My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Hindi Forum > The Lounge
Home Rules Facebook Register FAQ Community

Reply
 
Thread Tools Display Modes
Old 28-06-2015, 08:48 AM   #1
manishsqrt
Member
 
Join Date: Jun 2015
Location: varanasi
Posts: 102
Rep Power: 11
manishsqrt is a jewel in the roughmanishsqrt is a jewel in the roughmanishsqrt is a jewel in the rough
Default rupae ki maya dekhiye

jab congress raaj me khub mahangai badh rahi thi, to kuch log kah rahe the ki isse logo ko dikkat kya hai aakhir mahangai badh rahi hai to vyapariyo ko kisano ko jyada paisa mil raha hai chize mahangi bechne par, we kahte the ki logo me dusre ki kamai se jalan hai, nakaratmak hai log, aakhir aamdani bhi to badh rahi hai
mujhe lagne laga ki baat to theek hai fir itani hai tauba kyu.wahi log fir baat badhate hue bole ki mahangai badhne ka ek fayda ye bhi to hai ki insan apna man maar ke rahta hai, dharmik kitabo me bhi kaha gaya hai ki man ko badhana nahi chahiye ye galat hai, sanyam se rahna chahiye, fir dikkat kya hai, jab chize mahangi hogi to aapki pahuch se door hogi, kuch bhi pane ke liye aapko badi mehnat karni hogi, ye sab achchi bate hi to hai, ki jyada mehnat karke kuch bhi paiye, un vastuo ki kimat kariye kyuki aapne bahut mehnat ki hai uske liye, fir bhi na mile to man me santosh karke rahiye, santosh karna sikhiye.ye sab achchi baat hi to hai congress sarkar ki niti sahi thi, logo ko nuksan karne se bacha rahi thi congress sarkar.agar saste me sab de diya jae to wahi ho ki bachche thali me khana barbad kare, aur mehnat se bane bike aur mobile kharid ke, 2 din me tod de kyuki bas 100 rupae me mili rahegi.
aisa chakkar me dala ki buddhi hi ghum gaya, decide hi nahi ho pa raha ki mahangai achchi hai ya buri, aur hum kos kisko rahe the.

Last edited by manishsqrt; 28-06-2015 at 08:51 AM.
manishsqrt is offline   Reply With Quote
Reply

Bookmarks


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off



All times are GMT +5. The time now is 04:30 PM.


Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.