My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Art & Literature > Hindi Literature

Reply
 
Thread Tools Display Modes
Old 07-10-2012, 11:46 AM   #1
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default My first love...

Originally written by me...
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 07-10-2012, 11:48 AM   #2
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: My first love...

Abhi abhi maine apne ghar pe kaam karne warne ek naukar ko sharab lane ke liye bheja tha..meri ek alag kism ki adat hai..mai jab bhi khus hota hu toh ib pita hu aur jab bhi dukhi hota hu toh kingfisher ki ek botal leke baith jata hu..lekin baithta jarur hu..kyuki aisa koyi din nahi hai jo ya toh bina khusi ke gujre ya bina dukh ke..aaj mai dukhi tha jiska karan tha mere aas-pass rahne wale do gharo me do logo ki maut ,jo abhi jawani ke dahleej pe the..mera naukar kingfisher ki botal le aaya...maine wahi uske samne hi ek glass me adhi botal udel di...kuch barf ke tukde bhi dale aur us sharab se bhare aur ice se thandi hui sharab ko apne jubaan pe laga kar gale se neeche utarne laga...sharab bhale hi thanda ho lekin wo itna bhi thandanahi tha ki meri dil me do logo ki maut se jo bechaini,jo dard aur jo garmi paida hua tha use thanda kar de...maine ek glass aur chadhaya...aur cigrette lekar chhat pe aa gaya abhi raat ke 9:00 baj rahe the ,mai chhat par khada bahut der tak un dono gharo ko dekhta raha...ek ghar ki light chalu thi lekin ek ghar ki light off thi..wo logkahi chale gaye the ya phhir light band karne se unhe shanti milti ho ,isliye unhonelight band kar li thi ,ye mai nahi janta tha,..ye bhi ho sakta hai ki wo kahi chale gaye..maine unke ghar pe lage tale ko nahi dekha..aur yadi ab mai dekhne ki koshish bhi karta toh khuli ankho se nahi dikhta..mujhe tourch lekar neeche jana padta...isme ek khatra tha..yadi kisi ne mujhe aisa karte hue dekh liya toh wo mujhe chor samajh kar maar bhi sakta tha baad me bhale hi mujhe "sir ji galti ho gayi kah kar maafi mang le"..ji haan mai peshe se ek teacher tha ek college me engineering ke students ko chemistry padhata tha..wo bhi keval first year ke students ko.,maine aaj se dus saal pahle ek govt. College se bsc. Kiya tha mera subject chemistry tha....maine ek kash cigrette ki lete hue dhue ko hawa me phenk diya.dhuahawa me aise kho gaya jaise doodh me paani ya phhir pani me doodh.aur ab dusaritaraf ghoom kar us dusare ghar ke taraf dekhne laga jaha dusari maut hui thi...us ghar ki light toh chalu thi lekin waha koyi halchal nahi thi...woh ghar aisa lag raha thajaise koyi waha barso pahle aaya tha aur jate samay ghar ki light ko band karna bhool gaya ho jo abhi tak jal rahi ho...us ghar me ek ladki ki maut hui thi jiska naamraju(mera naukar) ne Aaliya khan bataya tha,wo muslim dharm ke the....us ladki ke khubsurati ke colony me banut charche the...raju kabhi kabhi mere samne baith kar uski baate bataya karta tha..kaise dikhti hai,kya pahnti hai...jaise raju ne bataya tha ,yadi us hishab se anuman lagaya jaye toh ek bahut hi simple si ladki thi..lekin usne ek galti kar di use pyar ho gaya...jo ki is umra ke ladke-ladki ko aksar ho jaya karta hai..kuch couple ban jate hai..park me ghumte hai..picture bhi dekhne jate hai..aur baad me alag ho jate hai...kuch ka ektarfa pyar hota hai..aur kuchshadi kar lete hai..lekin unme bhi dekha gaya hai ki kuch saalo ke baad wo alag ho jate hai..aur jo couple ek -dusare se shadi karna chahte hai lekin unke ghar wale nahi mante unke pass teen raste hote hai...pahla ..ya toh apne ghar walo ki baat maan jate hai aur apne maa-baap ki pasand se shadi kar lete hai..dusara .ya phhir wo bahut planning karke bhag jate hai ..lekin paiso ki tangi ke karan shadi karke wapas aa jate hai..kuch ke ghar walemaan jate hai ..kuch ke ghar wale jinme cinema ka bhoot sawar rahta hai woh filmo ki tarah hi pesh aate hai aur kahte hai ki...tu mere liye mar chuka hai /chuki hai...aur teesara rasta jo un premi jodo ke pass bachta hai wo hai ek dusare ke sath kisi marne wali jagah pe jana aur apna jeevan khatam kar dena...aaj jo do maut hui thi wo isi tarah ki thi ..dono ek dusare se pyar karte the ..ladke ka nam Rajesh tha..ek hindu family se tha.dono ek dusare se bahut pyar karte the...ye baat mai isliye kah sakta hu ki dono ek dusare se bahut pyar karte the kyuki dono ne aaj subah-subah suraj ke uday hone se pahle hi apne jeevan ko ast kar diya tha...mere muh me kadvahat bharne lagi..shayad cigrette khatam hone wala tha ya phhir filter tak pahunch chuka tha...maine dusari cigrette jalayi aur is baar us ladke ke ghar ki taraf chalne teeno ke ghar ke chhat sate hue the...mai us ladke ke ghar ki taraf gaya iskaek aur bhi karan tha ,kyuki mai ek ladka thaaur un dono ki maut ne mujhe achanak hi apne pyar ki yad dila di thi jo kabhi pura nahi ho paya........continued.........
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 07-10-2012, 11:49 AM   #3
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: My first love...

mai us ladke ke ghar ki taraf gaya iska ek aur bhi karan tha,kyuki mai ek ladka tha aur un dono ki maut ne mujhe achanak hi apne pyar ki yad dila di thi jo kabhi pura nahi ho paya.apni school life ko maine kafi enjoy kiya ...aur wahi mai cigrette pina bhi sikha..us samay bus stand me baithkar cigrette pina aur dhue sabke samne bahar khule vatavaran me udane me maja bahut aata tha...mera hamesha se koyi dost nahi raha kyu nahi raha..kyuki mai kisi se dosti karna hi nahi chahta tha.,mai apne me magan rahne wala shaksh tha iske kayi fayade the...jab maine cigrette pina start kiya tha toh mai akela nahi tha..mere class ke kayi ladke the jo cigrette ki dhue ki duniya me kadam rakh chuke the...lekin unme se kuch aise the jo dusaro pe ek cigrette ke liye nirbhar rahte..mera koyi dost nahi tha..yadi meri jeb me 2 rs. Bhi hote toh mera kaam ban jata tha...meri yahi duniya thi,,subah bhor me 4 baje uthna..ek do ghante science subject ko, bolne wale tote (parrot) ki tarah ratta marna..jiska koyi mahatva nahi tha...keval exam ko chhodkar.exam me yahi ratna mere bahut kaam aata tha..uske baad 7 baje deshukh sir ke pass padhne jana.,aur phhir waha se lautate samay ek cigrette kokhatam karna aur phhir 10:30 baje school ke liye nikalna..school chupchap bitakar sham ko 5 baje ghar laut jana..aur phhir baki ka samay ghar pe gujarta tha...maine apni zindagi me dost kabhi nahi banaye,yahi mere liye bhari padega ye mai nahi janta tha..yadi mai ye pahle hi jan jata toh us samay apne jeb me rakhe do rs. Bhi un ladko ko de deta jo cigrette ke liye school ke aas-pass wali dukan pe jakar us dukan me kasayi ki tarah baithe dukandaro se udhari ki bheek mangate the...us samay mai unhe aisa karte dekhkar bahut khush hota tha..,hamesha se papa ne boys school me padhaya..ya phhir ye kahe ki hamesha mai ek hi school me padha govt. School me,roj subah 4 baje uthkar ratta marna mere liye kafi sahayak bana..maine apni 12th class 76.5 % se pass ki ,us samay mujhe ye bhi sunne ko mila ki uske ladke ke90 % hai ,uski beti merit me aayi hai..lekin mujhe koyi farak nahi padta tha in sab bato se kyuki mai kuye ki mendhak ki tarahek kuye ka raja bankar kush tha.,maine apne school me top kiya tha...aur mere result ke baad hi mere class ke ladko ne mujhe pahchana.ki meri shakal ka bhi koyi ladka unke class me hai, pahle mai unke liye ek hawa ke saman tha ,jise mahsoos toh sabni karte hai lekin ,dekh koyi nahi bata,,,,mai apne gaav se sahar aaya...bilaspur utna bada sahar toh nahi tha..lekin sahar se kam bhi nahi tha,,yaha ke Gurughasidas university me maine bsc. Me admission le liya...mere gaav me jo log college ja chuke the unse mujhe maloom chala tha ki college me shuruat ke do teen din intro ,introduction ka kriya karam chalta hai...gaav me english ke sir ne dandeke bal pe english subject ko toh clear karva diya lekin english shikha nahi paye...aur mujhe ye bhi maloom tha ki ye sab kriya karam english me hi karne hote hai..nahi toh sabke saamne khade hokar apni ijjat ko randikhane me bechane jaisa tha,samne wala apki ijjat bhi uda de aur aap hanskar ye bhi kah de ki mai toh hindi medium ka student hu,..mai in sab baaton me nahi phasna chahta tha isliye main ek hafte tak college nahi gaya...jab mere man ne kaha ki ,ab chalna chahiye padhayi bhi start ho chuki hogi toh mai ek hafte baad college jane ke liye taiyar hua...college me mujhe apni class bhi nahi maloom thi,itne bade university me class dhundna kafi mushkil ho raha tha...us samay mujhe ye nahi pata tha ki har course ke liye alag-alagdepartment banaye gaye the...maine college ko apna school samjha aur jo bhi raste me milta usse puchhta gaya ki bsc.first year ki class kaha lagti hai,,sabne aisa jhadka jaise ,ek dukandar apne gud me se makkhi ko jhadak deta hai,,.usi samay ek ladki se meri takkar ho gayi..uskehath me rakhe hue books gir gaye..wo use uthane lagi..ye meri zindagi ka pahla mauka tha jab maine kisi bahari ladki ko chhua tha...usne apne books uthaye aur mujhe dekhkar kaha..dekh kar nahi chal sakte ....main kuch nahi bola, wo waha se chali gayi..main aage badh gaya..maine is college ke har departmebt me ja chuka tha lekin koyi bhi bsc. Ka nahi tha mai is vaqt jisdepartment me ghusa tha wo is college ka akhiri department tha aur mujhe yakin tha ki yahi hai...jaha mai pichhale ek hafte se aana chahta tha lekin us english ke introduction jise mai apni bhasha me kriya karam bhi bolta tha ,uski vajah se nahi aa paya tha...main jakar ground floor me banelibrary me ghus gaya aur waha baithi ek madam se pucha .....mam bsc. First year ki class kaha lagti hai...usne apne samne padechhote se dibbe se chasma nikala ,jo ki modern jamane ka tha use lagaya aur mujhe dekhkar boli......kon sa subject.....maine unki taraf dekhkar jawab diya ...chemistry...unhone kaha...go straigt and then turn left first class is your class...us samay itni achchhi english nahi aati thi upar se unhone ye likhkar nahi bus bol diya tha jo ki mere ek kaan se dusare kaan me jakar light ki velocity se nikal gayatha...mujhme dubara puchhne ki himmat nahi thi...mai waha se bahar aa gaya...mujhe us madam ke light ke velocity se bole gaye english ke shabdo me se kevalek hi shabd samajh me aaya tha aur wo tha left...lekin mere samne ek nayi pareshani thi kaha se left yaha se left ki,pichhe se jakar left ki, aage se jakar left...us modern chashme wali mam ne left ke pahle bhi kayi shabd bole the...maine socha aaj wapas laut chalte hai..kal phhir kisi se puchh lenge..main jane ke liye mud hi raha tha ki ek madhur awaj mere kaan me padi..maine pichhe mudkar dekha..samne wahi ladki khadi thi jisse kuch der pahle takkar hui thi..wo shayad mujhe bhool gayi thi..aur waise bhi aaj tak mujhe mere family ke siwa kisi ne yaad bhinahi rakha ....
bsc. 1st year ki class kaha hai..aapko maloom hai kya"wo boli...
"maine kaha kaun se subject ka jaise main sab janta hu ki kaun si class kaha lagti hai..."
"chemistry ...."
maine us ladki ko us chashme wali mam ki taraf ishara kar diya.....
woh meri taraf ghoor kar dekhne lagi.....jaise usne paani manga ho toh maine use mirchi ki dukan dikha di ho...
"wo tumhe class lagti hai,kaun se gaav se aaye ho..."
"wo mujhe daant rahi thi ... Lekin uski awajrafi sahab ki tarah mere kaan me taal paida kar rahe the..aur lata tayi jaisi madhurta..."
usne socha ki maine majak kiya hai toh usne ek baar phhir apna purana prashn dohara diya....
"bsc.first year ki class kaha hai..."
maine pahle ki tarah hi use us madam ki tarah ishara kiya...wo gussa ho gayi...tabhi mujhme jane kaha se himmat aa gayi..maine kaha..
"dekhiye aap galat samajh rahi hai...mera kahne ka matlab hai aap unse puchh lijiye..."
"tumne puchha tha...."
mujhme ek aur baat thi ki mujhme jo kami thi use main kabhi chhupata nahi tha...maine kaha..
"ji mujhe english samajh me nahi aati"
is baar pahli baar maine uska mushkurata chehra dekha...wo mujhe khada rahne ko bolkar andar gayi...usne bhi madam se wahi prashn puchha jo maine puchha tha...,aur us madam ne bhi wahi jawab diya jo mujhe diya tha..keval shaksh badal gaye the ..is samay mujhe famous scientistEinstine ki theory of relativity yad aa gayi thi jisme object change hota hai ..ya phhir is condition pe frame of refrence ki theory bhi laga sakte hai...is baar bhi madam ki wo shabd mere kano se light ki velocity se bahar nikal gaye...wo waha se nikali aur boli yaha se seedhe phhir left mudna hai.mai uske sath rahkar jitna bevkuf tha usse bhi jyada bevkuf ho gaya jab usne left kaha toh mai apne hath ko hila kar dekhne laga ki left kon sa hai...hum dono sath me ja rahe the class abhi bhi thoda dur tha..woshayad bore ho rahi thi..usne mera nam puchha....what is your name...
ye line maine bachpan se rati thi..maine turant jawab diya Ahmed Ali...usne apna hath aage badhaya mere kambhakht hath maloom nahi kaise aage badh gaye ,yadi ye hath us samay ruk jate toh shayad mai aaj is halat me nahi hota ki roj ib ya kingfisher ki botal kholu....khair mere hath uske pyare se hath se jakar mil gaye.....hiiii i am SHWETA..................continue................
______________________________
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 07-10-2012, 12:17 PM   #4
ndhebar
Special Member
 
ndhebar's Avatar
 
Join Date: Oct 2010
Location: Kerrville, Texas
Posts: 4,605
Rep Power: 49
ndhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond repute
Send a message via Yahoo to ndhebar
Default Re: My first love...

good....
keep it up my friend
__________________
घर से निकले थे लौट कर आने को
मंजिल तो याद रही, घर का पता भूल गए
बिगड़ैल
ndhebar is offline   Reply With Quote
Old 07-10-2012, 12:31 PM   #5
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: My first love...

Quote:
Originally Posted by ndhebar View Post
good....
keep it up my friend
thanks bro for apprecaiting my work.
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 07-10-2012, 01:10 PM   #6
ndhebar
Special Member
 
ndhebar's Avatar
 
Join Date: Oct 2010
Location: Kerrville, Texas
Posts: 4,605
Rep Power: 49
ndhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond repute
Send a message via Yahoo to ndhebar
Default Re: My first love...

Quote:
Originally Posted by ALEX View Post
thanks bro for apprecaiting my work.
good work always and everywhere appreciated...........
__________________
घर से निकले थे लौट कर आने को
मंजिल तो याद रही, घर का पता भूल गए
बिगड़ैल
ndhebar is offline   Reply With Quote
Old 08-10-2012, 10:58 AM   #7
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Thumbs up Re: My first love...

Quote:
Originally Posted by ndhebar View Post
good work always and everywhere appreciated...........
thanks......
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 08-10-2012, 11:04 AM   #8
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: My first love...

yadi ye hath us samay ruk jate toh shayad mai aajis halat me nahi hota ki roj ib ya kingfisher ki botal kholu....khair mere hath uske pyare se hath se jakar mil gaye.....hiiii i am SHWETA..class tab tak start chuki thi...main bahar hi khada raha,mai chahta tha ki shweta pahle jaye ,..lekin aisa hua nahi.usne achanak hi mujhe class ke andar dhakel diya...main girne wala tha ,par maine apne aap ko sambhal liya,lekin koyi fayda nahi hua.main class ke andar aa chuaka tha,class me ek danav ke saman teacher apne hath me pen liye attandance le raha tha...mujhe dekha ,toh andar aane ka ishara kiya mere pichhe -pichhe shweta bhi aa gayi..hum dono ek hi bench pe baithe the...jab ek do class khali gayi toh maine notice kiya ki sabhi humari bench ki taraf dekh rahe hai,mai samajh gaya ki kyo....class khatam hui toh mujhe chain mila ki chalo ye english ke kriya karam se toh pichha chhuta..shweta ne anjane me hi mere hath pe apne hath rakh diya..mai chahta toh wo hath hata sakta tha..aur ek sarif ladke ki tarah shweta se nivedan kar sakta tha ki bahanji aap aisa dobara mat kijiye ,lekin mai sarif nahi tha..aisa maine us vaqt apne aap ko maan liya..uska hath abhi bhi mere hath pe rakha hua tha..bahut der baad jab use mahsoos hua toh usne apna hath hata liya....hum dono canteen gaye..waha se karib sham ko 5 baje mai apne kamre me pahuncha...ab mujhe koyi darr nahi tha..maine ek cigrette mu me dabaya aur usse apni dhushmani nikalne laga..phhir dusara aur kuch der baad teesara...meri adatbahut kharab ho chuki thi ..mai khali time me yahi kaam karta tha..jab paise hote toh cigrette ki dibbi mere pass padi rahti hamesha..lekin ye nahi maloom tha ki yahi adat meri zindagi ka dushman ban jayegi....kuch dino ke baad wo nahi dikhi..ek din mai canteen se aa raha tha toh use jate hue dekha..uske pichhe kayi ladke pade the...tabhi ek ne pichhe se dhakka tak maar diya.use.mujhe na jane kya ho gaya yadi wahi ladkg mujhe dhakkamarta toh mai kabhi replay nah deta,aur gandhiji ke sidhanto pe chalte hue apna dusara gaal bhi aage kar deta.lekin maine aisa nahi kiya.main aage badha ..lekin kyu,aur kiske liye mujhe nahi pata..aur maine gandhi ji ki jagah Lal Bahadur Shastri ke sidhanto pe kaam karte hue maine us ladke ko pakda aurdoor dhakel diya...filmo me aksar ye hota hai ladki ko gunde chhedte hai hero aata hai aurgunde patli gali se nikal lete hai...lekin real life me sabhi majboot dil wale hote hai bhagta koyi nahi.ya toh maar kha jate hai,ya maar dete hai...main maar khane walo me setha..us din un ladko ne bhi Lal Bahadur Shastri ko follow kiya aur mujhe bahut maara ....
mera hotho pe phhir kadwahat hone lagi aur mai apni ateet ki duniya se wapas aaya...aur maine is baar ladki ke ghar ki tarafmuda.uske ghar ki light abhi bhi jal rahi thi.lekin hal chal pahle ki tarah na ke barabarhi tthi...aaj itne salo baad shweta ki bahut yaad aa rahi thi..jis ghar me ladki ki maut huithi ..usi ghar me pahle shweta aur uski family rahti thi aur main abhi tak is ghar me hu iska ekmatra karan bhi ,shweta ka ghar hai.us din maar khane ke baad mai bahut dino tak college nahi gaya...ek din sham ko mere darwaje pe dastak hui ..main utha aur darwaje ko khola..samne shweta khadi thi...maine usko andar aane ke liye nahi bola,lekin wo andar aa gayi..aur mere kamre me padi ek kurshi pe rani sahiba jaise baith gayi...
tumhara hath kaisa hai,usne puchha
"ab thik hai"...maine jawab diya..us vaqt mere pass aisa kuch nahi tha ki mai use khane ke liye dekar paani uske saamne rakh du...lekin wo bahut der tak baithi rahi jisse main ye jaan gaya tha ki wo yaha khane nahiaayi hai .karib do ghante baad wo waha se chali gayi...ab wo aksar aane lagei,teen din me ek baar toh aa hi jati ,mera haal puchhne ke bahane ,jabki us ghatna ko do mahine gujar chuke the...use shayad mujhse baat karna achchha lagta tha..lekin mujhe usse baat nahi karna chahiye tha ,,lekin aisa nahi hua...main bhi uske sath khul gaya..ab hum dono dost ban gay the...abhi humari dosti aage bhi badhne wali thi ki beech me exam aa gaye aur humare rishte ki gadi ko rok diya..thik usi tarah jaise road me bana breaker ek speed vahan ko rok deta hai,ab aap gadi ko dheere karo ya phhir accident kara lo...maine gadi dheere karne ka nirnay liya..jaise jaise exam najdeek aa raha the ,womujhse bahut kam mil rahi thi..aur pichhale do hafto se toh aayi bhi nahit thi...tabhi raju ne awaj diya ,khana ban gaya hai ,khana khalo...main neeche ki taraf chal pada ...aur ek baar mere pair ladke ke ghar ke samne ruk gaye. ,us ghar ki light abhi bhi band thi,kyu band thi ye mujhe abhi bhi nahi maloom tha......continue......
____________________
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 08-10-2012, 11:10 AM   #9
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: My first love...

Update-4
main neeche ki taraf chal pada...aur ek baar mere pair ladke ke ghar ke samne ruk gaye.,us ghar ki light abhi bhi band thi,kyu band thi ye mujhe abhi bhi nahi maloom tha....
akhirkar humare exam khatam hue..shweta phhir bhi mujhse milne nahi aayi..college ke baki logo ki tarah mujhe bhi cinema ka kafi shauk tha,.har insan apni umra ke hisab se film dekhta hai ,aisa mera manna tha..aur mai apne inhi niyamo pe chalta tha.us samaymai jawani ki taraf apne kadam badha raha tha..isliye mujhe pyar ,mohabbat wali film hi dekhna pasand tha..shahruk khan ka us samay cinema jagat me danka baj raha tha..ek se badhkar ek lovestory ki film aa rahithi...maine jab gaav me tha toh bahut logo seshahruk khan ki ek film Kuch Kuch hota hai....ke baare me kafi suna tha.lekin kabhi dekha nahi tha..mai jis kamre me rahta tha,uske malik ka ghar thodi dur tha..wo aksar apne kiraye me diye hue room ke students ko sunday ko ek film dikhate the...main abhi tak nahi gaya tha..isliye shayad makan malik bhi mujhe na jante ho....phhir bhi main kuch kuch hota hai ,film ki c.d. Lene ke liye sham ko room se nikla,mausam achchha tha..badal ghir chuke the,aur dhandi hawao ka charo taraf ke mahol me bolbala tha..shayad aaj barish hogi,maine apne man me socha...mere pass ek cycle bhi thi main usi me c.d. Lene nikal pada..aur jab c.d. Ki ek dukan pe ruka toh waha shweta mujhe khadi hui dikhayi di...maine uski taraf dekha ,lekin usne mujhe na dekhne ka bahana kiya..main jyada pareshan nahi hua..kyuki hamesha se hi mere sath aisa hua tha...char din ki chadani,phhir andheri ..raat wala muhavara mujhme,meri life me hamesha fit baith jata tha..aur aaj bhi wahi hua..par shweta ke baare me maine kabhi ye nahi socha tha.. Main ye sochne laga tha ki hum dono ek bahut hi khas kism ke dost ban chuke hai..jaisa ki filmo me dikhaya jata tha..khair uske jane ke baad main wapas c.d. Wale ki dukan ki taraf muda...aur usse film ki c.d. Li..aur room ki taraf aa gaya..raat ka khana khane ke baad main bhi wahi pahunch gaya jaha sabhi bheed laga ke khade the..ye main jan gaya tha ki wo mere samman ya mujhe respect dene ke liye nahi khade hue the ,baat kuch aur thi saanp aa gaya hoga ,maine socha lekin agle hi pal apne isi baat ka khandan karte hue socha yadi yaha koyi saanp hota toh ye sab abhi tak khisak chuke hote ya kayi damdar ladke milkar us saanp ko dhoond lete aur uska mu kuchal kar ek kone me phenk chuke hote aur jab mai yahaaata toh mujhe us saanp ki lash ek kone me padi milti..lekin aisa nahi hua tha..wo abhi bhi khade the,.unme se ek ladka jo apne aapko dada samjhta tha tej awaj me chillaya...."c.d. Koyi nahi laya hai kya..aaj kya baithkar hilane ka vichar hai..."uske awaj me ek ajib kism ki tej tha jise sunkar baki log jal jate the..lekin mujhe asar nahi hua..kyuki mere hath me c.d. Thi..main aage badha. Aur c.d. Use dikhayi.uske tej wale chehre pe mano ghanto tak barish hui ho wo itna shant ho chuka tha..mere dwara layi hui c.d. Dekhkar usne wo c.d. Laga di,.maine us film ki c.d. Isliye bhi kharidi kyuki mujhe ab ahsash hone laga tha ki mere bagal me koyi ladki hone chahiye jaisa dusaro ke bagall mehoti hai,wo c.d. Ek love story film ki thi toh ho sakta hai ki usme ladkiyo ko akarshit karne ki koyi vidhi di hui ho....
film ko chalu kiye hue 1 ghanta ho gaye the..lekin mujhe abhi tak koyi fayda nahi huatha..lekin film thi jabardast isme koyi shak nahi tha..abhi film chal hi rahi thi ki bijli ne apni harkat shuru kar di..ek baar light gul hogayi..lekin agle hi pal wapas aa gayi..light itni jaldi jaldi aa -ja rahi thi ki mano us room me aaj ke jamane ke disco light jal rahe ho...lekinek baar light aisi gayi ki wapas nahi aayi..wo ladka mujhe c.d. Dene aaya,aur apna nam Aditya bataya..lekin maine use apna nam nahi bataya ...aur main apne kamre me chala gaya..
dusare din jab college gaya toh phhir meri takkar ek ladki se ho gayi..phhir ek baar ladkiki kitabe gir gayi, maine uska chehra dekha wo shweta hi thi...mere liye ye flashback jaisa tha..,kyuki ladka bhi same tha,ladki bhi same thi aur maine ye assume kar liya ki uskikitabe bhi same hogi....wo apni kitabe uthatehue meri taraf dekhi aur phhir uthkar mujhse puchhani lagi,kaha rahte ho aaj kal,mile nahi,,ab main use kaise batata ki maine use kal ek ladke sath dekha tha...wo mera hath pakad kar canteen ki taraf chal padi...mere jeb me ek futi kaudi bhi nahi thi,.main inkar karta raha ,lekin wo nahi mani aur majak me usne wo baat bol di jissesunkar mere kadam apne aap canteen ki taraf chal pade...
"paise mai de dungi..."usne kaha..
lekin use ye nahi maloom tha ki mere pass futi kaudi nahi hai...canteen me aaj phhir wahi ladke saamne mile aur meri taraf aane lage..maine apne tute hue hath ki taraf dekha ..shayad aaj phhir tootne wala tha,lekin wo seedhe aakar shweta se mafi magne lage ..baad me mujhe maloom chala ki un ladko ko shweta ke bhai ne mara hai,jokal use bike pe le ja raha tha wo uska premi nahi uska bhai tha....
mai hamesha do teen sidhanto pe kaam karta hu...
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 08-10-2012, 11:43 AM   #10
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: My first love...

mai hamesha do teen sidhanto pe kaam karta hu....
1.imegination is better than knowledge,..
2.knowledge is better than imagination...
in dono ko main conditions ke anusar apply karta hu...aur sabse achchha aur mera pasandida formula hai teesara...
3.mai upar diya gaye formulo ko follow karne ke liye pratibadh nahi hu aur kisi bhi samay inke place pe dusara formula set kar sakta hu...chahe wo Einstine dwara diya gaya E=Mc2 hi kyu na ho,,...
lekin us samay mujhe upar ke hi do formulo me se kisi ek ko select karna tha..maine first ko chuna...
Imegination is better than knowledge..maineunme se ek ladko ko kashkar ek thappad maar diya..kyuki mera tuta hua hath mujhe baar baar kah raha tha ki maar de,aaj nahi mara toh kabhi apna badla pura nahi kar payega...
wo ladka waha se chup chap chala gaya...aurkuch der baad shweta ne mujhse mera number manga...main nahi janta tha ki wo mobile number mang rahi hai,aur mere passmobile bhi nahi tha...maine use apna roll number bata diya jise sunkar wo bahut der tak hansti rahi,..wo mujhpar hans rahi thi ye mujhe maloom tha ..lekin phhir bhi mujhe uspar gussa nahi aaya..shayad isi ko kuch log pyar kahte hai...toh maine bhi ise pyar ka nam de diya...mere mu se achanak hi 4 shabd nikal gaye jo mujhe nahi bolna chahiye tha.lekin ab wo shabd wapish nahi aa sakte the,.,,
"mera kal janmdin hai...."maine kaha...
"kya sach me...."usne aise puchha jaise mai hamesha hi jhoot bolkar use bewkoof banata hun...mujhe toh ab ye bhi nahi pata tha ki maine apni zindagi me akhiri baar jhoot kab bola tha,,kyuki jhoot bolne ke liye mujhe bolna padta ..jisse mai hamesha pichhe rahta tha...
us canteen me mujhe shweta ne ek chumban gaal pe de diya....mujhe itni khusi hui ki main wahi khada hua..woh bho khadi hui..maine use gale laga liya..usne koyi bhi virodh nahi kiya...
Mai apni in ateet ki yado me kab tak khana khata raha mujhe maloom nahi chala ,jab raju ne kaha ki...sahab ,khana khatam ho gaya hai,.tab mujhe ye ahsash hua.,main hath dhokar wapas chhat pe aa gaya...us ladki ke ghar ki keval ek hi room ki light lightjal rahi thi..shayad wo us ladki ke maa ka room ho maine andaja lagaya.............continue............
______________
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Reply

Bookmarks

Thread Tools
Display Modes

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off



All times are GMT +5. The time now is 11:21 PM.


Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.