My Hindi Forum

Go Back   My Hindi Forum > Art & Literature > Hindi Literature
Home Rules Facebook Register FAQ Community

Reply
 
Thread Tools Display Modes
Old 07-10-2012, 11:43 AM   #1
ALEX
Senior Member
 
Join Date: Oct 2012
Location: Aapke dil me
Posts: 493
Rep Power: 22
ALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud ofALEX has much to be proud of
Default Re: Teri Yaadein......

"dekha tumne tumhari vajah se aaj class miss ho gayi.."
"phhir toh mujhe inam milna chahiye kyunki maine ek boring lecture se jo bacha liya.."
"boring..jab back lagega tab pata chalega.."
"simran ye kya topic lekar baith gayi tum..pahle ye toh batao ki itne din tak tum mujhse mili kyun nahi.."
"aaj bade bechain ho rahe ho..itne din ho gaye lekin kabhi dhyan tak nahi diya..haan"
"ab tum bachpan me moti thi.,din bhar khati rahti thi..aur aaj tum ekdum slim ho gayi ho..isliye main pahchan nahi paya..."
"mote tum the din bhar tum khate the.."
"okk..ab chhodo bhi simran..chalo chalkar coffee peete hain.."
Aditya aur Simran college me bane canteenme aa gaye..Aditya ne do coffee ka order diya..Aditya aur Simran ek dusare ke aamne samne baithe the..Dono kuch der keliye chup rahe..dono ek dusare ke ankho me apna apna aksh dhoondne lage..
"sir coffee..."
aawaj sunkar dono ka dhyan ek dusare se hata,,
"Aditya-rakh dena bhai table par..kya sar par rakhega,..
coffee wala table par coffee rakhkar waha se chala gaya..uske jaane ke baad Simran ne Aditya ko ghoor kar dekha.."tumne us coffee wale se aisi baat kyun ki.."
"simmy tum janti nahi,,ye ek number ka lafadi hain..canteen me aane wali har ladki ko kaisi nazar se dekhta hain..ye main achchhi tarah janta hoon.."
Simran ne coffee apne gulabi hontho se coffee ki ek chuski li phhir boli.."ye toh normal hain..lekin tumne jaisa behave kiya wo normal nahi tha...koyi khas vajah.."
"hmm..phhir usko main wapas bula leta hoon..aur bol deta hoon ki le bhai jitna line marna hain maar le.."
simran mushkurane lagi...
Aditya-waise simran tumne abhi tak bataya nahi ki tum kaha rahti ho...
"tumhe maine dhoonda hain mera pata tum dhoond lena..."
"apni toh chamak sitaro tak hain..aur chand ka tukda humare samne baitha hain..tumhara pata main tumhari chamak si dhoond lunga.."
"ye sab kaha se seekha..kya girlfriend banayi thi.,,"
"girlfriend banani hoti toh college ke pahle din se hi tum par doore dal raha hota..."
"ok adi ab main apne room chalti hoon..."
"jis raste me mera room hain usi raste me toh tumhara bhi hain..chalo sath me chalte hain..."
Simran ne bahut inkar kiya lekin Aditya ke samne uski ek na chali..dono bus stand ke pass utre.."bye Aditya...sham ko milenge.."
"lekin kaha.."
"hmm..sham ko 6 baje plaza restaurant me"
"6 baje..intezar karunga,.,bye.."
Aaj Aditya bahut khush tha..din bhar wo apni nazare ghadi me tikaye rakha..Aditya ke intezar ke samne akhirkar ghadi bhi haar maan gayi..sham ke 5 baje Aditya taiyar hokar apne room se bahar nikla..aur seedha plaza restaurant me pahunch gaya..Aditya ko shock laga jab usne dekha ki simran waha pahle se baithi hain..Aditya ne khans kar apni awaaj saaf karne ki koshish ki,..aur apne shirt ko thik karte hue Simran ki taraf badh gaya..
"Aaiye Aditya ji..aapka hi intezar kuch jaldi nahi aa gaye aap,,"
Aditya apni shirt ko thik karte hue baitha.."sorry simran wo main.."
"koyi excuse ki jaroorat nahi hain..bas tum aa gaye...yahi bahut hain. "
Aditya apni kurshi ko kishkate khiskate simran ke pass le gaya.."simran perfume bahut shandar hain..kaun sa lagaya.."
Simran ke gulabi hontho pe mushkan khil gayi..
"simran i love you..."
Aditya ki baat sunkar simran hasne lagi.."itni jaldi line marne lage..canteen me toh bahut badi badi baate kar rahe the.."
"really..i love you..tumhara kya jawab hain.."
"hmm...soch ke bataungi kal tak ka samay do.. "
"kal tak ka samay bahut jyada hain..aur isme sochne wali kya baat hain..jaldi se haan kar do..ghar jake soch lena.."
"kal matlab kal.."
"kal kaise bataogi ,kal toh holiday hain.."
"railway station ke pass aa jana..meri friend aa rahi hain kal..wahi milte hain..aur ab main chalti hoon.."
"kaha abhi waqt hi kitna hua hain.."
"Aditya tum late aaye the..uncle ko der raat ghumna pasand nahi.."
Aditya aur simran restaurat se bahar aa gaye..Aditya ne apne hath me simran ka hath tham liya,,aur aise behave kiya jaise kuch hua hi nahi ....simran ne bhi kuch nahi kaha..bus stand road ke dusari taraf tha..kuch der pahle hui tej barish se mausam suhana ho chala tha..simran ka hath thame hue Aditya road cross karne laga..simran ne Aditya ko chidhane ke liye,apna hath Aditya ke hath se chhuda liya..
"Aditya-ab kya hua..
"simran-meri marzi chahe main kuch bhi karu..
"aisi marzi main bahut dino tak chalne nahidoonga,."
dono beech sadak me khade the,.dusari taraf za rahe ek truck ki light dono par padi.........................................
"oye ye humari seat hain..apna boriya basta bandh kar nikal yaha se.."
Aditya apne ateet se bahar aaya..."kya hua.."
"abey ye humari seat hain..uth yaha se..."
Aditya kuch yaad karne laga..bahut der tak Aditya kuch sochte raha ...phhir apni jeb se ek ticket nikal kar un ladko dikhaya.."ticket toh maine bhi liya hain.."
un ladko me se ek ne Aditya ke hath se ticket chheen li..aur jor jor se hasne laga.."abey pagal hain kya ye toh last sunday ki ticket hain..."
pagal shabd sunte hi Aditya baukhla gaya.."dekh mujhe pagal mat bol..mujhe gussa aata hain ye sunkar.."
Ek ladke ne Aditya ko dhakka dete hue bola"bolunga be kya kar lega tu.."
Aditya ne us ladke ko bhi dhakka mara..jisse us ladke ke baki sathi Aditya par toot pade...TC bhi usi taraf tha usne turant guard ko inform kiya..do policewalo ne Aditya ko un ladko ke changul se chhudaya..aur sabhi ko pakad kar train ke bahar laye..
"sale jhant barabar hue nahi aur train me pee ke ladayi karte hain,.aaj tum sabki halat thik karta hoon.."
train chhutne lagi..Aditya train ki taraf bhaga..lekin guard ne use pakad kar wahi patak diya..aur apne dande se Aditya ki buri tarah pitayi karne laga..plateform par maujood sabhi log ye tamasha dekh rahe the..lekin beech me bolne wala koyi nahi tha..tabhi ek shaks ne guard ka hath pakda...
"tu kaun hain be.."
"main iska bada bhai hoon..dobara yadi is par hath uthaya toh bahut bura hoga..."
Aditya ke sar se khoon nikalne laga tha..wo wahi pada raha..uske bade bhai ne Aditya ko uthaya..aur railway station ke bahar lane laga...
"bilandar bhaiya..simran aaj phhir nahi aayi..shayad kuch kaam se phans gayi hogi..uska uncle bhi use raat ko aane nahi deta..nahi toh wo mujhse milne jaroor aati.."
"haan,,shayad use kuch kaam pad gaya hoga.."bilandar ne Aditya ka man rakhne ke liye kah diya..lekin sach kya hain wo achchhi tarah janta tha..simran kabhi bhi nahi aane wali..bilandar bahar ja hi raha tha ki uske kandhe par kisi ne hath rakha..
"oye bilandar itne salo baad mila hain..galenahi lagayega.."
bilandar peechhe muda ,uska dost pawan jiski posting kuch din pahle hi hui thi wo khada tha..pawan ne Aditya ko dekha toh uske rongate khade ho gaye....
"abey bilandar Adi ko kya hua..accident huahain kya...chal mere cabin me iska khoon bahut nikal raha hain..saaf kar dete hain.."
bilandar Aditya ko lekar pawan ke cabin me aa gaya..pawan ne Aditya ke sar se bahte hue khoon ko saaf kiya..aur use ek chair par baithaya..phhir bilandar ke pass aaya...
"yar bilandar Adi ko kya hua hain..tu kuch chhupa raha hain..."
"yar pawan ab tujhse kya chhupau..ek ladkithi simran nam ki jisse ye bahut pyar karta tha,.ek truck accident me chal basi..adi ko bhi chot lagi thi wo kayi dino tak behosh raha..phhir jab use hosh aaya toh mujhse puchhne laga..sunday kab hain.,simran ne use railway station bulaya hain..bas usi din se har sunday ko wo yaha bhag kar aa jata hain..aaj toh khidki se bhag kar aaya hain..,"
Aditya chair se uthkar seedhe pawan ke pass aa gaya.."mujhe agle sunday ki ek ticket chahiye..book kar do,,"
pawan aur bilandar dono chup rahe.."adi main ticket de dunga abhi tu waha chair par baith.."
adi wapas chala gaya..
"bilandar-yar,pawan us accident me adi apna mansik santulan kho chuka hain..simran toh chali gayi..par wo apni yaadein Aditya ke pass chhod gayi..
Bilandar aur pawan Aditya ki taraf dekh rahe the..Aditya ne apni jeb se wahi purani ticket nikali..
"simmy tum aaj phhir nahi aayi..tumhara uncle bahut khadoos hain.,tumhari friend bhi mujhse nahi mili....lekin koyi baat nahi agle sunday ko phhir main yaha aaunga..maine ticket bhi book kara di hain"
*****THE END****
______________________________
__________________
Kitni ajeeb thi teri ishq-e-mohabbat....
ki ek Aankh Samundar bani to dooji Pyas....
ALEX is offline   Reply With Quote
Reply

Bookmarks


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off



All times are GMT +5. The time now is 07:13 AM.


Powered by: vBulletin
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
MyHindiForum.com is not responsible for the views and opinion of the posters. The posters and only posters shall be liable for any copyright infringement.