My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Art & Literature > Hindi Literature
Home Rules Facebook Register FAQ Community

Reply
 
Thread Tools Display Modes
Old 16-10-2012, 08:30 AM   #11
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

shayad usne mujhse ye sab except nahi kiya tha..mujhe apne aap par bahut gussa aaya...main use uthakar car ki taraf badh gaya,,,,,car abhi bhi state highway pe khadi thi....maine car ka gate khola aur sara ko andar baitha diya driving seat pe..aur dusari taraf se akar main bhi baith gaya..bahut der tak khamoshi chhayi rahi,bahar barish abhi bhi ho rahi thi...jab kuch der aur usne kuch nahi bola toh mere dil ke andar bechaini hone lagi...us samay main ye bhool gaya tha ki main Nagpur se delhi jane ke liye nikla tha..us vaqt toh mujhe bas uski bechaini khaye ja rahi thi,..shayad mujhe usse pyar hogaya tha,wahi pyar jisme mere kayi dost devdas ban gaye the...phhir maine hi apne dil ko majboot kiya aur uski taraf dekha,.,
"tumhara pair kaisa hai..."maine baat ki shuruat kar hi dali...
wo chup hi rahi..
"dekho sara i am sorry ,jo hua anjane me hua maine janbuch kar nahi kiya..."
wo jaise mera man padhne ki vidhi jan gayi thi,is baar bhi usne mera jhoot pakad liya...
"Aditya,tum koyi mauka apne hath se jane nahi dete na...."
''sara dekho.,i am really sorr..."main sorry bhinahi bol paya tha ki usne apne hath mere hontho pe rakh diye...
"chup bilkul chup..bahut bol chuke tum Aditya ab..."
main chup hi raha..lekin ab sara rang me aa rahi thi usne apna face mere face ke bilkulkarib laya...uske hath abhi bhi mere lab pe the..kuch der tak wo aise hi mujhe dekhti rahi meri ankho me kuch dekh rahi thi,...phhir usne apne hath mere honth se hataye lekin usne apne hoth mere hotho pe rakh diya...main bhala kyu pichhe hatne walatha...maine bhi responce dene laga...wo bahut teji se mere hotho ko chuse ja rahi thi..jaise mujhe kha jayegi ..meri sanse kam hone lagi mera dam ghutne laga maine puradam laga kar use alag kiya..hum dono hanf rahe the,.lekin mujhme uske baad wo josh aaya ki maine uska sar pakad kar seedhe apne hontho se sata diya..mere hatho ne apna kaam shuru kar diya,,main apne hatho se uske boobs me dabav banane laga tha...yadi us vaqt maine dil ki jagah dimak se kaam liya hota toh shayad aaj situation kuch aur hoti...
maine uska skirt utar diya...wo mere shirt ke kholne lagi aur jaldbaji me mere shirt ko phad diya jane use kya jaldi thi..maine apne phate shirt ko alag kiya,,,usne aage wali dono seat ko pichhe kiya..hum dono ke khel ke liye bharpur place tha...uski ankho me ek ajib tarah ki hawas thi..jaise ki wo aaj tak mera hi intejar kar rahi ho..is Nagpur to DelhiRoad pe.....maine uske kamar ke upar ke pure sharir se kapda hata diya..aur kuch der baad kamar ke niche wale hisse se bhi ,ab hum dono ke sharir prakratik awastha me the..maine use pakad wahi seat pe gira diya...aur phhir humari prem rashleela chalu ho gayi ye mera first time tha..uski ankho ki hawas badhti hi ja rahi thi...kitni der tak humari ras -leela chali mujhe maloom nahi chala...jab hum dono ke sharir ka toofan shant hua toh uski ankho me ek ajib shanti mujhe dikhi jaise wo mere liye kitne salo se tadap rahi ho aur aaj use wo sab kuch mil gaya ho...
main wahi so gaya..kitni der soya maloom nahi lekin jab meri neens khuli toh maine dekha sara car chala rahi thi,..maine usse puchha..
"car kaise thik hui..."
"wo main raat me dobara us mechanic ke ghar gayi thi,usi ne car thik ki..."
na jane kyu maine uski baat pe yakin kar liya..maine ye bhi nahi socha ki wo aurat ab dubara darwaja nahi kholegi,.aur raat me sara utni door akeli nahi ja sakti thi...lekin us samay mere dimak me sirf aur sirf sara ka bhoot sawar tha..
"hum kaha hain abhi..."maine uski taraf dekha..
"abhi -abhi khurja jewar districit road ko cross kiya hai..abhi hum deen dayal upadhaya road pe hai...ab delhi kuch der me pahunch jayenge...'
"are waah,tum car ko uda ke layi ho kya..itni jaldi delhi pahuncha diya..."
kuch der baad delhi city start hi chuki thi....usne ek colony ke samne car rok di...
"car ,kyu rok di.."
"ye hai evergreen colony main yahi rahti hu..sector no. 5 ,flat no. 2 pe.."
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 16-10-2012, 08:32 AM   #12
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

sara main tumse kuch kahna chahta hun..."
"haan bolo..."
"tumhari shadi ho gayi hain kya."
"nahi ,lekin tum kyu puchh rahe ho..
"dekho sara ,main nahi janta tum kya sochogi lekin main main tumhe apne zindagika humsafar banana chahta hun,tumse shadi karna chahta hu...kal raat jo hua,wo mahaj ek ittefak nahi ho sakta..""
"shadi,aise hi nahi ho jati mr. Aditya,,,uske liye tumhe mere mom aur dad se baat karni hogi..."
"tum taiyar ho.."
"pahle tum mere mom dad se mil lo..."
"phhir chalo abhi mil leta hun.."
"are abhi raat hai,kal subah aana thik rahega.."
main car se utar gaya..wo wahi pe car me baithi mujhe dekhti rahi jab tak main waha se chala nahi gaya..main bahut khush tha..ghar pe pahuncha dady ne bahut sare sawal kiye ki teri car kaha hai,ytera mobile kyu swith off tha..itni der kaha hui..lekin maine dad ko kuch nahi bataya..aur khusi -khusi apne room pe gaya aur kal ka intejar karne laga..lekin wo kal kabhi meri zindagi me nahi aaya jiska main intezar kar raha tha..
main subah utha aur taiyar hokar sara ke bataye address pe gaya lekin uske ghar pe tala laga hua tha ,
Kahi gaye honge maine ye sochkar bahar intezar karne laga ...do ghante baad bhi jab koyi nahi aaya toh maine bagal wale ghar kadarwaja khatkhataya..ek admi ne gate khola ,
"kya kam hai,"usne raubdar awaj me khaha..
"ji, mujhe sara ke dad se milna hai.."
uske ankho me utsukta jag gayi...
"lekin wo toh yaha nahi rahte ab,do saal pahle hi yaha se chale gaye..."
"kya..."main buri tarah chaunk gaya...
"haan,unki beti sara ka accident hua tha jiskivajah se wo ab is duniya me nahi hai..."
"what,"maine ye shabd itni jor se kaha ki puri building hi gunj gayi...
"haan beta ,sara ka accident hua tha ,Nagpurto Delhi Road pe...............
*******THE END*******
______________
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 16-10-2012, 08:35 AM   #13
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Humsafar completed...next story of this thread will be NA JAANE KYUN....
Na jaane kyun is my best story written by my fav. Writer....
Unhone ye story ek gazal sunkar likh dali thi ek alag hee andaz me....hope all of u like...
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 17-10-2012, 09:01 AM   #14
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

NA JAANE KYUN....
Nadi kinare dhuan uthat,
Main jaoon kachhu hoye,
Jiske karan main jala,
Kahin vahi na jalti hoye,
Lakdi jali bhal koyla,
Koyla jala bhal raakh,
Main premi aisa jala,
Koyla bhaya na raakh.
PART 1 - September 19th, 2001.
Phir vahi nazar, vahi badi badi bhoori aankhen aur phir vahi mujhe dekh kar shokhike saath palkon ka jhapkana.
"Oye sun na, bore ho rahi hoon yaar"
Aur phir vahi ada ke saath ubaasi lene ka natak karte hue mere kandhe par uska sar katikana.
"Class mein suna karo ke kya bol rahe hain, filhal mere notes copy karke kaam chala rahi ho, aage zindagi mein kya karogi?? " Hamesha ki tarah mera shikayat karna.
"Tum hoge na vahan bhi mera saath dene ko,my best friend" Hamesha ki tarah muskurate hue uska vahi purana jawab.
Best friend. Is label se mujhe nafrat bhi thi aur ye haqeeat bhi thi ke is label ke bina jeena mera muhaal tha.
Mere Humnafas, Mere Humnawa,
Mujhe Dost Ban Ke Daga Na De
Main Hoon sadma-e-Ishq Se Jaan-Valab,
Mujhe Zindagi Ki Dua Na De.
Use shayad khabar bhi nahi ke mere dil mein kya hai. Ke kaise main use dekh dekh jeeta hoon aur kaise mera use dekh dekh hi dam nikalta hai. Uske liye toh main uska sabse achha dost hoon jo uske har achhe bure mein uske saath hota hai. Jab vo hasti hai uske saath hasta hai aur jab vo roti hai toh uske chehre se ashq ponchhne ko sabse pehla jiska haath hota hai. Aey kaash ke use khabar ho ke ye silsila mehez saath hasne aursaath rone se kahin aage nikal chuka hai.
Kaash use khabar ho ke vo hasti hai toh kis tarah mere dil ki dhadkan tez ho jaati hai aur vo ghamzada hoti toh kaise mera dil bethne lagta hai. Aey kaash ke use khabar ho ke kaise main baar baar uski nazar bacha kar uska deedar karta hoon, uske chehre ko apninazar se chhuta hoon aur ye sochta hoon ke uske bina kabhi jeena pada toh kya karunga. Kaise guzarunga ye din aur kaise kaatunga apni raat.
Sochta hoon ke kaisi hogi zindagi jo yun hi kabhi vo bhi meri mohabbat ka iqraar kar le.
"Yaar vo kal wala assignment banaya?"
"Haan" Maine jawab diya
Usne usi masoomiyat ke saath apni aankhen gol gol ghumate hue meri taraf dekha aur maine bina kuchh kahe, bina kuhh sune uskamatlab samajhte hue kaha ?Shaam ko ghar aakar de jaoonga. Kar lena copy?
"Thank you so much. You are my best friend" Vo khushi se kisi chhoti bachchi ki tarah khush hoti aage badhi aur mere gale mein baahen daal kar mujhse lipat gayi.
Best Friend.
Kaise kahoon, kaise samjhaoon ke main usse zyada hona chahta hoon. Ke main usse mohabbat karta hoon. Par kambakht alfaaz hain ke na jaane kyun zubaan tak aakar hi ruk jaate hain. Ehsaas hain ke na jaane kyun dil mein dhadkan ban kar hi dhadakte reh jaate hain. Khwahish hai ke na jaane kyun aankhon se toh numaya hoti hai par lafzon ka roop lekar kabhi zubaan ki sidhiyan nahi utarti.
Na jaane kyun.
PART 2 - April 21st, 2002
"Yaar please saath chal na. Main ghar par kya keh kar jaoon ke 3 din ke liye kahan ja rahi hoon?"
"Apni doston ke saath, aur kahan"
"Mere dad kabhi nahi maanenge is baat ke liye ke akeli ladkiyan shehar se bahar ghoomne ko ja rahi hain. Tu keh de ke saath chal raha hai"
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 17-10-2012, 09:04 AM   #15
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Phir ek baar uske liye jhooth aur har baar ki tarah is baar bhi khushi se. Aur vo bhi shayadye baat jaanti hai ke vo kuchh kahe aur main mana kar doon aisa shayad hi kabhi ho.
"Haq hai mera tumhare uper"
Aisa vo kehti hai aur aisa main samajhta hoon, manta hoon. Aur chahta hoon ke ye haq bana rahe, isi tarah, hamesha ki tarah, zindagi bhar. Aur koshish karta hoon ke use bata sakun ke main yun hi uske naaz uthana chahta hoon. Jahan vo kadam rakhti hai us zameen ko chommna chahta hoon. Ke uski kadam-bosi karna chahta hoon aur apna dil uske kadamon mein rakhte hue use ye ikhtiyaar dena chahta hoon ke vo chahe toh apna le, vo chahe toh thukra de.
Mujhe Chhod De Mere Haal Par,
Tera Kya Bharosa Hai Chaaragar
Yeh Teri Nawazish-e-Mukhtasar,
Mera Dard Aur Badha Na De.
"Yaar tu na hota na, seriously bahut akeli hotimain"
Par main use kaise samjhaoon ke meri kash-makash kya hai. Ke kaise main jab uske saath hota hoon toh mehfil mein bhi hota hoon aur tanhai bhi saath nahi chhodti. Ke kaise uske hone se duniya rangeen ho jaati hai aur lagta hai ke har taraf mehfil hai. Par is khyaal se ke vo meri mohabbat se bekhabar hai, kis qadar udaasi mere dil mein ghar kar leti hai. Kis tarah se bheed ke beech uska haath thaame bhi khud ko akela pata hoon main.
Kaise kahoon, kaise samjhaoon ke main usse zyada hona chahta hoon. Ke main usse mohabbat karta hoon. Par kambakht alfaaz hain ke na jaane kyun zubaan tak aakar hi ruk jaate hain. Ehsaas hain ke na jaane kyun dil mein dhadkan ban kar hi dhadakte reh jaate hain. Khwahish hai ke na jaane kyun aankhon se toh numaya hoti hai par lafzon ka roop lekar kabhi zubaan ki sidhiyan nahi utarti.
Na jaane kyun.
PART 3 - May 13th, 2003
"Do you really have to go? I mean you could ajob here too"
Vo poori koshish kar rahi thi ke apni aawaz mein jhalak rahe bhaaripan ko, apne aankhon mein jhalak rahi nami ko chhupa sake par kaamyab nahi ho pa rahi thi.
"Its just for a few years you know and it will be a boost for my career to start my work lifeworking abroad with a company like that. Down the line i can come back and get a good package to work here" Maine jawab diya.
"Or you might just like it there and not come back at all "
Aur uske is jumle ne jaise hazaron baatein keh di, uska sabse bada darr numaya kar diya.
" Hey !? Maine uska haath pakadte hue kaha?We will always stay in touch and when i finally move back here, we will still be friends,Best friends"
Usne muskurane ki koshish ki par saaf zahir tha ke vo sirf mera dil rakhne ke liye thi. Pata nahi main aisa kyun kar raha hoon, kyun is job ke bahane usse door jaane ki koshish karraha hoon. Kya sach main apne career ke liye ye kadam utha raha hoon ya sirf isliye ja rahahoon ke usse kuchh din ke liye door ho sakun. Apne us har jazbaat se door ho sakun jo uske naam se shuru hokar uske naam par khatam ho jaate hain.
Kya main isliye door ja raha hoon ke mujhe ek achhi zindagi mil sake ya main ye koshish kar raha hoon ke apne zindagi ko ek alag nazariye se dekh sakun. Ek aisa nazariya jahan meri nazar sirf ek usi ki tasveer na ho. Main aaj tak usse apne dil ki baat nahi keh saka hoon. Kai baar koshish ki hai par har baar zubaan ladkhada jaati hai.
Ek ehsaas jo kabhi dil ko sukoon deta tha ab takleef dene laga hai. Main bahut arse se uskeishq mein deewana hoon aur aaj tak usse is baare mein ek alfaaz kehna toh door, kabhi isharon isharon mein bhi nahi jata saka.
Dil mein hazaron baatein hai, hazaron ehsaashain jo ab andar hi andar se mujhe todne lage hain. Dam sa ghutne laga hai mera. Lagtahai main ek aisi machine hoon jise ek ek purza kharab ho chuka hai. Mere khyaal, merisoch kabhi usse door hoti hi nahi. Kabhi ek pal ke liye sukoon milta hi nahi.
Na toh keh pata hoon aur na chup raha ja raha hai. Shayad usse kuchh din door rahun toh kuchh sukoon mile.
PART 3 - Dec 13th, 2004
"Kya hua, tum toh bade bahane bana rahe the ke meri shaadi mein nahi aa paoge, ab kya hua? "
Mujhe dekh kar vo usi masoomiyat ke saath, kisi chhoti bachchi ki tarah ithlati hui aage badhi aur apne makeup se bekhabar, apne dulhan ke libaas se bekhabar, aas paas khadelogon se bekhabar, aur aisi hi tamam cheezon se bekhabar hokar meri gale mein baahen daalti hui lipat gayi.
"Mujhe pata tha tum zaroor aaoge, bhale lakhkaam ho tumhein. Main bulaoon, aawaz doonaur tum na aao, aisa toh kabhi ho hi nahi sakta"
Aur aaj uski shaadi hai.
Woh Uthein Hain Leke khum-o-Subu,
Arrey O ?Shakeel? Kahan Hain Tu
Tera Jaam Lene Ko Bazm Mein
Koi Aur Haath Badha Na De!
Aur kisi aur ne haath badha hi diya. Main kinare khada dekhta hi reh gaya, sochta hi reh gaya aur meri kashti ko nakhuda ban kar dariya mein koi aur le gaya. Mere jazbaat zubaan tak aa hi na sake aur vo kisi aur ka jazba ban gayi. Mera dil uske naam par dhadakta hi reh gaya aur kisi aur ne apna naam uske saath jod bhi liya. Meri aankhen uske ehsaas se nam hi reh gayi aur koi aur uski aankhon ka kajal ban gaya.
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 17-10-2012, 09:06 AM   #16
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Usne phone par mujhe bataya tha ke vo shaadi kar rahi hai aur main bahane banane ki koshish karta raha ke kaise mere passport ki koi problem hai, kaise main filhal india nahiaa sakta, kaise mujhe hazaar kaam hain, kaise main filhal bahut busy hoon aur ek vo thi ke muskura kar sirf itna hi kaha ke vo jaanti hai ke main aaonga zaroor.
Aur main ek baar phir uske dar par aa khada hua.
Saalon se badi khwahish thi ke uske dulhan ke roop mein dekhun. Dekhun ke kaise laal rang uske gore rang par phabta hai. Dekhun ke shaadi ki vo chamak, vo raunak uske chehre par kaisi lagti hai. Dekhun ke jab vo ban than kar aaye toh kaise mehfil ki har ladki uske saamne mamooli ho jaaye.
Aur jaisa socha tha vaisa hi aaj ho bhi raha hai, farq sirf itna hai ke laal rang aaj kisi aur ke naam ka hai. Angoothi kisi aur ke naam ki hai, maang ka sindor kisi aur ke naam ka hai.
Aaj vo sar se paon tak kisi aur ke naam ki hai.
Main khada sochta hi reh gaya aur meri duniya jaise neelam ho gayi, kisi aur ke naam ho gayi.
Kabhi jaam lab se laga diya,
kabhi muskurake hata diya,
teri chhed chhad ye saqiya,
meri tashnagi ko bhadha na de.
"Mujhe pata tha tum aaoge, thank you. You are my best friend" Vo boli.
Kaise kahoon, kaise samjhaoon ke main usse zyada hona chahta hoon. Ke main usse mohabbat karta hoon. Par kambakht alfaaz hain ke na jaane kyun zubaan tak aakar hi ruk jaate hain. Ehsaas hain ke na jaane kyun dil mein dhadkan ban kar hi dhadakte reh jaate hain. Khwahish hai ke na jaane kyun aankhon se toh numaya hoti hai par lafzon ka roop lekar kabhi zubaan ki sidhiyan nahi utarti.
Na jaane kyun.
PART 4 - Nov 14th, 2006
Aakhri baar use dekha tha to voh laal rang mein thi. Bahut khoobsurat lag rahi thi.
Aaj use dekh raha hoon toh vo safed rang mein, bahut khoobsurat lag rahi hai.
Aakhri baar use dekha tha toh vo mehfil meinthi, bahut khoobsurat lag rahi thi.
Aaj use dekh raha hoon toh vo ab bhi logon se ghiri hui hai, bahut khoobsurat lag rahi hai.
Aakhri baar use dekha tha to vo ghar se vidaile rahi thi, bahut khoobsurat lag rahi thi.
Aaj use dekh raha hoon toh vo phir vidaai le rahi hai, bahut khoobsurat lag rahi hai.
Aakhri baar use dekha tha to log use ghere aansoo baha rahe the, aur vo bahut khoobsurat lag rahi thi.
Aaj bhi log use ghere zaar zaar ro rahe hain, aur vo ek baar phir bahut khoobsurat lag rahi hai.
Par nahi, kuchh farq bhi toh hai.
Jab isse pehle use dekha tha toh vo gehno se ladi hui thi, sar se paon tak sone ki gudiya lagrahi thi. Aur aaj toh use bepanah husn ki shaan badhane ko kuchh bhi nahi. Pehle har chehre chehre par raunak thi, mehfil thi aur aaj toh sirf matam hai, veerani hai. Log tab bhi the, log aaj bhi hain par in sabke beech vo aaj hote hue bhi nahi hai.
Tab jiske gale mein phool the, aaj uski tasveerpar phool hain.
Dar-e-yaar par badi dhoom hai,
vahi aashiqon ka hujoom hai,
Abhi neend aayi hai husn ko,
koi shor karke jaga na de.
Par aisa lagta hai ke maut sirf itna hi kar saki ke jism se rooh ko nikal le gayi. Isse zyada shayad maut ke bas mein bhi nahi tha. Vo aajsafed chadar mein lipti jin logon ke beech hai, unmein se har kisi ke chehre par gham hai par jiske liye zamana ghamzada hai vo khud kitni pur-sukoon hai. Vahi raunak jisne zindagi bhar saath diya vo aaj aakhri lamho mein bhi chehre ka saath chhod na saki.
Aur un sab logon ke beech betha main abhaga ye tay hi nahi kar pa raha hoon ke meri duniya aur kitni baar lutegi. Kabhi laal rang mein toh kabhi safed rang mein waqt aur kitni baar mere saath mazak karega. Mainjiska haath thaam kar sapne sajana chahta tha, aak vo khud ek khwab bankar maut ka haath thaame jaane kahan chali gayi.
Main khada sochta hi reh gaya aur meri mehfil veeran ho gayi
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 17-10-2012, 09:09 AM   #17
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Aur phir dil mein khyaal aata hai ke auron ki tarah main bhi zaar zaar ro doon. Beh jaane doon ye dariya jo kabse aankhon mein samete hue hoon. Peet loon main bhi apni chhati, phod loon main bhi apna sar. Ke main bhi aasmaan ki taraf chehra uthaoon aur ek patthar utha kar khuda ki tarah phenkne ki koshish karun. Aur usse shikayat karun, gila karun.
Khyaal aata hai ke jo kabhi masoomiyat ki tarah baar baar chhoti bachchi ki tarah mujhse lipat jaati thi, aaj main uske murda jism se lipat jaoon. Jo baat zindagi bhar usse na keh saka, aaj use apni zubaan tak le aaon. Bethun uske sirahne, rakh loon uska bejaan sar apni god mein, thaam loon uske thande pad chuke haath aur bataoon use ke kaise main apni zindagi ka har pal uske naam kar chuka hoon. Kaise uske dam se meri zinadgi ka dam tha. Ke kaise main usse door hokar bhi hamesha aur sirf usi ka raha.
Peet loon main bhi apni chhati, phod loon main bhi apna sar. Pehenke kala choga, main bhi dhar loon roop Rudaali ka.
Ban jaoon main bhi aaj deewana aur majnu aur ranjha ki tarah main bhi uski mayyat par zamane ko dikha doon ke main usse kis qadar mohabbat karta tha. Jo baat kabhi ussena keh saka, aaj poori duniya se keh doon. Kerok loon use jaane se. Wasta doon apni dosti ka, shart rakhun apni mohabbat ki aur kahunkuchh aisi baat ke vo palat aaye. Saanson ki rawani, dhadkan ka silsila, jism ki garmi phir laut aaye aur vo yun hi ithlati hui mujhse lipatjaaye.
Maangun koi aisi dua ke mera khuda mujhe meri mohabbat phir lauta de.
Ya phir chalun main bhi uske saath thi. Chahta bhi toh yahi tha ke uske saathi hi rahun, hamesha. Toh kyun na aisa karun ke aaj main bhi uske saath is anjaan safar par nikal padun. Jo kabhi ghar se bahar tak mere bina nahi nikalti thi, aaj use ek anjaan duniya mein akele kaise jaane doon?
Par nahi, main toh bas khamosh betha hoon, jaise hamesha se uske saamne khamosh raha. Aaj bhi bas soch raha hoon ke ye karun,vo kahun par bas ek kone mein betha khamoshi se uske chehre par nazar jamaye hoon. Aaj bhi bas sabki nazar bacha kar, uski nazar bacha kar, uske husn ka deedar kar raha hoon. Aaj bhi soch raha hoon ke kya kahun, kaise kahun.
PART 5 - November 22nd, 2006
Usko gaye aaj 8 din ho gaye hain aur main apne ghar mein apna sar thaame uski tehreer padh raha hoon. Jo kabhi hamesha mere hi notes copy karti thi, usne pehli baar khud kuchh likh kar mujhe bheja hai. Bhejne ki tareekh uski maut se 2 din pehle ki thi.
"Shaadi ke baad tum aise gaye ke bas gayab hi ho gaye. 2 saal ho gaye hain aur tumhara kuchh pata nahi. Kya ho gaya? Naraz ho mujhse kya? Phone number badal liya aur mujhe bataya tak nahi? Ghar badal liya aur mujhe khabar bhi nahi ki? Ab phone bhi nahikarte? Tumhara ye address bhi badi mushkil se dhoondh paayi hoon ?. sach kahun toh main jaanti hi nahi ke ye sahi bhi hai ya nahi?
Ek baat thi mere dil mein kaafi arse se so socha ke aaj keh doon. Ek lambe arse tak intezaar karti rahi ke shayad tum kahoge par aisa hua nahi. Shayad maine hamari dosti ka kuchh aur hi matlab nikala aur tumse ek anjaan si ummeed laga bethi thi aur aakhir tak vo ummeed qayam rahi.
Mere paas ab waqt zyada nahi hai aur main nahi jaanti ke main ab tumhein jaane se pehle dekh bhi paoongi ya nahi. So aaj khud hi apne dil ki baat kahe ja rahi hoon. Actually toh mujhe kabhi samajh hi nahi aaya ke tumse kaise kahun aur aaj bhi nahi jaanti ke kaun se shabd likhun isliye college time ki apni diary ke kuchh papers phaad kar post kar rahi hoon. Ummeed hai ke shayad tum padhkar samajh jao ke main kya kehna chah rahi hoon.
Aur ek jhooth bhi bola tha maine tumse. Kahin jaane ke liye main hamesha tumhein isliye bulati thi ke main tumhein saath le jana chahti thi. Tum aane se mana karte the toh jhoonth bol deti thi ke papa jaane nahi de rahe aur tum aakar saath chalne ka bahana karo taaki to permission de den.
Waqt rehte tumhein ye mil gaya aur tum aa sake toh theek varna alvida mere dost. Apna khyaal rakhna. Hamesha Khush Raho.
You were my only and my best friend."
Maine diary ke kuchh pages jo usne bheje thepadhne shuru kiye.
"Samajh nahi pa rahi hoon ke kaise main use apne dil ki baat bataoon. Kabhi kabhi uski taraf dekhti hoon toh lagta hai ke vo bhi mujhe chahta hai par vo kuchh kehta hi nahi. Aaj class mein chor nazar se baar baar mujhedekh raha tha. Vo sochta hai ke mujhe pata nahi chalta par main jaanti hoon ke vo meri aankh bacha kar meri hi taraf dekh raha tha.
Agar chahta hai mujhe toh lallu hai ekdam. Saara din uska haath thaame ghoomti rehti hoon. Ab aur isse zyada kya ishara doon ke main bhi use chahti hoon"
Uski diary ke pages khatam hone se pehle hi meri aankhon beh chale the. Aaj phir ek baar meri duniya loot li gayi thi. Aaj phir dil chah raha tha ke main cheekh maar kar do roon.
Peet loon main bhi apni chhati, phod loon main bhi apna sar. Pehenke kala choga, main bhi dhar loon roop Rudaali ka.
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 23-10-2012, 11:32 AM   #18
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Qurbani(taken from net)
Qurbani Agra shahar se mera bohot hi gehra rishta hai. Yaha ki hawa paani me main pal kar bada hua. Aaj kai saalo baad jab dobara agra aane ka maukamila to yaha ki aawo hawa ne yaha se judi meri saari yaade taja kar di. agra aane ka mera koi irada hota bhinahi agar business meeting nahi hoti. aur inhi yaado ke chalet main aaj usi restaurant me aaya tha jaha main aksar aaya karta tha coffee peene ke liye. Restaurant me baitha main idhar udhar dekh raha tha ki abhi tak wetter order le kar kyu nahi aaya. Tabhi mujhe mere kandhe par haath rakha hua mehsos hua.. mainepalat kar dekha to wo mere peeche khada hua tha jise mere saath ke log mera dost kehte the.
“Abe tu aur yaha kya kar raha hai ?” maine usko hairani se dekhte hue kaha.
“Main to yahi tha yaha se kaha gaya tha. gaya to tu tha is shahar ko ham sab ko chhod kar” usne muskurate hue mere saamne wali kursi par baith te hue kaha..
“haan yaar kya karta.. padhai puri hochuki thi aur mukesh mama ne apne paas bula liya tha” maine dobara se ek wetter ko apne paas aane ka ishara karte hue kaha.. wetter ke najdeek aate hi maine us se kaha “aur bata kya lega..”
Usne na me gardan hilate hue kuch bhi na lene ka ishara kiya. Maine wetter se do coffee lane ka ishara kar diya.
Maine uski taraf ek najar dekha aur purani saari yaade mere jahan me taja hoti chali gayi…………….
****************************
Kehne ko wo mera dost tha par asal me wo mujhe apna nokar samjhta tha. mere pitaji uske yaha par nokarikarte the aur hamare ghar pariwar ka pura kharcha pita ji ki thodi si salary se hi chalta tha. apne ghar ki maali halat dekh kar mujhe bohot dukh hota tha. is liye mera rujhan shuru se hi padhayi likhayi ki taraf raha. Pita ji ke malik bohot naram dilthe. Unhone apne ladke ki padhayi ke saath saath meri padhayi ki bhi vyavastha karwa di thi. Ham dono ekhi jagah par padhayi karte the. Padhayi likhayi me hoshiyar hone ke bavjood bhi mujhe school me wo sabsehna padta tha jo use sahna chahiyetha. par apne pita ji aur ghar pariwarka khayal aate hi mera dil tadap kar rah jata tha. yaha se meri qurbani dene ka silsila shuru hua aur badhti umar ke saath aage tak badhta chalagaya.uski har chhoti moti baato ke liye mujhe apni ichhao ki kurbani deni padi.
Wo mere saath bilkul kisi nokar ki tarah sulook karta tha ghar se uska bag lekar chalna aur phir school se uska bag uthana.. har wo kaam jo eknokar se liye ja sakte the wo mere seleta tha.. par maine apne ghar pariwar ki halat ko dekhte hue kabhius se kuch na kaha. School me milne wala inaam bhi wo apne saath ye bata kar ki wo use mila hai le jata tha. itna sab hone ke baad bhi main use apna dost hi manta tha.
Uske bartaav me koi fark nahi aaya. Par mujhe ab aadat ho chuki thi aur main use apna dost hi manta tha uski is tarah ki harkat mujhe kuch banna hai wale mere irade ko aur bhi majboot karti. Ham dono college me aa gaye the. Mera dhyan ab bhi padhayi ki taraf hi tha kyuki mujhe padh likh kar bada aadmi banna tha. hamare jitne bhi rishtedar the wo hamari kangaali ko dekh kar ham se pehle hi nata tod chuke the. Aur gharme maa ki beemari, behano ki shaadi daadi dada ka ilaaj. Ghar me bade hone ke naate Sab kuch mujhe hi dekhna tha. is liye main apni padhayi par hi dhyan deta raha.
Par college me aakar ladkiyo ke saath koi padhayi kaise kar sakta hai.?
Ye meri umar ka asar tha ya haqiqat me wo thi hi aisi ki main khud ko bhool baitha. wo chehra tha hi itna khoobsurat ki agar us koi dekh le to bas uska deewana hue bina nahi rah sake. buri aankhe, gulabi honth, ghane lambe bal, gulabi rang ka suit to us par aisa khil raha tha ki use dekh kar yahi lag raha tha ki gulabi rang upar wale ne sirf uski pehran keliye hi banaya hai. gatha hua badan chal aisi ki bas.. aur logo se uske bareme jo suna tha ki wo nek dil, insano ki help karne wali bhi hai. sab kul mila kar ek aisi ladki jise pane ki tamanna har insaan ki hoti hai.
“abe kaha laga hua hai ?” peeche se jab kaano me aawaj aayi to main apne khayalo se bahar aa gaya.. par meri najar ab bhi us chehre se hatne ka naam hi nahi le rahi thi. Pehli hi najar me use dekh kar main khud ko bhool baitha.
“abe kitni der se aawaj laga raha hu tera dhyan kidhar hai be ?” usne mere paas aa kar meri aankho ka peecha karte hue kaha.
“abe yaar kya ladki hai ek baar mil jaye to meri kismat hi badal jaye, ye to mere liye hi bani hai. ise main apna bana kar rahuga chahe mujhe kuch bhi karna pade ” usne meri aankho ka peeche karte hue us ladki ko dikhate hue mujhse kaha. Uske munh se us ladki ke liye nikle shabd mere dil me teer ki tarah chubh rahe the. kyuki main ache se janta tha uski fitrat ko wo ek bohot hi ghamandi ladka tha. jo apne baap kepaise aiyaashi me udane me vishwasrakhta tha. padhayi likhaayi uske liyesirf ek majak thi.
Par jaisa maine us ladki ke bare me suna tha ki wo bohot hi nek dil aur shareef ladki hai. aur agar ye ladki uske jaal me fans gayi to bechari ki jindgi barbaad ho jayegi. maine apnedil ko samjhate hue kaha nahi.. ye us ladki ke bare me nahi uske saath wali ladki ke bare me baat kar raha hoga.. aisa soch kar maine us se pucha “kon si ladki..?”
“kon si ladki..!!! abe wahi ladki jise abhi tu apni ye bater jaisi aankhe faad faad kar dekh raha tha wo dekhgulabi rang ka suit me hai jo” keh kar usne hamesha ki tarah mere sar par chanta mar diya.
“wo ladki bohot seedhi hai wo us tarah ki nahi hai” maine use us se door rakhne ke liye kaha.
“abe wo to mujhe bhi pata hai ki wo us tarah ki ladki nahi hai is liye to womujhe pasand hai. tu kya chahta hai main use tere gandi najro se Dekhne ke liye chhod du saale. main use bohot hi jaldi apna bana luga aur phir us se shaadi kar luga..” Usne apne daant fadte hue kaha.
Main chup chap uski baat ko suntan rha. Mujhe bohot ghabrahat ho rahi thi. Kyu ki mujhe pata tha wo apne paise ki chamak damak dikha kar kailadkiyo ko apne jaal me fansa chukkahai. Kya karu kaise karu usko iske jaal me fansne se bachane ke liye. Wo ek dam bholi hai masoom hai iske jhoote banawati jaal me fans jayegi. Par agle hi pal mujhe apne ghar ka khayal aa gaya jo uske ghar pariwar ki badolat hi chal raha tha. main sab kuch bhool kar wapas apni padhayi likhayi me lag gaya
Kuch din baad…..
“aaj main bohot khus hu yaar” usne mere kandhe par haath rakhte hue kaha.
“kya hua bhai ?” maine hairan ho karuski taraf dekhte hue pucha.
“main kehta tha na ki main use apnabana luga. Aur dekh sale aaj maine use apne dil ki baat bata di hai. Usne mujhse socch kar batane ko kaha hai. tu sale kewal use taakta hi rah gaya aur maine use propose bhi kar diya” Usne bade khush hote hue kaha. uske munh se sun kar mujhe bada bura laga us bechari masoom ladki ke liye. mujhe pata tha ki wo mujhe ye sab chhidhane ke liye kar raha hai. bachpan se aaj tak jo bhi cheej mujhe jara bhi pasand aati thi wo us cheej par kabja kar leta tha aur phir mujhe chhidata tha aur aaj bhi wo waisa hi kar raha tha.
“Mubarak ho bhai.” maine uski baat se na jalte hue uttar diya.
Us din ke baad to main un dono ko aksar hi park me baithe hue dekhta tha. aur wo bhi mujhe chhidhane ke liye mujhe jalane ke liye jaan bujh kar use mere saamne lata tha apne saath.
“abe tere ko pata hai aaj ham dono picture dekh kar aaye hai. Tujhe patahai wo bhi mujhe chahne lag gayi hai..” Wo mere paas aa kar roz apni baat mujhe jalane wale andaaj me sunata tha. uske munh se is tarah ki baat sun kar mera dil ro uth that ha. ye us bechari ke saath Chahat ka jhoota natak khel raha hai. ek masoom ladki ki jindgi barbaad karne par tula hua hai.. Par maine apne chehre par hamesha muskurahat banaye rakhta tha. is baat ko soch kar ki wo mera dost hai. Agar wo mujhe chhidhane ke liye aisa keh bhi deta hai to kya hai.
“bhai tum bhi usko chahte ho ?” maine apne dil me uth rahe sawal koaakhir us se puch hi liya ki kya wo sirf uske saath maje le kar use chhoddega ya wo bhi use chahta hai..
“abhi to pata nahi yaar ki main use chahta hu ya nahi par haan jab bhi wo mujhse door hoti hai main tadapjata hu. Aisa lagta hai ki jaise wo hamesha mere paas hi rahe.” Usne soch vichar kar batane wale andaaj me meri baat ka jawaab diya.
Uski baat sun kar mere dil ko tasalli hui.. kahi na kahi wo bhi use chahne laga tha. puri tarah se nahi par thodathoda. Aur yahi baat mere liye khusi ki baat thi wo mera dost tha. chahe wo mujhe dost na manta ho par main use apna dost manta tha.
Dheere dheere wo dono aur bhi nazdeek aane lage. Aur phir college ke khatam hone se pehle hi..
“abe tere liye khush khabari hai.” Usne mujhe pakad kar lagbhag pura hilate hue chilla kar kaha.
“kya hua..!!!” maine hairan hote hue pucha.
“tujhe pata hai main shaadi kar raha hu” usne muskurate hue mujhe apnedil ki baat bata di.
“kiske saath ?”
“abe aur kon wahi saamne dekh” usne mujhe usi ko dikhate hue kaha.
“iske saath ?” maine aur bhi jyada hairan hote hue pucha.
“kyu isme kya kharabi hai ?”
“kharabi to koi nahi hai bhai par tumise pyar kaha karte ho.?” Maine uski baat ka jawaab dete hue kaha.
“nahi yaar main use ab sachha pyar karne lag gaya hu.” Usne pehli baar gambheer hote hue kaha. par main janta tha ki wo jhoot bol raha hai kyuki us samay mere saath us ladki ka friend khada hua tha.
“tum majak to nahi kar rahe ho na. tumhe aur pyar ho gaya hai.?”
“haan yaar main use sach me pyar karne laga hu, aur us se shaadi ki baat bhi ho gayi hai uske ghar wale bhi taiyaar hai.” Usne ek dam khush hone wale andaaj me kaha. Wo apni baat bata kar jaha khush ho raha thawahi main apni badkismati par ro raha tha. usne apne piase ki chamak damak dikha kar apne jaal me fansa hi liya. Par jis tarah Se wo apni shaadi ko lekar khush tha uski khushi dekhte hi banti thi. Main janta tha ki wo mujhe jalane ke liye ye sab baate aa kar bata raha hai. womujhe dikhana chahta tha ki jo ladki mujhe achhi lagi usne us ladki ko meri jindgi se door kar diya. mujhe samjh me nahi aaya ki wo aakhir mujhse itna kyu jalta hai.. bachpan se aaj tak wo mere saath aisa kyu karta aaya hai.. paise ke ghamand neuse aur bhi jyada ghamandi bana diya tha.
“ab to bhai aap ki shaadi ho hi jayegi.” maine apni bejjati ko darkinar karte hue usse kaha..
“shaadi ho jayegi aur tujhe aur tere baap ko sab kaam dekhna hai. Sale tum kaam kaaj to kuch karte nahi ho. Bas apni gareebi ka rona rote rahte ho. Meri shaadi me mujhe koi natak nahi chahiye” Is baar usne jis tarah se jis andaaj me kaha tha. mujhe laga ki kisi ne mere sar par hathode se war kar diya ho.
“bhai me aap ki shaadi me nahi aa sakta” maine uski baat ka jawaab dete hue kaha.
“kyu nahi aa sakta be tu ?” usne meritaraf ghoorte hue kaha.
“wo bhai me apne mama ke yaha jaraha hu.” Maine uski baat ka jawaab dete hue kaha.
“abe to shaadi me kaam kon karega..?” usne khisyate hue kaha.
“sorry bhai. Par mera jana jaroori hai”
“chal thik hai. Par tu likhta bohot achha hai. Tera likha hua hi mere kaam aaya. Teri dairy mere bohot kaam aayi.” Usne phir se mere ko jaleel karne wale andaaj me kaha. Main uski taraf hairan ho kar dekh raha tha ki wo kis cheej ki baat kar raha hai. “abe main teri dairy ki baat kar raha hu.”
Meri dairy.!!! Apni dairy ki baat sun kar mujhe samjh me aa gaya. Wo us dairy ki baat kar raha tha jisme maine wo letter jo main apne anjaanprem ke liye likhe the wo sab letter kavita shayari us ne padh li hai..
“teri likhi hui kavita aur shayri suna suna kar hi maine use pataya hai. ab tujh jaisa bundar chhap ladka to uska sahi use kar nahi pata is liye maine hi use kar liya aur waise bhi koi ladki tere munh se wo sab sun kar tujhe chahne ki jagah marti aur”
Main waha se apne chehre par jhootimuskan le kar chal gaya. College khatam hone ke baad kabhi dobara agra mud kar nahi dekha..
*********************
Usne na me gardan hilate hue kuch bhi na lene ka ishara kiya. Maine wetter se do coffee lane ka ishara kar diya.
“aur bata tera kaam dhanda kaisa chal raha hai ?” usne meri taraf dekhte hue kaha.
“bas sab badhiya hai.. tera kya hua.. sorry yaar main teri shaadi me nahi aa saka ab to shaadi ke baad tere bachhe bhi ho gaye hoge ?” maine coffee ka cup haath se uski taraf sarkate hue kaha.
“nahi yaar…!!” usne apne chehre par dukh ke bhaav late hue kaha.
“kyu…!! Teri to uske saath baat pakkiho gayi thi phir kya hua ?” uski baat sun kar maine hairan hote hue pucha…
“ab kya batau yaar” bol kar wo do pal ke liye khamosh ho gaya. Aur phirek lambi saans lekar bola.. “sab baat ho gayi thi ham dono ki shaadi ki date bhi fix ho gayi thi. Par shaadi se2 hafte pahle hi wo apne pariwar ke saath kahi ja rahi thi aur raste me uski gaadi se kisi nojawan ka accident ho gaya aur us nojawan ka accident me ek pair katna pad gaya. Tujhe to pata hai wo kitni naram dil kit hi. Us aadmi ke apahij ho jaane kadard wo sahan nahi kar payi aur apne aap ko uski us halat ka doshi maan kar uske saath apna ghar basa liya. maine us se contect karne ki bohot koshish ki par wo pata nahi kaha gyaab hi ho gayi aur kabhi use dobara nahi dekh saka.” keh kar uski aankhe halki gili ho gayi.
“waise ek baat to kahuga yaar.. wo ladki thi hi itni khoobsurat ki agar usjaisi haseen ladki ko pane ke liye agar kisi ko apna ek pair bhi katwana padta to wo katwa leta”
Thodi der ham dono aur aapas me baat karte rahe. Tabhi uska ph baj utha.
“achha yaar ab main chalta hu. Thoda argent kaam aa gaya hai. agarkuch din tu ruka hai yaha to phir milta hu main tere se” keh kar wo waha se uth gaya.
“ok… ab to milte rahege.”
“bilkul” keh kar wowaha se chala gaya.
Kaafi der se main is tarah baitha rahne ke karan apne pair ko re-adjust bhi nahi kar paya. thoda Khada ho kar maine apne pair ko re-adjust kiya aur apni chair par wapas baith gaya.
main apni chair par wapas baith hi raha tha ki wo waha wapas aa gaya, wo table par apni chabhi bhool gaya tha.
“ye kya hai ?” usne mere nakli pair ki tarf dekhte hue kaha jise main readjust kar raha tha.
Uski baat sun kar maine muskurate hue kaha..”QURBANI”
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 28-10-2012, 01:38 AM   #19
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Next story will be"The Scenry of The Wall"(originally written by me) With regrads.... Alex
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 30-10-2012, 08:43 AM   #20
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

The Scenery of the Wall(originally written by me

UPDATE-1
Kahte hain kabhi -kabhi hum jo
ichchhaye,Manokamna rahti wo puri nahi
hoti..aur humari chah ke roop me wo ek udashi
liye dil ke jehan me is tarah bas jati hain ki
humare samne jo bhi kuch ho hum usko apne
beete hue kal ke apni ichchhayo se jod dete hain...lekin kismat ke baare me kya kaha
jaye,,yadi kismat chahe toh ek shaks ki puri
shaksiyat ko badal kar rakh de...zindagi ke
ateet ke panno ko kismat dobara kholti
hain,.chahe aapka ateet achchha ho ya bura..use
koyi matlab nahi ki aap par iska kya effect padega...........
Main apne kaam ki vajah se kabhi apni family
ko apna samay nahi de paya..chahe wo mere
ma-baap ho,ya meri wife..shadi ke baad bhi
meri halat yahi rahi,,,rahis banne ki meri andar
ki chah ne mujhe swarthi bana diya tha..bahut samay baad mujhe maloom pada asali sukoon
dhan daulat me nahi balki dil ke us sukoon me
hain jise pane ki maine kabhi koshish tak nahi
ki..2 saal pahle hue meri wife ki maut ne mujhe
andar tak hila diya tha..meri wife aksar mera
khayal rakhti thi..lekin maine kabhi uski parvah nahi ki..jab tak wo mere sath thi maine
usse kabhi ye taky nahi puchha ki tumne khana
khaya ya nahi...mera koyi attraction hi nahi tha
uske taraf..phhir uski maut ne maut ne mujhe
kyun is tarah hila diya,jab wo meri zindagi ke
liye khas mayane nahi rakhti thi... Sanjana ke jane ke baad main apna khalipan
door karne ke liye aksar kaam me busy rahne
laga..kayi din tak toh ghar bhi nahi aata
tha..mere ghar ke aas-pas rahne wale toh mujhe
salah de chuke the ki mujhe apna ghar kisi ko
kiraye me de dena chahiye..lekin maine aisa kabhi nahi kiya,ya yun kahe ki is baare me
maine kabhi socha nahi..aaj main subah
hamesha ki tarah apni rojana ki adat ke vipreet
subaj jaldi uth gaya tha...aaj mujhe delhi
sanjana ke ghar jana tha..uski chhoti bahan ki
shadi aaj se thik ek hafte baad thi..mere relation sanjana ke ghar walo se hamesha hi
thik rahe..iska ek karan ye bhi tha ki meri
sanjana se kabhi bhi ladayi nahi hui thi..main
delhi se sate hue ek chhote se kasbe me rahta
tha..isliye maine apni car se waha jana uchit
samjha..subah karib 9 baje main apne room se nikla..sanjana ke ghar pahunchne me mujhe
laghbhag 1 ghante ka samay laga..sanjana ke
mammi ,papa mujhe dekhkar khush hue,,
"kaise ho beta ,aane me koyi pareshani toh nahi
hui.."sanjana ki ma ne mere sar me apna hath
rakhkar kaha... "ji koyi problem nahi hui.."maine jawab diya..
"jao beta Ritu(sanjana ki chhoti bahan) se mil
lo..kab se tumhara intezar kar rahi hain.."
Main waha se seedhe ghar ke andar chala
gaya..aur yadi main ghar ke andar nahi jata toh
main bahar karta bhi kya..kisi ko janta tak nahi tha,,,,khair main ghar ke andar gaya..Ritu ke
mehandi ki rasham chal rahi thi..mujhe dekh
kar uske ankho me khusi ki lahar thi jise maine
dekha,,lekin mehandi ki rashm ko wo chhodkar
wo mujhse mile..mere gale lag jaye itna bhi
pyar nahi tha humare beech,,,main seedha sanjana ke kamre me pahuch gaya..fresh hokar
main wahi bistar par let gaya,,.aur lete-lete
room ko dekhne laga,..sab kuch waisa ka waisa
hi tha jaisa pichhali baaf tha,,,jab main yaha
aaya tha,,meri nazar deewar par lage ek scenery
par atak gayi...na jane kyun main us scenery ko itni der tak dhyan se dekhne laga,..ek ye hi chiz
thi jo badli gayi thi...us scenery ke andar ek
andhere me baithi hui ek ladki ki image thi..wo
ek painting thi..jisme wo ladki udas baithi
thi..uski shakal ko main saaf pahchan sakta
tha..us ladki ki shakal mujhe jaani pahchani si lag rahi thi...
"kyun udas baithi ho tum"mere mu se achanak
ye shabd nikal gaye..lekin kyun ..kya main us
scenery wali ladki ko janta hoon ..main kyun is
scenery par itna dhyan de raha hoon..main apne
in khayalo me na jane kitni der tak khoya raha..na jane kitni der tak khud se sawal karta
raha..tabhi darwaje par kisi ki dastak hui,,mera
dhyan us taraf gaya..maine darwaja
khola..samne Ritu thi....................
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Reply

Bookmarks


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off



All times are GMT +5. The time now is 12:53 AM.


Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.