My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Art & Literature > Hindi Literature

Reply
 
Thread Tools Display Modes
Old 12-10-2012, 07:28 PM   #1
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Daastan-e-Mohabbat. . . .

here h will update many short stories. .hope all of u like my this effort.
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 12-10-2012, 07:30 PM   #2
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

humsafar...Nagpur to Delhi road.
will be updated next day. . .
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 13-10-2012, 03:30 PM   #3
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Humsafar....Nagpur to delhi road(originally written by me)
Aditya..utho..late ho jaoge,
mere kano me ye awaj padi toh maine bujhe hue man se bistar chhoda..aur sidha bathroom me ghus gaya..adhe ghante baad mai bathroom se nikla..toh anjali ne kaha...
"Aditya,bhaiya...maine apka nashta laga diya hai...jaldi se kar lo ,delhi ke liye nikalna bhi hai..."
maine haan me sar hilaya...aur taiyar hone laga..
main Aditya ,proper Delhi se tha,..lekin engineering karne ke baad mera placement Nagpur ki Vasava company me ho gaya tha, meri bahut achchhe post pe job lagi thi..sab kuch achchha chal raha tha...aaj mujhe Delhi apne papa ke pas jana tha,maine apni car me jane ka faisala kiya...Anjali, meri bahan nemera khana car me rakh diya...maine apni car start ki aur nikal pada Nagpur to Delhi byroad....aaj tak meri zindagi me aisa koyi safarnahi tha jo yadgar ho..ya jo thoda sa bhi interesting ho..main apne is Nagpur to Delhi ki yatra ko yadgar banana chahta tha..lekin mujhe ye nahi pata tha ki ye safar itna yadgar ban jayega ki ye safar mere jehan se kabhi utar hi nahi payega...
Nagpur se Delhi by road takriban 1150 k.M. Hai ,yadi mai apni speed se car ko chalau tohmujhe delhi pahuchne me adhik se adhik 18 ya 19 ghante lagte...lekin mujhe long drive pasand thi,ye baat aur hai ki kabhi ki nahi...
Main Ashoka restaurant jo ki Ravindranath tagore marg pe padta hai..waha apni car khadi ki aur restaurant ke andar gaya,main ghar se breakfast karke nikla tha lekin mujhebahar khana aur phhir apni tabiyat kharab karna pasand hai...isliye maine waha se kuchkhane ka saman pack karwa liya...aur wapas apni car start karke road pe dauda di...main us road me aane jane walo se hi rasta puchhke badh raha tha aur mere sabse achchhe madadgar sabit ho rahe the road ke kinare lage hue. Board....main abhi apni car drive hi kar raha tha ki meri car dhakke khati hui...achanak ruk gayi..main utna pareshan nahi hua kyuki meri branch mechanical thi aur main thoda bahut toh janta hi tha ,car kebaare me ,main car se utra lekin meri engg. Ki degree ua vaqt jawab de gayi jab maine dekha ki car ke do tyre puncture hai...ab kya karu maine socha...kafi der se koyi waha se gujra bhi nahi tha...tabhi ek car aati hui dikhayi di maine hath deke roka..usme ek ladki jo ki takriban 25 saal ki hogi ,wo car se bahar aayi...
"hello,kya hua...."usne mujhse puchha,phhir usne apni najar meri car ki taraf ghumayi..toh wo samajh gayi...
"kaha jana hai apko ,"usne mujhse puchha...
"Delhi...."maine jawab diya..
"yaha thodi dur me ek bus stand hai ,jaha se har din subah 8 baje ek bus Delhi ke liye nikalti hai..."itna kahkar wo wapas apne car me baith gayi...
"ajib ladki hai..."maine khud se kaha,wo car start karke jane lagi...lekin kuch doori jakar ruk gayi phhir mere taraf car ko reverce me late hue ,usne mujhse kaha...
"yadi apko aitraj na ho toh ,aap mere sath chal sakte hai ,main bhi delhi hi ja rahi hun..."
meri khusi ka thikana na raha ,ek khubsurat ladki ke sath longdrive...main bahut tharki kisam ka insan hoon ,meri najar seedhe uske boobs pe tiki..lekin wo nahi samajh payi...maine use thanks kaha aur uske car me baith gaya...kush door chalne ke baad maine usse puchha ,
"aap pahle bhi by road ja chuki hai delhi,,,"
"haan,lekin kyu..."
"phhir toh apko ye jagah bhi maloom hogi,ki kon si jagah hai ye..."
"is place ka toh nahi maloom ,lekin abhi kuchder pahle..purana hanuman mandir gujra hai..lekin aap kyu puch rahe hai..kahi apko yetoh nahi lag raha ki main apko bhatka dungi,.."
main uski baat pe hans pada ,wo bhi mushkura di,,uski smile seedhe mere dil pe lagi,,na jane uske prati mujhe ek ajib si feeling ho rahi thi..aisa aaj tak nahi hua tha...aur mujhe ye bhi nahi pata tha ki ye ladki is kadar mere dil me utar jayegi ki ise dil se nikalna namumkin ho jayega...
_TO BE CONTINUED......
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 13-10-2012, 03:30 PM   #4

Old 13-10-2012, 03:59 PM   #5
abhisays
Administrator
 
abhisays's Avatar
 
Join Date: Dec 2009
Location: Bangalore
Posts: 16,772
Rep Power: 137
abhisays has a reputation beyond reputeabhisays has a reputation beyond reputeabhisays has a reputation beyond reputeabhisays has a reputation beyond reputeabhisays has a reputation beyond reputeabhisays has a reputation beyond reputeabhisays has a reputation beyond reputeabhisays has a reputation beyond reputeabhisays has a reputation beyond reputeabhisays has a reputation beyond reputeabhisays has a reputation beyond repute
Send a message via Yahoo to abhisays
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

nice stories. thanks
__________________
अब माई हिंदी फोरम, फेसबुक पर भी है. https://www.facebook.com/hindiforum
abhisays is offline   Reply With Quote
Old 14-10-2012, 06:41 PM   #6
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Quote:
Originally Posted by abhisays View Post
nice stories. thanks
thanks abhi bro....
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 14-10-2012, 06:42 PM   #7
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Humsafar.....continued.
Car full speed ke sath sadak pe daud rahi thi...main kabhi car ki khidki se bahar dekhtatoh kabhi us ladki taraf ki taraf,uske chehre pe ajib si khusi jhalak rahi thi ..jaise usne kuch paa liya ho..main thode attitude kism ka tha.maine socha aage se wo hi baat kare main kyu baat karu,..wo shayad mere dimak ko padh rahi thi..main jaise hi uske baare mesochta uske hontho pe smile aa jati..main samajh nahi pa raha tha ,isi tarah chup chap wo car driving karti rahi aur main pahle ki tarah hi car ki khidki se bahar dekhta raha..akhir usne haar maan li,aur mere taraf dekhkar boli...
"what is your name..."
maine suna nahi usne kya bola..shayad maine ye ummid chhod di thi ki ab humare beech baat bhi hogi..maine kaha..
",kya...apne kuch kaha..."
"tumhara name kya hai.."
"Aditya ,"maine uski taraf dekhte hue kaha aur meri nazar ek baar phhir uske chehre se hoti hue,uske neeche atak gaye..maine man me kaha.."kya maal hai..."
usne jaise meri baat sun li ho,usne hontho pe ek baar phhir mushkan aa gayi....
"kya karte ho..."usne dobara se baatchit shuru ki.
"engineer hu,..vasava company me kaam karta hu.."
"Nagpur me rahte ho..."
"ji haan..."
"pahle is road se kabhi delhi gaye ho..."
"nahi..lekin aap ye kyu puch rahi hai..."maine usse puchha
"main tumhe maar ke kha jaungi..main ek pret hu..."itna kahkar wo hasne lagi...
"aap hansti hai toh khubsurat dikhti hai.."maine apna kaam karna chalu kar diya tha...
"kya waise khubsurat nahi dikhti main..."usne meri taraf dekhte hue kaha..
"nahi aisi baat nahi hai..."uski ankhe ajib thi..uski jheel se ankho me mera doob jane ka man kar raha tha..lekin mujhe us samay ye nahi maloom tha ki main pura ka pura usme aisa doob jaunga ki mujhe koyi kashti bhi nahi nikal payegi...
"apka name kya hai..."maine puchha.
"kyu...aap mera name jankar kya karenge.."usne jawab diya.
"phhir aapne mera name kyu puchha ..."mainbhi pichhe hatne ke mood me nahi tha...
uske honthe pe ek baar phhir se smile chha gayi..wo dheere dheere mere dil me utarne lagi thi..
"Riya...name hai mera.."
"aap delhi me kaha rahti hai,.,"maine uski taraf dekh kar puchha...
"ab aapka hamesha milne ka irada hai kya..."usne kaha..
"tum ,mere sawalo ka jawab ghuma kar kyu de rahi ho..."maine aap ki jagah tum lagaya isliye lagaya kyuki yadi kuch karna hai toh aap se tum pe aana padega..
"aapko flirt karne me bahut maja aata hai na,kitni ladkiyo pe try kar chuke ho,abhi tak.."
"tum shayad pahli ho..."
"shayad....."usne kaha...
maine phhir apne aap se kaha...
"itna kyu bhav kha rahi hai pat jana..."
usne jaise phhir mera man padh liya ho,uskechehre pe ek baar phhir hansi ki lahar daud gayi...
Tabhi car dhakke khate hue,ruk gayi...uske chehre pe pareshani saaf jhalak rahi thi..wo car se bahar aayi..main andar kya karta ,mainbhi bahar aa gaya...usne car ke tyre pe ek laat mari aur phhir apna pair pakad kar baith gayi..mujhe hansi aa gayi..main hasne laga..
"tum hans kyu rahe ho..."usne banawati gusse se meri taraf dekha...
Maine apni hansi roki..aur uske pass gaya ...
"ab filmi style se tyre pe laat marogi toh yahi haal hoga..."itna kahkar maine uski taraf hath badhya....wo meri taraf aise dekhne lagijaise main koi bhoot hun..lekin haqiqat kuch aur thi...
wo mera hath pakad kar uthi...
"oouch,mere pair me moch aa gayi hai...mainchal nahi sakti.."
mere man ne phhir apna tharkipan dikhaya,
"dikhao,main dekhta hun kya hua hai..."
Usne jaise is baar bhi mere man ko padh liya,..
"tum ,engineer ho doctor nahi..."usne kaha...
"thik hai phhir baithi raho..yaha.."
main thodi door khada raha..bahut der tak wo apna pair sahlati rahi..phhir usne apna hath car pe rakhkar uthne ki koshish ki ,lekinwo uth nahi payi..aur phhir wahi baith kar apna pair sahlane lagi..ab mujhse dekh nahi gaya,maine uski parvah na karte hue use apne god me utha liya..mere hath usk body ke bahut hi important part ko touch rahe the...maine use uthaya aur car ka gate kholkar baitha diya...
"tumne ye kyu kiya..."usne mujhe ghoor se dekhte hue kaha...
"insaniyat bhi koyi cheez hoti hai madam... "maine kaha..
bahar barish ki boonde girne lagi..
"aaj toh achchhe tarah se phans gaye"itna kahkar main car ke andar aa gaya...
usne car ki window ko band kar diya..bahar barish ho rahi thi,bahut tej,.,kuch der baad bijali bhi kadkane lagi.,shayad wo mujhe andesha de rahe the ki is ladki se door rah,lekin maine aaj tak kiski baat mani thi..kash main us samay sambhal gaya hota...tabhi mujhe us ladki ki ankh me kuch chamak dikhayi di...
"heyy tumhari ankh abhi chamki..."maine hairani se uski taraf dekhte hue kaha...lekin use shayad meri kamjori malum chal gayi thi...wo mushkura di..aur mere taraf apna chehra late hue boli...
"tum toh science ke student ho ,reason batao..."phhir wo hasne lagi...uski garam saanse mujhpe padi...main wo baat bhool gaya..tabhi asman me ek jordar bijali kadki,wo thoda dar gayi ,maine uske kandhe pe apna hath rakh diya..tab wo thoda normal hui...................continue...........
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 15-10-2012, 01:48 PM   #8
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

humsafar continued.....
tabhi asman me ek jordar bijalikadki ,wo thoda dar gayi ,maine uske kandhe pe apna hath rakh diya..tab wo thoda normal hui....usne meri taraf dekha,phhir ek baar car strart karne lagi..lekin car start nahi hui....
"ab kya kare..."wo meri taraf dekhi..
maine apne kandhe uchka diye...
"main kya bolu.main toh pahli baar Nagpur to Delhi by road ja raha hu.."maine uski taraf dekha..uski ankhe nashili thi,,,pahli baar meri nazar keval uske chehre pe tiki...
"yaha pass me ek machanic rahta hai..shayad wo kuch kar sake.."
"toh jao bula ke lao..main todi janta hu..."
"akele mujhe dar lagta hai..tum bhi sath chalo..."
"isme darne ki kya baat hai..bahar barish ho rahi hai..do bhige isse behtar toh yahi hoga ki keval ek hi banda ye pareshani uthaye..."
"tum bade ajib ho ,mere pair me abhi abhi chot lagi hai..main chal nahi sakti..."
"toh daud ke jao...[IMG]http://srv.*****.com/images/smilies/icon10.gif[/IMG]"
Wo ab gussa hone lagi thi..usne teji se car ka gate khola..aur bahar nikal gayi..bhar barish apne pure josh me thi...wo bhigti hui kuch door tak gayi phhir apna pair lekar baith gayi...mujhe jane kya hua ,.,maine teji se gate khola aur seedha uske pass pahunch gaya...
"ab kyu aaye ho...."
"tumhari madas karne"itna kahkar main use phhir se baho me utha liya...humari saanse ek dusare se mil rahi thi..maine uski taraf dekha..
"kaha hai us mechanic ka ghar..."
usne apna hath thodi door me bane ek ghar ki taraf kiya,,.waha wakayi me ek ghar tha..use itna sab kuch kaise maloom hai maine dhyan nahi diya,,yadi main us samay uske husn ke jaal me phansa na hota toh main ye sawal usse jarur karta...lekin main chup chap use apne baho me uthaye us ghar ki taraf chala gaya...
"neeche utaro mujhe ,nahi toh ye log galat samajh lenge..."
maine uski baat ko samarthan kiya aur use niche utar diya,wo mere kandhe ko pakad ke khadi rahi..maine awaj di,..
"koyi hain....yaha..."
abhi maine awaj hi di thi ki darwaja khula...ek adhed umra ki mahila ne meri taraf dekha,,,aur uski ankho me kauf chha gaya wo seedhe ghar ke andar ghush gayi ,,aur darwaje ko andar se band kar liya,..main uski is harkat ko samajh nahi paya..
"ise kya hua..ye hume dekhkar bhag kyu gayi."us ladki ne mujhse sawal puchha...
'mujhe kya maloom...lekin isne gate ko aise band kiya hai ki ab doobara toh kholegi nahi..chalo car me wapas chalte hai,..."
itna kahkar maine us ladki ko wapas utha liya aur car ki taraf badhne laga...ye situation meri liye behtar thi..maine mauka uthana sahi samjha..aur apne hatho ko uske kayi important ango pe phirane laga..mauka dekhkar daba bhi deta tha..uske chehre pe wahi katil mushkan aa jati thi...shayad wo mere dimak ko abhi padh rahi ho....car abhi door thi,
"tumne apna name nahi bataya..."
"kya karoge jankar shadi karoge kya,,."
"iska matlab main jin ladkiyo ke nam janta hoon unse shadi karna padega mujhe....[IMG]http://srv.*****.com/images/smilies/icon10.gif[/IMG]"
"phhir mera nam kyu puchh rahe ho..."
"bus yun hi samajh lo...aur tum mujhe apna nam batao..nahi toh yahi gira dunga.."
"Sara hai mera name..ab khush..."
"sara....nice name..."
car abhi bhi door thi main janbuchkar dhire dhire car ki taraf badh raha tha...barish aur tej ho gayi..ek jordar bijali phhir asman me kadki..,wo is baar jyada dar gayi aur mere kandhe ko jor se pakad liya,uske honth mere honth ke karib aa gaye,.uska pata nahi lekin main garam ho chuka tha..main wahi khada ho gaya..kafi der tak hum dono ek dusare ki ankho me khoye rahe,.main apne tharki dimak se kaam le raha tha..aur dhire dhire apna chehra uske karib le ja raha tha..aur kuch der baad ,ekdam karib uske honth pe uski barish ki padti ek ek boond kayamat dha rahi thi...main apne aap ko rok nahi paya aur uske honth pe apne honth tika diye...lekin wo shant thi..main akele hi uske hontho ka swad le raha tha..wo toh jaise ek zinda lash ki tarah shant thi ..kuch der baad mujhe ye sab ajib laga ,.,maine jhatke se apne honth alag kiye..wo ab meri taraf dekh rahi thi..uske ankh se anshu nikal rahe the main ye dekh nahi paya barish ki vajah se..shayad usne mujhse ye sab except nahi kiya tha..mujhe apne aap par bahut gussa aaya...main use uthakar car ki taraf badh gaya,,,,,car abhi bhi state highway pe khadi thi..........continue..........
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Old 15-10-2012, 09:36 PM   #9
ndhebar
Special Member
 
ndhebar's Avatar
 
Join Date: Oct 2010
Location: Kerrville, Texas
Posts: 4,605
Rep Power: 49
ndhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond reputendhebar has a reputation beyond repute
Send a message via Yahoo to ndhebar
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

good one
continue.....
__________________
घर से निकले थे लौट कर आने को
मंजिल तो याद रही, घर का पता भूल गए
बिगड़ैल
ndhebar is offline   Reply With Quote
Old 16-10-2012, 08:22 AM   #10
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Daastan-e-Mohabbat. . . .

Quote:
Originally Posted by ndhebar View Post
good one
continue.....
welcome bhai.....
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Reply

Bookmarks

Thread Tools
Display Modes

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

All times are GMT +5. The time now is 03:53 PM.

Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.