jab uske parents ne use puchha ki vo kya chahti he, to use samaj me hi nahi aa raha tha ki vo kya kare......par fir usne apne dil se puchha or ek ahem faisla liya ki ab uske jivan me yahi aakhri ladka hoga jisne use dekha he. Ab zindgi jini he to sirf Harsh ke saath varna vo kabhi shadi nahi karegi........Ek hi pal me usne apna dil Harsh ko de diya....

Aapko lag raha hoga ki aisa kyo....par humare india me ladke or ladke ki jo milne ki rasam hoti he usme ladki ke dil ki kya haalat hoti he ye koi janne ki koshish hi nahi karta....Ladke valo ke samne vo sharmayi huyi si gabharayi huyi si sahem jati he........ek kathputli ki tarah use sabke samne bithaya jata he..sab ke sawal ke jawab dene hote he......aaj jamana badal gaya he...par aaj bhi aisi kai jagah he jaha pe ladki ki halat ko sab nazar andaz kar dete he....

.Do-Tin din ho gaye. Vo intezar kar rahi thi, par intezar nahi ho paa raha tha, usne socha kyo vo khud hi un raho se gujrane chali jaye. or Harsh ki ek zalak dekhne ke liye vo barish me bhigti huyi un raho pe chal di jaha vo raheta tha. par vo harsh ko nahi dekh payi. Mayus hokar vo ghar lauti or dusre hi din vo bimar ho gayi...check up karane par pata chala ki use malaria ho gaya tha. or uski sari ummid pe pani fir gaya....par het ki khwaish bhot jald puri huyi. Do din ke bad Harsh ne Het se milna chaha. Het bimar thi fir bhi usse mili. or jaise bhagvanne dono ko ekdusre ke liye hi banaya tha. Harsh ki pyari si muskan, bado ka aadar karna, unki pyari si baate, or gussa to jaise usse so mile door tha, inhi baato ne usko diwana bana diya. vo bhot hi khush thi. or ek din Harsh ne Het ko apne jivansaathi ke roop me swikar kar liya or use lekar saat samunder par aa gaya.....



Friends....ab yaha se hoti he Het ke jivan ki sandharsh ki kahani.....Kya harsh ne dil se Het ko apnaya tha....kya het ek naye desh me, ek alag ritrivaj, alag bhasha.....or ajnabee saathi ke saath adjust kar payegi..............


Het ko vishwas tha apne aap par, apne jivansaathi par...ki uske saath milkar vo sabkuch bhot hi jald sikh jayegi....par yaha hi vo galat thi. Ha, uske Harsh ne jivan ke har kadam pe uska saath diya...par Het vo ladki nahi thi jise usne chaha tha, jiske sapne sajaye the. uske sapno ki rajkumari to koi or hi thi. Desh, ritrivaj, bhasha, ye sab to bahot door ki baate ho gayi...pahela sandharsh uske jivan ka yahi raha ki use har hal me apne jivansathi ke dil me thodi si apne liye jagah banani he.chahe uske liye use kuch bhi karna pade, vo pichhe nahi hategi. Harsh ke dil me khud ke liye pyar jagana hi jaise Het ki manzil ban gayi. Kabhi kabhi vo akeli bhot roti thi, apne vatan ko yaad karke, kabhi apne parivar ko yaad karke, kabhi apna bachpan yaad karke to kabhi apni dosto ke saath bite huye un lamho ko yaad karke.....ye yaade hi unke dil ko khush rakhti thi. use aisa lagta tha jaise har kadam pe uske samne ek imtahaan hota tha. kabhi jaise uska swabhiman tutta tha. par usne kabhi bhi har nahi mani. kyoki use pata tha ki yaha itni door apne parivar se door aane ka faisla usne khud kiya tha.......or ab jo bhi he yahi uski kismat he.


Harsh ..apne business ke saath saath padhai bhi karta tha. dhire dhire din gujrate chale gaye....Harsh ..Het se jo bhi kaheta..vo bilkul vaisa hi karti chahe uska dil mane ya na mane. uske saath vo ek saye ki tarah rahene lagi...jaise ki uske aaspaas hi uski sari duniya he. isi tarah pure 2 sal gujar gaye. par shayad Het ki yahi baato ne ...uski sabke saath pyar se baat karne ki ada ne shayad Harsh ke dil me apne liye pyar ka divy swaroop pagat kiya. Harsh ki har baato ka sanmaan karna, uski kahi huyi har baato pe gaur karna jaise uski aadat ban gayi. Vo sabkuch khushi se karti..dil se karti. Ab vo ekdusre ko samajne ki koshish karne lage...Harsh humesha....Het ki masti karta raheta.....Jab bhi het ke ghar se khat aaye to uski aankhe num ho jati...or harsh usi waqt unhe bahar le jata....or use hansata........Dhire dhire un dono ke bich pyar badhta gaya. Dono ekdusre ke itne karib aane lage ki jasie ab vo dono ekdusre ke liye hi bane he. Harsh .....har kam me het ka saath deta........chahe vo kam koi bhi ho...........rasoi banane se lekar bartan manjne tak........Vo uska bilkul ek bacchi ki tarah khayal rakhne laga. jab bhi vo dono ghar me akele hote the tab Harsh khana banata or vo baate karti ..or fir dono saath me dinner lete....Aise hi pyar badhta chala gaya ki yu samjo jism alag the par jaan ek....
Harsh ke pyar ne hi het ko samjaya ki pyar kya hota he, pyar kaise nibhaya jata he.kisiko apni jaan se badhkar pyar karna koi pap nahi he. Harpal ekdusre ke prati pyar ka ehesas rishte ko or gahera banata he. vo harpal use ye ehesas dilata ki uske bina to koi zindgi hi nahi he.



Shadi ke waqt halat chahe jaise bhi rahe par usne kabhi bhi het ko shikayat ka mauka nahi diya. Kabhi kabhi to kuch kahe bina hi vo Het ke dil ki baat jan leta tha. Vo jab apne harsh ke pass ja rahi hoti thi to uske pahunchne se pahele hi usko unke paas aane ka ehesas ho jata tha. ekdusre ko jara sa bhi durd hota to vo hi durd dusra bhi mahesus karta......or ye pyar ki kashish hi to thi jo dono ko aise jude rakhti thi.

Aise hi pyar ke sahare zindgi haatho se sarti ret ki tarah gujrati gayi. Ab parivar ko nanhi si gudiya chahiye thi.....din bitte gaye or Harsh apni /het ko lekar itna possesive ho gaya ki kisi or ka het ki or dekhna bhi usse bardast nahi hota tha.....baate to bhot door ki baat he....Par het ko usse koi furk nahi padta tha.....use to yakin hi nahi hota tha apni kismat pe.....ki aaj unka harsh sirf unka he.......uska itna pyar, itni kashish Het ko khud bhi diwana banati gayi.

Ab....kya hota he aage....kya uski bagiya me bhi nanha sa gul khilega......kya hoga aage..........



Isi tarah tin Saal gujar Gaye. Het ne apne parivar ka dil jeet Liya. Apne harsh ka dil jeet Liya apne pyar or vishwas ke saath. Ab het apne mayke Jana chahti hai or vo bhi 3 mahine ke liye. harsh ka to jaise dil hi tut Gaya. Harsh barbar het ko Rockne laga, mat jaa Hume chhodkar par het harsh ko pyar se samjati Ki those Dino ki to Baat hai fir jaldi se vapas aa jaungi.



Harsh ko isi tarah samjati thi or vo mayke chali gayi. Harsh 1 mahine ke baad India aanevala hi tha par ye 1 mahina us ke liye saalo ke saman tha. Het ke hate hi jaise uska sabkuch khatam ho Gaya. het ke bina jaise kuch tha hi nahi. Charo or het ki yaado ne use diwana bana Diya. Jab paheli baar harsh ne India phone kiya to het bhi rone lagi. Harsh ne mashes us kiya ki het bhi unhe utna hi pyar karti hai. Harsh ne apne badroom Mai bhi het ke liye Diwalo pe pyar ka paigam likha. Bahot bada pyar ka pratik heart drowing kiya. Or phone letter ye sab to chalta hi tha.

Last edited by Shikha sanghvi; 08-01-2015 at 04:41 PM.
Shikha sanghvi is offline   Reply With Quote
Old 06-01-2015, 11:27 AM   #2
soni pushpa
Diligent Member
 
Join Date: May 2014
Location: east africa
Posts: 1,288
Rep Power: 65
soni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond repute
Default Re: Pyar ki kashish - shikha

बहुत खुबसूरत है हेत और हर्ष की कहानी शिखा जी आप इसे कृपया आगे बढ़िएगा हमे इंतज़ार रहेगा . बहुत बहुत धन्यवाद .
soni pushpa is offline   Reply With Quote
Old 06-01-2015, 03:48 PM   #3
DevRaj80
Special Member
 
DevRaj80's Avatar
 
Join Date: Dec 2011
Location: किसी के दिल में
Posts: 3,781
Rep Power: 33
DevRaj80 has a brilliant futureDevRaj80 has a brilliant futureDevRaj80 has a brilliant futureDevRaj80 has a brilliant futureDevRaj80 has a brilliant futureDevRaj80 has a brilliant futureDevRaj80 has a brilliant futureDevRaj80 has a brilliant futureDevRaj80 has a brilliant futureDevRaj80 has a brilliant futureDevRaj80 has a brilliant future
Default Re: Pyar ki kashish - shikha

बढ़िया कहानी
__________________

************************************

मेरी चित्रशाला : दिल दोस्ती प्यार ....या ... .

तुमने मजबूर किया हम मजबूर हो गये ,...

तुम बेवफा निकले हम मशहूर हो गये ..

एक " तुम " और एक मोहब्बत तेरी,

बस इन दो लफ़्ज़ों में " दुनिया " मेरी..

*************************************
DevRaj80 is offline   Reply With Quote
Old 06-01-2015, 06:59 PM   #4
rajnish manga
Super Moderator
 
rajnish manga's Avatar
 
Join Date: Aug 2012
Location: Faridabad, Haryana, India
Posts: 13,293
Rep Power: 241
rajnish manga has a reputation beyond reputerajnish manga has a reputation beyond reputerajnish manga has a reputation beyond reputerajnish manga has a reputation beyond reputerajnish manga has a reputation beyond reputerajnish manga has a reputation beyond reputerajnish manga has a reputation beyond reputerajnish manga has a reputation beyond reputerajnish manga has a reputation beyond reputerajnish manga has a reputation beyond reputerajnish manga has a reputation beyond repute
Default Re: Pyar ki kashish

Quote:
Originally Posted by shikha sanghvi View Post
...

Friends....ab yaha se hoti he het ke jivan ki sandharsh ki kahani.....kya harsh ne dil se het ko apnaya tha....kya het ek naye desh me, ek alag ritrivaj, alag bhasha.....or ajnabee saathi ke saath adjust kar payegi..............
शिखा जी, एक रोचक कहानी को फोरम पर शेयर करने के लिए आपको अनेकानेक धन्यवाद. कहानी के उपरोक्त अंतिम अंश ने कौतुहल बढ़ा दिया है. आशा है आप कहानी की अगली कड़ी जल्द पोस्ट करेंगी.
__________________
आ नो भद्रा: क्रतवो यन्तु विश्वतः (ऋग्वेद)
(Let noble thoughts come to us from every side)
rajnish manga is offline   Reply With Quote
Old 06-01-2015, 07:07 PM   #5
Nand Kumar
Member
 
Join Date: Jan 2015
Posts: 33
Rep Power: 0
Nand Kumar will become famous soon enough
Default Re: Pyar ki kashish

nice story
Nand Kumar is offline   Reply With Quote
Old 06-01-2015, 09:57 PM   #6
Deep_
Moderator
 
Deep_'s Avatar
 
Join Date: Aug 2012
Posts: 1,810
Rep Power: 38
Deep_ has a reputation beyond reputeDeep_ has a reputation beyond reputeDeep_ has a reputation beyond reputeDeep_ has a reputation beyond reputeDeep_ has a reputation beyond reputeDeep_ has a reputation beyond reputeDeep_ has a reputation beyond reputeDeep_ has a reputation beyond reputeDeep_ has a reputation beyond reputeDeep_ has a reputation beyond reputeDeep_ has a reputation beyond repute
Default Re: Pyar ki kashish

बढिया! अगर कहानी हिन्दी मे टाईप की होती जो मज़ा दुगना हो जाता।
Deep_ is offline   Reply With Quote
Old 07-01-2015, 05:21 PM   #7
Shikha sanghvi
Senior Member
 
Shikha sanghvi's Avatar
 
Join Date: Jan 2015
Posts: 314
Rep Power: 23
Shikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud of
Default Re: Pyar ki kashish

Thanks all of you....
Aage ki kahani is me hi edit kar rahe hai....
Shikha sanghvi is offline   Reply With Quote
Old 08-01-2015, 12:30 AM   #8
soni pushpa
Diligent Member
 
Join Date: May 2014
Location: east africa
Posts: 1,288
Rep Power: 65
soni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond reputesoni pushpa has a reputation beyond repute
Default Re: Pyar ki kashish

शिखा जी बहुत सारे भावों से भरी आपकी कहानी ने हमे भावुक कर दिया .. परदेश में अपनों के बिना अकेले सब सहना सरल बात नही थी हेत के लिए, हेत की दृढ़ता और प्यार से हुई उसकी जीत का आपने इस कहानी में बहुत अच्छा वर्णन किया है . और इस कहानी की वजह से मेरे मन में एक कविता का उद्भव हुआ जिसे आप " न दीजो परदेश मोहे बाबा" कविता में पढ़ सकेंगी
soni pushpa is offline   Reply With Quote
Old 08-01-2015, 04:33 PM   #9
Shikha sanghvi
Senior Member
 
Shikha sanghvi's Avatar
 
Join Date: Jan 2015
Posts: 314
Rep Power: 23
Shikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud of
Default Re: Pyar ki kashish

Thanks a lot pushpaji.....abhi kahani aage bhi hai....aap bas padhte jaiye.......ye kisi ki zindgi ki suchi kahani hai
Shikha sanghvi is offline   Reply With Quote
Old 09-01-2015, 09:15 AM   #10
Shikha sanghvi
Senior Member
 
Shikha sanghvi's Avatar
 
Join Date: Jan 2015
Posts: 314
Rep Power: 23
Shikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud ofShikha sanghvi has much to be proud of
Default Re: Pyar ki kashish

Aage ki kahani is me hi edit ki hai readers.....
Abhi bhi kahani adhuri hai......kya use dusre part Mai rakhu?

Plz...give me your opinion about my story....Jisse Hume pata chale ki sabko pas and hai ki nahi
Shikha sanghvi is offline   Reply With Quote
Reply

Bookmarks

Tags
love story


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off



All times are GMT +5. The time now is 10:10 PM.


Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.