08-01-2015, 05:00 PM | #1 |
Senior Member
Join Date: Jan 2015
Posts: 314
Rep Power: 23 |
Sweet love story
dono gharvale shadi ke liye man gaye. sagai huyi. dono bahot hi khush the. parivar ke log khush the. ki achanak ladki bimar huyi...or dawa karne par bhi kuch furk nahi ho raha tha. kitne doc. ko dikhaya..ladki ke mata pita pareshan ho gaye. fir ek acchhe se doctor ko dikhane le gaye. doc. ne kaha ab waqt nahi. ladki ki maa achanak hi kisiko bataye bina ladki ko lekar America chali gayi. Ladka or uske gharvale pareshan ho gaye. aisi kya baat ho gayi ki achanak vo chali gayi ...shadi najdik aa rahi hai..kya kare..kisiko kuch samaj nahi aa raha tha. din bitte gaye..ladki cancer ke last stage mai thi. kuch aash nahi thi. uski maa ka bhi bahot bura haal tha. Doc. ne kaha ab koi ummid nahi...ye kuch dino ki maheman hai. ladki ki maa unhe khush rakhne ki koshish karti, unki har tamnna vo puri karti . ladki jab aakhri saase le rahi thi tab usne bahot sochkar apni maa se ek vada liya...ki vo ladke ko meri marne ki khabar nahi degi. vo nahi jee payega maa, vo mar jayega. aap unse itne hi kahena ki America mai green card vale ladke se maine shadi kar li. kum se kum meri bewafai se use durd to bahot hi hoga par vo jeeyega to sahi. ladki ki mum ne use promise kiya.Or sari vidhi karke apni beti ko alwida karke vo vapas aa gayi. ladkevalo se or ladke se news bhijva diye ki ladki ne vaha hi kisise shadi kar li hai. vo tumse pyar nahi karti thi. Sab ko shock ho gaye. ladke ne kaha aisa ho hi nahi skta. vo muje bahot hi pyar karti hai. situation bilkul badal gayi. shadi ki taiyariya ruk gayi. ladka paglo ki tarah firne laga. Ladki ki yaad mai pagal sa ho gaya. Din bitte gaye, par uska yakin nahi tuta. vo man hi man sochta tha ki vo aisa kar hi nahi skti. muje vishwas hai uske pyar par. par kisse baat kare.Fir ek din achanak hi raste mai use ladki ki maa mil gayi. Ladke ne unse puchha ki plz. hume such batao ki aakhir kya hua hai...vo mere saath ais anahi kar skti. bahot rone laga...uski ye halat dekhkar ladki ki maa ne use kaha, beta..shant ho jaa. tera pyar succha hai, tera vishwas such hai. usne tuje koi dhoka nahi diya. par uski tabiyat thik nahi thi , or din b din bigadti jaa rahi thi..doctors ne nidan kiya ki vo cancer ke last stage pe hai..jald se jald uska ilaj karao. or mai use lekar America chali gayi. par vaha ke doctors ne bhi haar man li or vo bhagvan ko pyari ho gayi par usne jane se pahele mujse ye wada liya tha ki mai tuje ye baat na batau...jisse tu apni zindgi mai aage badh sake. Ladka bahot hi rone laga...vo bola ..ek baar bhi muje ye baat nahi batayi usne. mai uske bina nahi rahe sakta. ab vo nahi to uski yaade hi sahi...jiske sahare mai apni puri zindgi gujar lunga. ladki ki maa unse mafi mangti hai or chali jati hai....Ladka us ladki ki yaado ke sahare apni zindgi gujar ne ka nirnay leta hai.....par pyar dono ka kitna succha or pavitra tha ki dono ekdusre ki kitni parvah karte the. pyar ka ye roop bahot kum dikhne ko milta hai. Readers, such to ye hai ki ye kahani likhte waqt humari aankho se bhi ashq bahe gaye ......pyar kya aisa bhi hota hai? Shikha |
08-01-2015, 06:03 PM | #2 |
Special Member
Join Date: Dec 2011
Location: किसी के दिल में
Posts: 3,781
Rep Power: 33 |
Re: Sweet love story
क्या बात है शिखा जी .........
__________________
************************************ मेरी चित्रशाला : दिल दोस्ती प्यार ....या ... . तुमने मजबूर किया हम मजबूर हो गये ,... तुम बेवफा निकले हम मशहूर हो गये .. एक " तुम " और एक मोहब्बत तेरी, बस इन दो लफ़्ज़ों में " दुनिया " मेरी.. ************************************* |
08-01-2015, 08:59 PM | #3 |
Super Moderator
Join Date: Aug 2012
Location: Faridabad, Haryana, India
Posts: 13,293
Rep Power: 242 |
Re: Sweet love story
अपनी कहानी फोरम पर शेयर करने के लिये आपका धन्यवाद, शिखा जी. यह प्रेमकथा रोचक व मोहक आरम्भ के बाद त्रासदी में परिवर्तित हो जाती है. इसका अंत बहुत मार्मिक है. लेकिन यह देख कर दुःख होता है कि कहानी के प्रमुख पात्र (प्रमुखतः कथा-नायिका तथा उसकी माँ) परिस्थिति का साहस पूर्वक सामना करने की जगह वास्तविकता से पलायन करने की कोशिश करते नज़र आते हैं. इसी में वे अपने प्रेम और कर्तव्य की इतिश्री मान लेते हैं.
कहानी में वर्णित लड़का और लड़की एक दूसरे से बेपनाह मुहब्बत करते हैं, उनके माँ-बाप भी उनकी शादी के लिये सहमत हैं. सभी लोग समझदारी का परिचय देते हैं. लेकिन यहीं कहानी एक अजीब मोड़ लेती है. दो प्रेमियों में से एक को (यानि लड़की को) यदि कोई घातक बीमारी है तो इसे छुपाये रखना होने वाले पति के साथ धोखा या छल नहीं है तो क्या है? यदि यह स्थिति शादी के बाद पैदा होती तो क्या उस समय भी लड़की सबको छोड़ कर बिना बताये विदेश चली जाती? एक ईमानदार पाठक की हैसियत से मैं मानता हूँ कि कहानी का एंटी-क्लाइमेक्स आधुनिक विचारधारा में पले-बढ़े युवक युवतियों की सोच पर प्रश्न-चिन्ह लगाता है और निराश करता है.
__________________
आ नो भद्रा: क्रतवो यन्तु विश्वतः (ऋग्वेद) (Let noble thoughts come to us from every side) |
09-01-2015, 03:22 PM | #4 |
Senior Member
Join Date: Jan 2015
Posts: 314
Rep Power: 23 |
Re: Sweet love story
Thank you rajnishji.....
Humare khayal se ladki ne koi galati nahi ki hai....vo janti thi apne pyar ko...samjati thi us ke jazbaat ko....ki agar vo use Apni bimari ke bare Mai Bata Degi to vo jee nahi payega....or us ke jane ke baad zindgi Mai akela rahekar tadpata rahega.......shadi ke baad ki Baat or hai....par abhi ladle ke samne puri zindgi padi thi...jise vo khushi se jiye...vahi chaha tha ladki ne....to kya bura hua usme.... Rajnishji.....gustakhi maaf ho...par hum jise beinteha muhobbat karte hai...humesha unki khushi hi chahte hai.... |
28-01-2015, 04:29 PM | #5 |
Junior Member
Join Date: Jan 2015
Location: Shirpur
Posts: 2
Rep Power: 0 |
Re: Sweet love story
Mujhe aapki yeh pyaari si kahani bahut priya lagi..
|
Bookmarks |
Tags |
मधुर प्रेम, मधुर प्रेम कथा, eternal love, stories, sweet love story, tragic love story |
|
|