My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Entertainment > Film World
Home Rules Facebook Register FAQ Community

 
 
Thread Tools Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Old 18-06-2010, 10:56 AM   #1
priya
Member
 
priya's Avatar
 
Join Date: Feb 2010
Posts: 110
Rep Power: 15
priya is on a distinguished road
Smile Famous Bollywood Movie Dialogues

Sunny Deol

Damini: “Yeh Dhai kilo ka haath jab kisipe padtha hai na...toh aadmin ut-tha nahi uthh jaata hai”

Damini: “Tareekh Pe Tareekh, Tareekh Pe Tareekh”

Ghayal: “Utaar ke phenk do ye wardi aur pehan lo balwant rai ka patta apne gale mein...Balwant Rai ke Kutton”

Gadar: “Kin hindustaaniyon ki baat karte ho tum log....saari duniya jaanti hai humnein batwaare ke waqt aap logon ko 65 crore diye the tab jaake aapke sir pe tirpal aayi thi...sir dhakne ki aukaat nahi aur tum bandookon ki baat karte ho”

Amitabh Bachchan

Deewar: “Jao pehle uska sign ley kar aao jisne mere haatho mey ye likh diya !!!!!!!!!!!!”

Deewar: “Aaj mere paas bangla hain, gadi hai, bank balance hai... tumare paas kya hai.?”

In response to this Shashi Kapoor who plays the younger brother to Amitabh in the film says, “Mere Paas Maa Hai.”

Deewar: “Main aaj bhi fenke hue paise nahin uthata”

Satte pe satta: “Daru pine se liver kharab ho jaata hai”

Agneepath: “Hawa tez chalta hai Dinkar Rao.. Topi sambhalo, nahin to udd jayega”

Naam: “Vijay Deenanath Chauhan..Poora naam, baap ka naam, Deena Dath chauhan, maa ka naam, Suhasini Chauhan”

Shehensha: “Rishte Main to Hum Tumhare Baap lagte hain, Naam hai Shehensha”

Don: “Don ka intezar to 11 mulkon ki police kar rahi hai, don ko pakadna mushkil hi nahi namumkin hai”

Coolie: “Bachpan se hai sar par Allah ka haath, aur Allahrakha hai mere saath; Baazu par hai saathsochiyaasi ka billa, bees number ka beedi peetha hu, kaam karta hu coolie ka aur naam hai Iqbal”

Agneepath: “Ye telephone bhi ajeeb cheez hai- aadmi sochta kuch hai, boltha kuch hai, aur karta kuch hai”

Namak Halal: E lo kar lo baat. Are aisi angrezi ave hain ke I can leave angrez behind. I can talk English, I can walk English, I can laugh English, because English is a phunny language. Bhairon becomes Barren and Barren becomes Bhairon because their minds are very narrow. In the year 1929 when India was playing Australia at the Melbourne stadiumVijay Hazare and Vijay Merchant were at the crease. Vijay Merchant told Vijay Hazare, “Look Vijay Hazare, this is a very prestigious match and we must consider it very prestigiously. We must take this into consideration, the consideration that this is an important match and ultimately this consideration must end in a run.”

Namal Halal: Continuation to the above - In the year 1979 when Pakistan was playing against India at the Wankhade Stadium, Wasim Raja and Wasim Bari were at the crease and they took the same consideration. Wasim Raja told Wasim Bari, “Look Wasim Bari, we must consider this consideration and considering that this is an important match we must put this consideration into action and ultimately score a run. And both of them considered the consideration and ran and both of them got out.”

Agneepath: “Iss duniya mein tarakki karne ke liye na kahna bahot jaruri hai, commissioner”

Sharabi: “Mooche ho to Nathulal jaise ho....warna na ho”

Kaaliya: “Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahi se shuru hoti hai”

Sharabi: “Govardhan seth, Samundar mein tairne waale- kouon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain”

Raj Kumar

Waqt: “Jinke ghar shishe ke ho, woh dusro pe patthar nahin pheka kar te”

Tiranga: “Na talwaar ki dhaar se na goliyon ki bauchaar se... Banda darta hai to sirf parvardigaar se”

Pakeezah: “Appke pare bahut khoobsurat hain, inhe zameen par mat rakhiyega , maile ho jaayenge”

Nana Patekar

Yashwant: “Ek Macchar aadmi ko Hijda bana deta hai”
Tiranga: “Naam- Shivaji Rao Waghle. Maratha hoon Maratha marta hai ya maarta hai”

Shatrughan Sinha

Jali ko aag kehte hai, bhuji ko raakh kehte hai..aur jis raakh se barood bane..use Vishwanath kehte hai!

Ande se choch nikli nai ki kharoch marne ki soch raha hai..Chaaku sirf Chakku ke haath mein chakmakata hai..bhaison ki haath mein nahi!

Shah Rukh Khan

Dil To Pagal Hai: “Rahul, naam to suna hoga”

Don: “Don ke dushman ki sabse badi galti hai.... ki woh don ka dushman hai”

Om Shanti Om: “Picture abhi baaki hai mere dost”

Baazigar: “Jeet ke haarne wale ko Baazigar kehte hain”

Darr – “Tum hi mera pagalpan ho tum hi mera junoon hoo i love u k k k k kiran.”

Dilwale Dulhaniya Le Jayenge: “Senorita... bade bade deshon mein... aisi choti choti batein... hoti rehti hai”

Om Shanti Om: “itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai
ki har zarre ne mujhe tumse milane ki koshish ki hai....
kehte hai agar kisi cheez ko dil se chaaho
toh poori kaynath tumhein usse milane ki koshish mein
lag jaati hai...aap sabne mujhe meri chahat se mila diya... "

Rajesh Khanna

Amar Prem: “Pushpa, aye pushpa, I hate tears...”

Anand: “Babumoshai, zindagi aur maut uparwale ke hath hai jahapana, jise na aap badalsakte hai na mein. hum sab to rangmanch ki katputlia hai, jiski door uparwale ke haath bandhi hai kab kaun kaise uthega ye koi nahi janta”

Sholay

“Kuttey... Kaminey... Main tera Khoon pee jaunga”

“Humaara naam Soorma Bhoopali aise nahin hai!!!”

“Daaam jo tum Chaho, Kaam Jo main chahoon”

“Kitne aadmi the”

“Yeh haath hamain de de thakur!!!”

“Basanti In Kutton Ke Saamne Mat Naachna”

“Chal Dhano! Aaj teri Basanti ki izzhat ka saawal hai”

“Tumhara naam kya hai Basanti?”

“Loha Garam Hai Maar Do Hathoda”

“Mausi chakki peesing and peesing”

“Hum Angrez Ke jamane ke Jailor Hain.. haha”

Devdas

Tawaifo ke takdeer mein shauhar nahin hote

Babuji ne kaha………………………

Kaun Kambakht Bardasht karne ke liye peeta hai... main to isi liye peeta hoon ke hosh main na reh saku

Kitney aasani se ginwa diya ki tumhe har pal meri yaad aati thi, magar yeh kabhi nahi socha ki un palo mein beeta toh main hi tha... diya tum jalati thi lekin us mein jalta toh mein hi tha

Others

“Tum jis school mein padhte ho hum uske headmaster rah chuke hain...”
Vinod Khanna in Haath ki Safai

“Main tumhe bhool jaaon yeh ho nahin sakta, aur tum mujhe bhool jao ye main hone nahi doonga,” Suneil Shetty to Shilpa in Dhadkan

“Yahaan pishaab karna mana hai....oye kamaal hai ji. Hum yahaan pishaab karne thode hi aaye hain?” Ranvir Shorey in Khosla Ka Ghosla

“Eh circuit tu sala gaon jaake kya karega tere ko tu hal bhi chalana nahin aata,” Sanjay Dutt in Munnabhai

“Eh bhai agar hal mein chalaunga to sala behal kya karega,” Arshad Warsi as Circuit in Munnabhai MBBS

“Aisi jagah marungi, na khud utth payega, na kuch uttha payega,” Isha Koppikar in Kya Kool Hai Hum

“Shaadi chote bhai ke saath aur suhaag raat bade bhai ke saath,” Akshaye Khanna in Race

“Jo pyar kamyab ho uske baare mein baat karne ki zaroorat nahi hoti, aur jo pyar na kamyab ho uske baare mei baat karne ka faayda nahi,” Saif Ali Khan in Hum Tum

“Main Teja hun kyonki mera naam bhi Teja hai,” Paresh Rawal in Andaaz Apna Apna

“Dava bhi kam na aaye koyee duaa na lage mere khuda kisiko pyaar ki hava na lage”
Aamir Khan in Sarfarosh

“Khada ho jaoon ya iske liye bhi license chahiye. Aap kehte hai main kanoon ke khilaaf hoon. 40 saal pehle ek aur aadmi tha jo kanoon ke khilaaf tha, aaj hum unko Bapu kehte hai,” Abhishek Bachchan in Guru

“Dosti ki hai – nibhani toh padegi. Friendship mein no sorry, no thank you,” Salman Khan in Maine Pyar Kiya

“Police ne tumhe charon taraf se gher liya hain – apne aap ko kannon ke haawale kar do”

“Maine aapka namak khaaya hai”

“Agar tune maa ka dudh piya hai, to bahar nikal”

“Jab tak bhetne ko na kaha jaye kharay raho! Yeh police station hai tumaray baap ka ghar nahi!”

“Main Tumhare Bacche Ki Maa Banne Wali Hoon”

“Mujhe Bhagwan Ke Liye Chhod Do”

In every courtroom scene:

Defence: Par iska is case se kya talluk hai
Prosecutor: Talluk hai your honour bahut gehra talluk hai
priya is offline   Reply With Quote
 

Bookmarks

Tags
bollywood movie dailogues


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off



All times are GMT +5. The time now is 04:00 AM.


Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.